Humsafar TS : Anjaani Zindagi : Completed : Page 1 : 29-07-17

DeewaniMastaani thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 7 years ago
#1
Part 1

It is a 3-shot about the future of Ashar and Khirad. How they reconcile with each other.amd move on towards a beautiful future. Hope you will like it. Please don't forget to like and share your opinion in the comments section.


"Mama?"

"Hmm?"

"Kya aap aur papa ek dusre se kutty ho?", Hareem ne apni maa se dheemi awaz me poocha.

Khirad aur Hareem bed pe lete hue the Hareem ke kamre me. Hareem ke sone ka waqt ho gaya tha aur Khirad Hareem ko ek story sunane wali thi jab uski sabse perceptive bachchi ne usse ye question kiya. Story sunane ka kaam to har roz Ashar ka hota hai lekin aaj uske sheher he bahir ek meeting ke wajay se, nahi suna paya.

"Nahi toh. Aapko aisa kyun lagta hai?" Khirad ne apni beti se wapis poocha.

"Nahi, woh bas... Aise hi... Aap papa se zyaada baat nahin karti hai, isliye."

Khirad ne ek lambi saans li aur Hareem ke baalo ko suljhate hue kaha, "Hareem, agar koi ek dusre se kam baat kare to iska ye matlab nahi hota ki woh dono ek dusre se khafa ho ya katti ho. Theek hai?"

"Ok, mama."

"Acha, aaj aapko kaunsi story sunni hai?"

Iske pehle ki Hareem kuch kehti Khirad ki phone bajne lagi. Khirad ne apna phone utha liya aur screen pe Ashar ka number dekhte hi usne recieve kar li.

"Hello, As-salamu-alaikum."

"Wal-aikum-assalam, Khirad. Kaisi ho?" Khirad ko apne shauhar ki awaz sun kar ek anjaani si sukoon mila.

"Jee, main theek hu. Aur aap?"

"Haan, main theek hu. Aur Hareem kaisi hai? Kya woh so chuki hai? I'm so sorry. Mujhe pata tha ki woh is time pe so jati hai..."

"Nahi, koi baat nahi. Woh abhi bhi soyi nahi hai. Li jiye. Baat kijiye usse." Khirad ne apne phone Hareem ke taraf badaya. "Hareem lo, apne papa se baat karo."

"Papa?" Hareem ne phone pe poocha.

Khirad ne Hareem se kaha ki woh dudh lane kitchen ja rahi hai aur woh paanch minute me wapis aa jayegi.

Khirad dudh lekar Hareem ke paas aayi to dekha ki Hareem bohot gehre neend me so rahi thi aur uske phone se Ashar ki awaz bhi aa rahi thi.

Khirad apni phone uthakar Ashar se hauli awaz me kaha, "Ashar, Hareem so chuki hai."

"Oh. Sorry, main Hareem ko ek boring story suna raha tha jo shayad usko bhi boring laga ho... Isliye shayad wo aaj jaldi so gayi..." Ashar awkwardly haste hue kaha.

"Jee.", Khirad ne kuch der baad kaha.

"To phir main rakhta hoon... Kal subha jaldi uthna hai... Phir parso me ghar wapas return karunga. So... Allah-Hafiz."

"Allah-Hafiz"

Call khatam karke Khirad sochne lagi.

Kya saari zindagi woh dono aise hi rahenge?

Kya woh dono apne maazi ko bhula sakenge?

Par Kaise?

Scroll down for more. 😳


Edited by DeewaniMastaani - 7 years ago

Created

Last reply

Replies

4

Views

2.5k

Users

2

Likes

7

Frequent Posters

DeewaniMastaani thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 7 years ago
#2
Part 2

"Papa!" Hareem chillate hue living room ki taraf bhaagi.

Khirad, jo sabzi kaat rahi thi chauk gayi aur galti se chaaku apne ungli me daba di.

"Ouch!" Khirad ne chaku chodke haath apne paas kheecha.

Abhi isi waqt hi chot lagni thi? Khirad sochne lagi.

"Khirad? Aap theek hai?" Ashar ki awaz kitchen ki taraf aayi. Uske kadam ki aawaz sunkar Khirad ne jaldi se paani ka tap kholkar apna haath paani me rakh diya.

"Haan Ashar, main bilkul theek hoon!" Khirad jaldi se apna haath ek dishtowel se wrap kar liya aur haath peeche rakh kar woh kitchen ke darwaaze ke taraf modkar khadi ho gayi. Usne tab dekha ki Ashar Hareem ko god me liye darwaaze ke bahar khada tha.

"Khirad, aapke haath ko kya hua?" Ashar ne Khirad ke taraf kadam badate hue poocha.

" Kuch nahi, bas..." Khirad ne apni nigaahein neechi kar li. Pata nahi use aisa kyun mehsoos ho raha tha ki jaise usne kuch galti ki ho aur use punishment milne waali hain.

"Hareem, mera bachcha aap ab TV dekhne jao, papa aur mummy abhi aate hai aapke paas. Theek hai?" Ashar Hareem ko zameen pe utarkar kaha.

"Theek hai, papa. Papa, mummy theek hai na?"

"Haan, mera bachcha. Aapki mummy bilkul theek hain. Ab jao, aap jaake cartoon dekhiye hum abhi wapas aate hai." Ashar ne Hareem ke gaal pe kiss kar ke use living room me bhej diya.

Hareem ke jaane ke baad Ashar wapas khada ho gaya aur Khirad ko puri gaur se dekhkar kaha, "Khirad, aap apna haath mujhe dikhaiye."



Khirad ne haule se apna haath Ashar ki taraf badaya. Ashar ne dishtowel kholkar Khirad ke khun se lathpath haath ko dekhkar hairan reh gaya.

"Khirad, yeh kaise hua? Aur aap yoon haath ko dishtowel se lapetkar kyun khadi thi? Aapko pata to hai, ye kitni dangerous hai! Aise zakhmon me bohot jaldi se infections ho sakte hai. Aap bhi na.." Ashar jaldi se kitchen ke ek cabinet ko kholkar first-aid box nikalkar bandages, dettol aur kuch cottons nikale.

Khirad Ashar ko dekhte hue waha khadi rahi. Ashar ne Khirad ke haat ko dettol se pochkar bandage kiya.

"Yeh lo. Ho gaya." Ashar ne apni nazrein upar ki to dekha ki Khirad Ashar ko ghur rahi thi.

"Khirad..." Ashar ne Khirad ke girte hue baalo ko hatakar kehne hi wala tha ki kuch tootne ki awaaz living room se kitchen me aayi.

Dono seedhe khade ho gaye aur ek dusre ke taraf dekhkar living room ke taraf bhaage.

"Hareem?!"

"Mama!" Hareem ek tooti flower vase ke paas khadi thi aur aansu bhari nazron se dono ke taraf dekha. Ashar aur Khirad, dono Hareem ke paas pohoche to Ashar ne Hareem ko apne god me uthaliya.

"Hareem, aap theek ho na? Aapko to koi chot nahi pohochi, hai na?"

"Nahi, papa." Hareem ne rote hue apna chehra Ashar ke kandhe me chupa liya.

"Hareem, kya hua? Mama ko batao. Aap kyun ro rahi hain?" Khirad ne Hareem ki lambi baal suljhate hue poocha.

"Maine flower vase tor di... I'm sorry, papa. Mujhe pata hai flower vase bohot mehengi hoti hai..."

"Hareem, mera bachcha, koi baat nahi. Hum aur ek flower vase khareed lenge. Theek hai?" Ashar ne Hareem ke aansu ko pochte hue kaha.

"Theek hai..."

"Chalo, aaj Hareem ko bhuk nahi lagi?"

Hareem ne haan me sar hilaaya aur boli, "Mama aaj soup banane waali thi."

Khirad ke gaal laali se bhar gayi and usne apni nazrein neeche hata li.

"Koi baat nahi, aaj hum bahar dinner karenge. Theek hai?"

"Haan, papa. Woh McDonalds' mein."

"Acha bhayi. Aapka hukum sarakhon pe. Chalo jaldi se ready ho kar aayo. Phir hum chalte hain."

Hareem khush ho kar apne kamre ke taraf daur padi.

"Khirad aap bhi jaake ready hoke aiye. Do din ke liye please, aap apni haath ko rest karne de. Koi bhari kam nahi chalega warna aapka zakhm heal nahi kar payega."

"Jee. Woh main... Aaj main bohot sharminda hu ki aap... aaj ek hafte baad ghar aakar aap mere waje se rest nahin le paye."

"Khirad, mere liye meri family se badkar aur kuch nahin hai. Aap dono ke sivaay mera aur hain kaun? Aap dono ke bagair main aur kya karunga? Khirad, mujhe pata hai hum dono ki maazi hume ek saath hone se rok rahin hain. Aap apne, khud ke kamre me nahin soti, aap yaha ka kuch apna nahin maanti, aap har cheez karne se pehle mujhse permission maangti hain jabki in cheezo pe aapka bhi utna hi hak banta hain jitna mera. Aap sirf meri beti ki maa nahin hain, aap meri biwi bhi hain. Aap Ashar Hussain ki biwi, Khirad Hussain hai. Aur main ye chaahta hu ki aap hume, humaari mohabbat ko dusra mauka de. Humaare beti ke liye nahin, balke sirf humare liye." Ashar ne Khirad ke haathon ko apne dono haathon me lekar kaha. Ashar ne apna sar uthaaya to dekha ki Khirad Ashar ko aansu bhare nazron se dekh rahi thi.

"Mai to us waqt hi humare mohabbat ko dusra mauka dene ke liye tayyar ho gayi thi jab aapne mujhpar lagi hui ilzaamo ko apne ammi ke saamne na-manzoor kiya tha. Main chaar saalo se us waqt ka hi intezaar kar rahi thi ki kab mujhe aap mujhe un jhuthe ilzaamo se rihaai dilwaayenge." Khirad ne Ashar se rote hue kaha.

"To aaj se hum humare zindagi ko phir se ek nayi daur se shuru karte hain. Ab aap apni aansu pochiye. Hum dono ek dusre ko phir se re-introduce karenge."

Khirad haste hue apne aansuyon ko pochne lagi.

Ashar ne apna daaya haath Khirad ke saamne badate hue kaha, "Main Ashar Hussain hoon. Aapki tashreef?"

"Main Khirad Hussain hoon."

"Aap jaisi itni khoobsurat aurat yaha par akeli kya kar rahi hai? Kya aapko McDonalds' pasand hai?"

"Jee haan pasand hai. Aap ye sawaal kyun pooch rahe hain mujhse?"

"Kyunki main aapko khaane ke liye waha le jaana chahta hoon. Aap chalenge mere saath?"

"Agar aap itne achche se pooch rahe hai toh chalte hai."

Ashar aur Khirad ek dusre ke taraf muskurakar khade rahe jab Hareem seediyon se utri.

"Mama, aap abhi bhi ready nahin hui?"

"Haan, aap ready kyun nahi hui?" Ashar ne Khirad se muskurate hue poocha.

"Main ready hoke abhi aayi."

"Aap please, woh blue suit pehniyega jo maine aapko pichle hafte diye the."

"Theek hai." Khirad muskurate hue apne kamre ki taraf chalne lagi.

Khirad chalte hue sochne lagi, Shaayad humari zindagi for once normal ho sakti hai.


Scroll down for more. 😳


Edited by DeewaniMastaani - 7 years ago
DeewaniMastaani thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 7 years ago
#3
Part 3

"Khirad, aap zara jaldi ki jiye please..Warna hum late ho jayenge shaadi ke liye... Ashar, Khirad ke room ke bahir darwaze pe khare ho kar kehta raha.

Aaj Ashar ki cousin ke shaadi ka function hai. Jisme use sabse pehle maujud rehna hoga.

"Hum ready hai. Hai na, Hareem? Khirad apne room ka darwaza kholte hua kaha. Ashar kuch kehne wala tha jo keh na paya..

Wo Khirad ko aisi nazron se dekh raha tha ke Khirad ki gaal laal ho gayi aur usne apni aankhein neeche jhuka li.

Ashar apna gala thik karte hue apni nazrein idhar udhar hata ne laga.

"Hume shayad abhi nikalna chahiye.

"Ji..

Ashar ne apni gari ghar ke samne park ki aur Khirad ke taraf morkar dekha ki dono Khirad aur Hareem gehri neend me so rahe the.

Gari se nikalkar pehle Hareem ko nikaalkar use haule se ghar ke andar lekar sofa par sula diya.

Phir daurte hue jakar Khirad ko bhi apne god me lekar ghar ke andar le aaya. Sabse chaukne ki baat hai uski neend ek bar bhi nahi tuti.

Ashar Khirad ke sar par haule se kiss kiya aur sochne laga Kaash Khirad samajh paati ki Ashar usse kis had tak mohabbat karta hai.

Ashar fauran Khirad aur Hareem ko Khirad ke kamre me sulakar apne kamre me sone chala gaya. Wo to chahta tha ki wo usi kamre me so jaye jisme uski biwi aur beti so rahe hai. Fir socha agar uske rehne par Khirad uncomfortable feel kare to unke beech fir se sab kuch awkward ho jayega. Aur Ashar ye bilkul nahi chahta tha..

Aaj uske cousin ki shaadi attend kar ke uske dil me aisi ek iccha jaagi hai jise wo pura karna chahta hai - Khirad ko apne dulhan ke libaaz me dekhna chahta hai. Aur use ye bhi maloom hai ki uska help sirf Hareem kar sakti hai.

"Mama?

"Ji Hareem, aapko aur kuch khaane ko chahiye?

"Nahi, mama. Mera naasta khatam ho gaya. Mai aur kuch nahi khaungi.

Aaj Ashar ke office me koi kaam nahi tha is liye aaj teen o milkar ek sath naasta kar rahe the.

Usne Hareem ko naste ke pehle hi apne plan me shaamil kar liya tha. Hareem to fauran raazi ho gayi.

"Acha Mama... Hum kal jaise us fuppo ki shaadi me gaye the...aur wo dulhan ke libaaz me kitni khubsoorat lag rahi thi... hai na?

"Ji Hareem Khirad muskurate hua kaha. Wo saare plates ek sath lekar sink par rakh diya. Fauran Ashar uthkar Khirad ki help karne laga.

"Ashar aap... kyun takalluf kar rahe hai? Aap baithe.. bohot din o ke baad to aapko ek chutti ka din mila hai... Khirad ne Ashar ke haath se dishes lete hue kaha.

"Takalluf kis baat ki? Apne biwi ki help karne me koi takalluf hoti hai bhala? Ye to farz maana jata hai... Ashar ne Khirad se muskurate hue kaha. Khirad ke gaal firse laal hone lage aur wo fauran Hareem ke paas jakar baith gayi.

"Acha! Meri baath suno na koi! Hareem ne gussa hokar kaha.

"Ok...Ok.. Ab bolo... Hum sabhi sun rahe hai.. " Khirad ne haste hue kaha.

"Haa. Jo mai keh rahi thi... Mama, maine jitne aap dono ke shaadi ke photo albums dekhe the..maine aapko kabhi dulhan ke libaaz me nahi dekha. Woh kyun? Hareem ne apne dono parents se poocha.

Khirad aur Ashar dono ek dusre ke taraf atleast ek minute ke liye ghur rahe the. Jaise dono ankhon se baat kar rahe ho.

Ashar ne jaldi Hareem ke taraf apne ankhein hata li.

"Hareem beta, woh is liye kyunki jab aapki mama aur humari shaadi hui thi tab aapki nani ka intekaal hua tha. Is liye hume ache se celebrate karne ka mauka nahi mila.

"Ok. But abhi to kar sakte hai na aap dono? Hareem ne firse poocha.

"Matlab? Aap kya kehna chahti hai Hareem? Khirad confused hokar Ashar ke taraf ek bar dekhkar fir Hareem se sawal kiya.

"Maa! Areh! Wo TV par dikhate hai na... jise kehte hai Remarriage! Ab aap dono ki to shaadi already ho chuki hai isliye sirf reception ka function kar sakte hai. Aur agar aap wo bhi na karna chahe to...

"Hareem! Khirad shocked hokar Hareem ko ghurne lagi.

"... sirf photos khichwa sakti hai.. Hareem ne apni baat khatam ki aur apne parents ke taraf muskurane lagi. Ashar usko dekhkar hasna chahta tha, magar use pata tha ki agar wo hasne lag gaya to Khirad ko ye pata chal jayega ki Hareem aur Ashar dono milkar kuch plan kar rahe hai. Aur wo ye hone nahi de sakta warna sab plans chaupat ho jayega. Ashar ko apni acting jari rahni paregi.

"Hareem beta aap ye kya keh rahi hai? Aisa kabhi nahi ho sakta! Khirad shocked hokar kehne lagi aur Ashar ke taraf dekhne lag gayi jaise ki wo use uski help karne ke liye expect kar rahi thi.

Ashar ne Khirad ko apna helpless look diya aur apne dono haath utha liye jaise wo kehna chahta tha Mai kya kar sakta hoon isme. Ye to ladkiyon ka mamla hai. Mujhe isme mat ghaseeto.

Khirad gussa hokar Ashar ko taar ne lagi. Aur phir Hareem ko samjhane ki koshish karne lagi.

"Nahi Mama! Mai aapko dulhan ke libaaz me dekhna chahti hoon bas! Mai kisi ki koi baat nahi sunungi! Ab aap log soche aap dono ko kya karna hai. Mai aap dono ko do din ka time dungi. Aap log baat ki jiye, mai ab bahar swing me khelne ja rahi hoon. Hareem daurkar bahar chali gayi.

Khirad shocked reh gayi. Uske dimag me sirf ek hi baat ghum rahi thi Ab Kya karenge?
Aur uske paas Ashar muskura raha tha ye sochte hue Plan successful!
Do Din Baad

"Ashar! Khirad gusse se Ashar ko bulaya jo lounge pe aram se newspaper par raha tha aur seeti baja raha tha. Khirad ke chillane se wo chauk gaya aur uske haatho se newspaper neeche gir gaya.

Ashar newspaper uthakar seedha baith gaya aur Khirad ko apna pura dhayan.diya jo uske samne aakar dat se baith gayi.

"Ji Khirad? Aapko kuch kehna hai? Ashar ne poocha.

"Aap apni beti ko samjhaiye ki jo wo chahti hai wo nahi ho sakta. Khirad ne kaha.

"Acha. Jab Hareem apki baat nahi maanti tab wo meri beti ho jati hai? Aur iab kuch acha karti hai to wo aapki beti ban jati hai? Are waah! Ashar ne muskurate hue Khirad se poocha.

"Nahi! Mera ye matlab hai ki...Ugh! Khirad gussa hoke uthne lagi tab Ashar ne Khirad ka haath thamkar rok diya.

"Acha sorry. Mai mazaak kar raha tha. Mai Hareem ko already samjhane ki bohot koshish kar chuka hoon. Par wo hai ki nahi manti. Usne jo thaan liya hai ab wo kar ke rahegi. Aur waise bhi mai kya aapko bohot bura lagta hoon? Ashar ne Khirad ke ankhon me ankhein dalkar poocha.

"Aap aisa kyun pooch rahe hai? Khirad ne apni nazrein jhuka li.

Ashar ne Khirad ki nazrein apni nazron se mila liya.

"To phir aap mere saath reception ka function kyun nahi karna chahti? Ashar ne firse poocha..

"Nahi... Wo bas... aapko to pata hai...mujhe zyada bheer nahi pasand. Aur bohot saare relatives honge jinhe mai janti bhi nahi hu. Aur waise humari shaadi ko kitna arsa beet chuka hai already aur humari beti kitni badi ho gayi hai.. Ab jaake reception ka function karenge to zara weird nahi lagega? Khirad ne saari reasons Ashar ko list out kar di jiske liye wo Hareem ki baat se inkaar karna chahti hai.

"Hmm... Ok. To mere paas iska bhi hal hai. Aap shayad bhool chuki hongi Hareem ka dusra option. Ashar ne Khirad se kaha.

"Dusra option? Wo kya tha? Khirad confused hokar Ashar se poocha.

"Wo ye ki agar hum reception ka function nahi karna chahte hai to phir hum sirf photos khichwa sakte hai har ek functions ke liye, jaise ki Haldi, Mehendi, Shaadi aur fir Walima. Ashar ne kaha.

"Magar in sab cheezo ka to bohot kharche honge - Khirad pareshan hokar kehne lagi.

"Wo aap mujhpar chor dijiye. Aap unki chinta mat kijiye. Aap sirf aapke favorite colors bata dijiyega. Baaki ka mai sambhaal lunga. Magar aapko meri ek sharrt maanni hogi.. Ashar apne lounge chair par araam se baithkar apne dono haath sar ke peeche rakhkar firse seeti baja ne laga.

" Kaisi sharrt? Khirad ne shakki aankhon se Ashar ko dekhte hue poocha.

"Yahi ki aapko mere saath Honeymoon me jaana padega.

"Kya?! Hum honeymoon - kab?!

Ashar apni chair par seedha baithkar Khirad ka haath apne haathon me le li.

"Jee. Mujhe lagta hai ki hume kuch waqt akele me bitaana chahiye. Sirf Hum do. Pure ek hafte ke liye. Ashar ne uske ankhon me dekhkar kaha. Khirad sharmakar apni nazrein firse jhuka li.

"Aur Hareem? Khirad ne poocha.

"Hareem se maine already baat kar li hai. Wo apni razamandi bohot pehle already de chuki hai. Ab sirf hum apki razamandi ka intezaar kar rahe hai. Aap kya chahte hai? Kya aap mere saath jana chahengi? Ashar ne Khirad se poocha.

"Thik hai. Khirad ne muskurate hue kaha.

"Aapne kya kaha? Maine shaayad galat suna. Ashar chaukkar Khirad se poocha.

"Maine kaha thik hai. Jab baap-beti sab plans kar chuke hai to mai isme kya kar sakti hu. Khirad haskar kehne lagi.

" Yay! Mama maan gayi! Hareem chillate hue unke taraf daur ayi.

Teen o has pare.


And they lived Happily Ever After.


The End.

Edited by DeewaniMastaani - 7 years ago
GrilledCheese thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 5
Posted: 7 years ago
#4
awesome story.. enjoyed reading this!
DeewaniMastaani thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 7 years ago
#5

Originally posted by: -GrilledCheese-

awesome story.. enjoyed reading this!


Thank you so much! 😳
Top