Os: Humari Mohabbat Sirf Tum Ho

ASRHOTNEZ thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 4
Posted: 5 years ago

I couldn't get over yesterday's episode so therefore I thought I would write something along the same lines. I'm not so happy with it though and think that it can be refined further however I just thought I'll share it without delay. Pls ignore typos.

Os:

Zara woke up with a headache to find Kabir sitting on the floor, resting his back on the wall lost in thoughts while staring at Zara.
She looked at him and turned her face...
K: zara tum theek toh ho...kaisi tabyat hai tumhari..he rushed towards her but she gestured him to stop.

Zara pata hai tension se humari jaan ja rahi thi...please zara apne aap ko saza mat do.
Z: yeh sab tumhe kisi aur se nikah karne se pehle sochna tha Kabir...kitni aasani se tumne sab kuch khatam kardiya kabir...sab khatam ghin aati hai hume ke hum jis mohabbat pe itna naaz karte hai woh toh mohabbat thi hi nahi...kyun nahi bataya hume kabir...tumhe Rukhsar ke saath rehna hi tha toh keh dete hum toh waise bhi tumhare do talaq wali biwi the...hum chale jaate...khushi khushi chale jaate Kabir...she burt out crying...
K: khuda ka wasta Zara humari baat toh suno...ek baar Zara please uske baad tum khud hi faisla karna Zara. Tum hume jo saza dogi hume manzoor hoga...
Zara Dubai mein Rukhsar ko bachane ka koi aur raasta nahi tha. Woh nikah humne majboori mein kiya tha Zara. Humne tumse baat karne ki bohot koshish ki...tumhara phone off tha...humne Imran aur Reema ko bheja tha tumhare paas...zara jab tak tumhara phone aaya bohot der ho chuki thi...Zara aisa ek pal nahi tha jab humne tumhare baare mein nahi socha...hum pal pal mar rahe the Zara. Koi dusra hal nahi tha...humara yakin maano yeh sab maine sirf uski jaan bachane ke liye kiya...humne Quran pe haath rakh kar kasam khayi thi ke hum use bachayenge...hum aise mein kya karte Zara...
Z: kuch bhi kar sakte the kabir...kya nikah karna zaruri tha?
K: humare paas waqt bilkul bhi nahi tha Zara. Nikah ke baad rukhsar ne humse uske saath ek raat guzarne ke liye poocha tha...
Z: bas karo hume nahi sunna hai!
K: zara humne mana kar diya! Is baar humari mohabbat humare farz se bohot aage nikal gayi. Rukhsar bhi jaanti hai ke yeh nikah maine sirf aur sirf uski jaan bachane ke liye kiya...nikah ke.waqt bhi hum sirf tumhare baare mein soch rahe the! Zara hum sirf tumse mohabbat karte hain...
She clenched her fists and tears started flowing from her eyes. 
K: zara please ro mat. Hum tumhare aansun nahi dekh sakte...tumhari muskurahat hum tumse nahi cheen sakte the is liye hum tumse kuch nahi keh paaye...zara hum tumhe khona nahi chahte the. He banged his hand on the wall par dekho zara hum bilkul wahi kar baithe...socha tha ke hum dono zindagi ki nayi shuruat khushi khushi karenge...is shaadi ko leke jitni khush tum thi utne hi hum the lekin haalaath ne sab badal diya! Dubai mein har waqt hum yahi sochte the ke kab hum tumhare paas waapis aayenge...yahan aake dekha ke tum shaadi ki tayyariyan kar rahi thi...zara humse tumhe dard dena bardasht nahi hua...hume rukhsar se koi matlab nahi hai...hum sirf tumhe chahte hain. Khuda ke baad is duniya mein hum sirf tumhe chahte hain...tum hume jo saza dena chaho de sakti ho...hum tumhare gunehgaar hai...
Zara got up and caught his collar...kabir ahmed yeh sach tum hume pehle bata sakte the...
K: koshish ki thi zara
Z: nahi! Saari ghalati humari hai humne hi tumhe bheja tha uski madad ke liye! Hum bhool kyun gaye ke rukhsar toh mauka dhoondti rehti hai tumhe paane ka! Usse mauka milgaya...aur tum kabir she yelled hitting him on his chest...kyun?
Nahi hum nahi maaf kar sakte hain tumhe...nahi karsakte...sab humari ghalti hai ke humne tumhe beintehaan mohabbat ki...she pointed to his chest tumpe aankh band karke bharosa kiya...aur tumne kya kiya kabir? Sab khatam kardiya ek jhatke mein tumne hume aasmaan se zameen par la patka...zara was hysterical by now...
K: nahi zara nahi aisa bilkul nahi hai...humari saanson pe sirf tumhara haq hai...hume maaf kardo...
Z: KITNI AASAANI SE KEH DIYA MAAF KARDO...dil toota hai humara kabir Ahmed dard ho raha bohot dard hum chah kar bhi is dard ko kam nahi karsakte...as zara yelled she felt dizzy. She fell unconscious on kabir's chest...he hugged her tight, carried her and placed her on the bed.
Salma entered their room and saw kabir by Zara's side. 
S: kabir miyan humne kaha tha na ke tum use haath nahi lagaoge jab tak uski marzi nahi hogi!
K: ammi biwi hai yeh humari! Hum nahi dekh sakte ise aisi haalath mein.
S: yeh tumhe apne dusre nikah ke waqt sochna tha...meri phool jaisi bachi ka kya haal kiya hai tumne! Allah tumhein kabhi maaf nahi karenge
K: khuda ke liye hume samajhne ki koshish kijiye!
S: zara yahan tumhare saath nahi rahegi! Hum use apne ghar le jaa rahe hain!
K: nahi ammi nahi...aisa ghazab mat kijiye!
S: bas! Hume aur kuch nahi sunna hai...she packed zara's bag and kept it ready. She asked Reema to stay with Zara and bring her to hall when she wakes up. When Reema entered the room she found Kabir sitting by Zara's legs and crying. 
Kabir looked up and saw her. Reema khuda ke liye jab zara ko hosh aaye hume kuch der usse baat karne dena.
R: bas karo kabir aaj nahi...yaad hai doctor ne kya kaha tha...uski haalath theek nahi hai...use kuch der chod do kabir...use aur stress mat do...
Kabir placed a kiss on Zara's forehead and walked out of the room.
K: ya Allah! Humari zara ko theek karde! Hum kya karen uske aasun kaise roke?
----------------------------
After a while Zara came back to consciousness to find Reema by her side. Reema was taking Zara to the hall when the heard Rukhsar celebrating in her room talking to herself. 
Ru: yahan toh kuch karne ki zarurat hi nahi padi zara khud hi maidan chod ke kabir ko pura ka pura humare liye chod jaa rahi hai...
R: zara kahin yeh sab is chudail ki koi nayi chaal toh nahi? Hume ispe zara bhi bharosa nahi hai...
--------------in the hall-----------
S: chalo beta der ho rahi hai hume nikalna chahiye
Z: hum kahan ja rahe hain amma?
S: humare saath, hum tumhe yahan nahi rehne denge
Z: yahi humara ghar hai amma...hum yahan se kahin nahi jayenge!
S: par zara?
Z: amma humne faisla karliya hai...hum yahin rahenge...aur hum aapse waada karte hain hum apna khayal rakhenge.
K: kabir breathed a sigh of relief...shukriya zara
Z: humne kaha hum yahan se nahi jayenge yeh nahi kaha ke tumhare saath rahenge! Hum tumhare saath nahi rukenge...hum tumhe itni aasani se maaf nahi kar sakte kabir. Hum yahan sirf isliye rahenge taaki koi humari achayi aur majboori ka fayda na utha sake! Altaf humara saaman guest room mein shift kardo...
K: nahi zara ghalti humari hai hum kamra chod kar jaenge...zara hum tumhara har faisla maanege bas itna yaad rakho ki humari mohabbat sirf tum ho! 

Created

Last reply

Replies

6

Views

1853

Users

3

Likes

13

Frequent Posters

mesravz thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago
Will reply once i read 
Zaabir thumbnail
Anniversary 5 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 5 years ago
Brilliant OS ...wish they had a similar confrontation between Zara and kabeer and instead of showing chudails bootha. 
ASRHOTNEZ thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 4
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Zaabir

Brilliant OS ...wish they had a similar confrontation between Zara and kabeer and instead of showing chudails bootha. 


Exactly I'm waiting for a proper confrontation! They need time to talk...but cv's are not showing that only...earlier even though the talaaq and all had happened they used to talk about things...during rukhsars old track also...But when there is such a big problem both of them are lost.
ASRHOTNEZ thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 4
Posted: 5 years ago

Thank you :)
Zaabir thumbnail
Anniversary 5 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 5 years ago

Originally posted by: ASRHOTNEZ


Exactly I'm waiting for a proper confrontation! They need time to talk...but cv's are not showing that only...earlier even though the talaaq and all had happened they used to talk about things...during rukhsars old track also...But when there is such a big problem both of them are lost.


Yep exactly I want a proper confrontation between them too they so need to talk. This kabeers mess and he need find a way out but they need to communicate. Talaak was different as it was just between them two and Zara took the initiative to sort things out after her initial shock. Cvs are lost cause and hell bend on showing crap.
ASRHOTNEZ thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 4
Posted: 5 years ago
They have lost track of the mess they have created. That's all! It's really pathetic! I don't understand why aren't they clarifying the suhaagrat point when kabir was ready to place his hand on the quran why did everyone stop that? Are they trying to drag this zara misunderstanding track until she gives him khula and then realises that it's a mistake. I don't understand why are Zabir falling prey to chudail's lies!