Unspoken Feelings.....

ITSABOUT_DMG thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 7 years ago
#1
hey everyone
Humera Here.
well this is an completely different concept n something which i never wrote before but i gave my precious day's n nights penning down this...
n  i hope i dnt dissapoint u all...
its upon u guys now...
without any further due
here's the first instalment of Unspoken Feelings...

Credit of the TITLE goes to my sister...๐Ÿ˜Š


                      INDEX


                  PART-1 BELOW
                 PART-2 WITH A NOTE
Edited by ITSABOUT_DMG - 7 years ago

Created

Last reply

Replies

36

Views

6081

Users

14

Likes

45

Frequent Posters

ITSABOUT_DMG thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 7 years ago
#2
               Unspoken Feelings

we see a lady lying on the bed with wires attached to her body... 
she held a boy 's hand in her hand as if taking promise 

lady - mujhse vaada karo ke tum Iska poora khayaal rakhoge... ispar koi aanch aane nahi dogey...
Issey itna pyaar karoge ke kabhi isey iski maa ke na hone ka ehsaas nahi hoga... 
vaada karo mujhse bete... 

boy weeps continuosly n nods his head n said 

boy - i promise maa 
mai Aapki saari baatein manunga 
but please aap badle mei meri ek baat maanlijiye 
mujhe... chodke mat jaiyie maa 
please mujhe chodke mat jaiyie 


lady smiles weakly n she took her last breath n closed her eyes 

boy looks at her n shakes her 

boy - maa 

he again shakes her 

boy - maa 
utho 

nurse came with doctor n doctor checked her pulse rate n sadly sighed n said to the boy 

Dr - i am sorry 
she is no more 


boy looked at his mother n shouts loudly 


boy - maaa 



...


a man came out of his dream sweating badly n he looks everywhere n wiped his whole face n got up from the bed 
he went towards the window n look at the sky 

an old lady walks in the room n saw him standing near the window looking at the sky 

she walks in n put a hand on his shoulder
he sensed her n quickly wiped his lone tear n turned towards her 

old lady - phir se uss din ko yaad karraha tha Tu

man - nahi toh 

old lady - jhoot mat bol 
apni daadi se chupayega 

she knows that being an introvert he never shows his emotions to anyone 
she caressed his hair n said 

daadi - raat bahot hogayi beta jaakar soja 

he nods n she kissed his forehead n he went towards his bed n laid down on the bed 

she caressed his hair n he quickly slept as her touch is all he needs when he remembers that dreadful day 
when his mother passed away n unfortunately an angel came into his life on the same day 



daadi smiles weakly n went out from his room n she went in. the other room which is not less than a fairytale princess room it was a big room with all types of teddy bears placed around the bed n in the centre of the bed there is a cute girl who is in her teenage n  was  hugging a photo frame while sleeping 

she smiles n went towards her n caressed her hair lovingly n placed a soft kiss on her forehead 

n then she slowly took out the frame n saw her grand children's  picture in that 

she caressed the picture n looked at the girl who was sleeping peacefully 


daadi - ek dusre se itna pyaar karte hai 
par kabhi nahi dikhate 
kehne ko toh bhai behan hai 
par rehte ajnabiyo ki tarah hai 
pata nahi Inn do bacchon ke beech itni dooriyan kyun Aagayi 
ek taraf ARMAAN hai jo Issey itna pyaar karta hai ke isey Halki si kharoch bhi kyun na aaye 
dard se tadapta woh hai... 
aur dusri taraf alia (daadi caressed her hair)  jo armaan ko apna sab kuch maanti hai 
uske bina ek din bhi nahi rehsakti 
uska kaha har shabd iske liye pattar ki lakeer hai 
aur toh aur ( she smiles with Lil tears in her eyes)  apna surname apne bhai ka naam rakhliya 
Alia Armaan Mallik 

daadi smiles wide with tears in her eyes 
she wipes her tears n placed the frame on the bed side table 
she walks out of the room n went inside her room n took a lady 's pic n started talking to her 

daadi - ananya 
Tuney armaan se kasam toh leli 
par uss kasam ko nibhate nibhate woh apne aapko kahin kho baitha...
 alia ko dekhey bina uska din shuru nahi hota usey dekhey bina uski raat khatam nahi hoti... 
aur alia uss bacchi ka mai kya kahun 
itni sehmi sehmi rehti Hai... 
uske bhaiya uske liye sab kuch hai 
ussey darti bhi hai par ussey pyaar bhi bahot karti hai... 
iss umr mei Bacche kitni shaitaniya karte hai 
par alia chup chap rehti hai 
Kisise zyaada baat nahi karti 
Kisise zyaada milti jhulti nahi 
bass apni hi ek alag duniya hai uski 
shayad Jahan sirf woh aur uske bhaiya ka ehsaas hota hai... 
Armaan ne bachpan se lekar aaj tak uski har choti cheez ka khayaal rakha 
uske bole bina uski har qwaish poori ki 
par shayad pyaar jatane mei peechey hatgaya... 
jab raj ( armaan n alia 's father)  iss duniya se Chal basa tumhare kok mei uska ansh chodkar 
jabse armaan badal gaya 
humne hamara hasta khelta armaan khodiya tha... 
par jab tum bhi usey chod kr chali gayi woh poori tarah toot gaya... 
uski zindagi mei shayad hi sirf ek hi maksat hai 
apni maa ko diya hua vaada nibhana... 
( daadi hugs her photo) 




it's a story of a brother n sister 
armaan n alia who loves eachother unconditionally 
but due to some unknown reason they both stay away from eachother... 
Armaan is 13 yrs elder than alia n 
alia is 13 yrs old  
he struggled alottt in his life 
he spend his years of day's  n night's  in making money just to fulfil his Lil princess every wish... 
now at the age of 27 he is a successful business man of the nation... 

the story only revolves around armaan. n alia 
n there is no ridhima 's role here... 
it's about the pure relationship of a brother n sister who loves eachother from the core of their hearts but hold back their emotions as not to hurt eachother in any sense... 

______________________________



daadi armaan alia all three of them seated in the dining table having their breakfast 
armaan as always busy in his phn checking mails 
daadi was applying jam on bread to feed alia 
n alia playing with the spoons not making much voice 

armaan eyes laid on her n she is dressed in her school dress with a ponytail looking cute playing with the spoons like daandiya 

he smiles at her n was watching her every expression carefully 
where as she got bored of playing daandiya with spoons n 
sighed n started dangling her legs looked at daadi n then her gaze fell on her bhai who immediately moved his gaze from her n was busy in his phn 
she smiles seeing at him 

alia - daadi 

daadi - haan ( placing the toast in her plate) 

alia - mumma ko bhi bhaiya ki tarah gaal par dimples padte they??? 

she asked innocently n armaan looked at her n daadi looked at armaan 

alia thought may be he will become angry n dropped her gaze n said 

ri - sorry daadi ( slowly) 

armaan - daadi mera hogaya 
i have to go 

daadi simply nods her head n alia felt bad hurting her brother n a tear rolled down her cheeks which she wiped soon 
but armaan noticed that n he immediately turned his back at her not wanting to see her in tears 

ar- ramesh uncle ( driver who is similar to his father's age ) school se pick karlenge 
kisibhi friend ke saath ghr aane ki koi zaroorat nahi hai 
wait till he comes to pick u 

alia - ok ( in a mere whisper) 

daadi looked. at both of them n she can't do much abt these two kids 
she never understood  what is keeping them away from eachother 
she tried to talk to armaan many times abt his cold behaviour towards alia 
but he always skip that topic n even gets angry often 
so daadi avoids this discussion as things only get worse talking to him 

armaan went after taking his belongings n alia ate little n she too got up from the chair taking her bag n daadi gave her tiffin n bottle which she kept in her bag n went from there bidding bye to daadi

daadi sat on the sofa thinking abt them 
where as saroj

 ( one of the oldest maid in the house n she is like a support to daadi 
she knows everything abt alia n armaan n daadi always gets sad n even burst into tears thinking abt them 
how they are staying away from eachother 
but saroj supports her n even give strength to her that one day these distance between armaan n alia will come to an end) 

saroj - kya soch rahi ho didi 

daadi - aur kya soch sakti hun mai saroj 

saroj - baba aur alia baby ke baarein mei soch rahi ho na 

daadi - pata nahi saroj 
kabhi kabhi mera dil bahot darr jaata hai ye soch kar ke ye dooriyan Inn Bacchon ko kahin ek doosre se alag na karde 

saroj - aisa mat sochiye didi 
aisa kuch nahi hoga 

daadi - kya karun mai Saroj 
aisa kya karun ke armaan alia ko poori tarah apnaale 
uski aankhon mei apni behan ke liye Chinta dekhti hun 
Gussa dekhti 
pyaar bhi dekhti hun 
par kabhi ye samajh nahi paati ke Woh alia se doori kyun banaye rakhta hai 
kyun usey apne paas aane nahi deta 
kyun ussey pyaar se baat nahi karta 
woh bacchi sirf uske pyaar ke liye tarasti hai 
uski aankhon mei ek umeed dekhti hun mai ke Kaash armaan usey bass ek baar pyaar bhari nazron se dekhey 
par har baar woh haar jaati Hai saroj 
zyaada kya maang rahi hai meri bacchi 
bass pyaar hi toh chahiye ussey 
usne na kabhi apne maa ko dekha na kabhi apne baap ko dekha 
sirf ek bhai hi toh hai 
agar woh bhi usse pyaar nahi karega toh kaise jiyegi woh 
kiske liye jiyegi 

( by now daadi eye's filled with loads of tears n even saroj started weeping) 

saroj - aisa mat kahiye didi 
aap hai na alia ke paas 
aap aur hum sab milke usey pyaar karte hai na 
aur baba bhi toh ussey pyaar karte hai 
bass dikhate nahi 

daadi - kaisa pyaar saroj 
ye kaisa pyaar  hai 
usey apne se door kiye jaaraha hai 
usey takleef mei toh dekh nahi sakta 
par anjaane mei hi sahi woh khud uske  takleef ka uske dard ka kaaran bangaya hai
aur mera kya hai mai kabtak jeeyungi saroj 
ek na ek din toh mujhe bhi mere bete aur bahu ke paas jaana hai 
tab kya karega armaan 
kaise sambhalega Khudko aur alia ko 
tab kaise rahenge ye Dono 
mere saamne hi anjaano ki tarah rehte hai 
pata nahi mere na hone par kya haal hoga Inn Dono ka 

saroj - aisa mat kahiye didi 
aap kahin nahi jaane waali 
dekhna ek din aapke saamne ye Dono haste muskuraate rahenge ek doosre ke saath 

daadi - pata nahi woh din dekhna mere naseeb mei hoga bhi nahi 

saroj - zaroor hoga didi 
aap Fikar mat kijiye 


____________________________________________________________


alia is sitting in the canteen of their school with her one n only best frnd dolly 
who is like a sister to alia 
she knows her in n out n even the unfamiliar bonding of her n armaan 
she is like a pillar to alia 
who makes her laugh 
who makes her smile 
n alia never cries infront of dolly 
she do shares her sorrows with her but she never cried infront of her 

dolly - ye miss dsouza bhi na 
kitne projects Deti hai yaar 
mera toh Mann karta hai khoon kardun mai uska 
arey yaar chutti waale din toh hamey enjoy karne do 
har baar project dena zaroori hota hai kya
idiot kahin ki 

she was cursing miss dsouza for spoiling her Sunday by giving the toughest project 
she kept on blaberring n alia was in her own world 

she was just busy in writing something in her diary 
as she always Penn down her feelings in diary 


alia -( in her mind while writing)
 aaj bhaiya ko maine phir se hurt kardiya 
meri wajah se woh phir se sad hogaye... 
i am sorry bhaiya 
please mujhe maaf kardijiye 
mai aage se kabhi aapko hurt nahi karungi 
kabhi mumma ke baarein mei kuch nahi poochungi 
kabhi koi aisi baat nahi karungi jisse aapko mumma ki yaad aati hai 
aapko mujje punish karna hai toh kijiye par please mujhse nafrat mat kariye 
mai Aapki daant sehsakti hun 
aapka Gussa sehsakti hun 
par Aapki nafrat nahi sehsakti please mujhse kabhi nafrat mat kijiye 
please bhaiya 

dolly looked at her who was busy writing something in diary 

dolly - oye alia 

she nudges her n she quickly closed the diary n kept it in her bag 

alia - haan 

dolly - ye tu kya likhti rehti hai diary mein 

alia - kuch nahi 
bass aise hi important notes point down karrahi thi jo project ke liye kaam aayenge 


dolly - arey yaar Tuney abhi se kaam karna shuru kardiya 
project par 

alia - haan 
aise free rehkar kyun time waste karna 

dolly - pagal 
ye free time nahi lunch break hai 
Chal jaldi khaana khaale 
hum basketball court jayenge 

alia - mera Mann nahi hai 
tu Ja 

dolly - arey aise kaise Mann nahi hai 
Chal jaldi jaldi khaa 


she herself starting eating n alia again ate little from the tiffin box... 



______________________________



Armaan's office 


armaan is busy in giving assignments to his employees in conference hall n one man is noticing him 
he is of same age of armaan n he is a financial advisor of his company 
though he is his friend but his position in Armaan's company is not by the sake of friendship 
it's because of his ability he is a financial adviser of Mallik enterprise 
a great friend of armaan...

man -( in his mind)  
pata nahi iss ladKe ko Koun samjhega ??? 
ye itni mehnat karta hai din raat sirf ek insaan ke liye aur woh hai alia 
iska sabkuch hai 
iski jaan basti hai Usme 
uski har choti si choti zaroorat ka khayaal rakhta hai par pata nahi kyun usey apne aapse alag karta hai 
kyun uske saath saath apne aapko bhi takleef deraha hai...

Armaan finished his conference n all went to their work 

armaan was again busy in his file when that guy looked at him n said 

guy - so 

armaan looked at him n asked 

ar - what??? 

guy - plan kya hai 

ar - kis baat ka plan arjun

yes his name is arjun 

arjun - ek hafte baadh alia ka birthday aaraha hai 
iss baar kya karega 
har saal ki tarah apne aapko kisi kaam mei busy rakhega. 
ya phir koi gift. bhi dega??? 

armaan closed his file n looked at arjun n said 

ar - usey kya gift dun 
ye sab kuch toh uska hi hai 

arjun - ghalat armaan 
tu ghalath bolraha hai 
ye sab kuch uska nahi hai 
par jo uska hona chahiye 
wahi uska nahi hai 

ar - tu kya kehna chahraha hai arjun 
saaf saaf bol 

arjun - mai kya kehna chahraha hun ye tu ache se jaanta hai armaan 
par phir bhi anjaan banne ki koshish karraha hai 

ar- mujhe kya pata tu kya kehna chahraha hai 

armaan sat on his chair n again took his file 

arjun came infront of him n snatched his file from his hand n said 

arjun - stop this nonsense armaan 
bandh kar ye tamasha 
kyun ussey itni takleef deraha hai tu 
kyun uske saath dushmano ki tarah bartaav karta hai 
uski ghalti kya hai armaan 
uski kya ghalti hai agar uske aankh kholne se Pehle usne apni maa ko khodiya 

armaan closed his eyes n clenched his fist with anger 

arjun - usko har pal iss baat ki saza kyun deta hai tu armaan 
agar Tuney apni maa ko khoya toh usne bhi khoya hai 
Tere paas toh Teri maa ki yaadein hai 
tere papa ke saath bitaye hue woh saare pal hai 
par uske pass kya hai armaan kuch bhi toh nahi 
na maa ki yaadein 
na papa ki kahi hui baatein 
kuch nahi hai armaan uske paas 
sirf tu aur daadi uska sab kuch hai 
tu kyun nahi samajh raha 
alia ko kabhi Inn cheezo ki zaroorat nahi thi 
usey sirf Teri zaroorat hai 
tere pyaar ki zaroorat hai 
ek baar uski taraf pyaar se dekh armaan 
sirf ek baar 
phir dekhna uske chehre par jo khushi hogi woh Inn sabse badhkar hogi... 

armaan. angrily stood from chair n said 

ar - tu shayad Bhool raha hai ke ye office hai 
yahan personal baatein karna aur sunna mujje bilkul bhi pasand nahi hai 
apne kaam se kaam rakhiye Mr arjun singhania... 

arjun backed off n said 

arjun - Kab tak armaan 
Kab tak sachai se bhaagta rahega tu 
aaj toh phir Tuney mujhe apne gusse se chup karadiya 
par ek din tujhe ye baat ka ehsaas hoga ke Tuney Abtak jo bhi alia ke saath kiya woh kitna ghalath tha 
aur shayad tab tak bahot der hochuki hogi armaan 

he went from there leaving angry n emotional armaan behind 

he closed his eyes n sighed sitting on the chair 
he opened the drawer n took a photo frame n caressed the picture 

it was a pic of alia smiling looking at the camera 

ar - i am sorry alia 
i am really very sorry 
aaj tumhare aankhon mei phir se meri wajah se aansu aaye 
mujhse Please Pyaar ki umeed mat lagao alia 
mai tumhe woh pyaar nahi desakta Jiske liye tum tadapti ho 
mai chah kar bhi ye nahi Bhool pata ke tumhe duniya mei laane ke liye maa mujhe chod kar chali gayi 
i am sorry 

he wiped his tears n kept the picture inside his table drawer


______________________________


dolly - alia Tera toh next week  birthday hai na 


alia - haan 

dolly - arey aise sad kyun horahi hai 

alia -mai kahan sad horahi hun 

a girl came with two of her chamchi  's n said in full attitude tone 

girl - sad nahi hogi toh aur kya hogi 
apna bday kaise manayegi 
uss din iske mumma ki 14 th death anniversary jo hai 

alia looked at her with some tears n dolly looked at alia 

dolly - oye Tina 
apna mooh bandh kar Samjhi 
warna Tera mooh tod dogi 

Tina - kyun todogi mera mooh maine ghalath kya kaha 
Sach toh bolrahi hun na 
hai na girls 

girls - yesss 

tina - i wonder ke iske ghr par Kounsa occasion theek se manate honge 
iski not so happening birthday ya phir iski mumma ki death anniversary 

dolly - dekh Tina tu apne limits cross karrahi hai 
zyaada bakwaas karegi toh principle ko jaakar complain kardungi 
Samjhi 

Tina - Ohh no 
mummy mujhe Bachao 
mai toh darr gayi 

she started laughing with her chamchi 's n alia looked at her n controlled her tears n said normally 

alia - tum sahi kehrahi ho Tina
mere ghr par do occasions bhi manate hai 
mera birthday bhi 
aur mumma ki anniversary bhi 

dolly - alia tujhe Isey explanation dene ki zaroorat nahi hai 
aur tu ( pointing her finger at Tina) 
door rehna alia se Samjhi 
agar ye chahegi na toh ek min mei tujhe aur Teri chamchiyo ko iss school se out karsakti hai... 
tu shayad Bhool rahi hai iss school ke trustee iske bhaiya hai... 
ek second ka kaam hoga iske liye tujhe yahan se bahar nikalne ka 
par u knw what ye Teri tarah giri hui nahi hai... 

Tina glared at her n she continued 

dolly - aise kya aankhein phaad kar dekh rahi hai...
agar phir se alia ko pareshaan Kiya na toh tu mujhse nahi Bachegi Samjhi 

Tina was abt to snap her back when dolly said 

dolly - chal alia 

she held her hand n went from there 
where as alia was controlling her tears 

Tina stomped her feet... 


dolly - dekh alia tujhe uski baaton ko itni importance nahi deni chahiye. uska kya hai woh kuch bhi bolte rehti hai 
par please tu uski baaton ke baarein mei zyaada mat soch 
tu... 

alia cut her in the middle n said 

alia - it's ok dolly 
i am fine 

dolly - no u r not at all fine 
insaan hi hai tu alia it's fine agar tu thoda sa rolegi 
koi kuch nahi kahega 
please apne aapko itni takleef mat de 
apne andar itna saara dard mat chupa 
please rodey alia 
please 


alia smiles weakly n said 

alia - i am fine dolly 
tu tension kyun lerahi hai 
mujje kuch nahi hua 

dolly was abt to retort when they heard a car 's honk 
they both looked towards the car n saw ramesh waiting for alia 

alia - ramesh uncle aagaye 
mai chalti hun 
bye 

she went from there trying hard to control her tears which are ready to come out from her eyes 

dolly looked at her retreating figure n said to herself 

dolly - god ji 
please iski sadness door kardijiye 
please kuch aisa kardijiye jisse iski aur iske bhaiya ki beech ki saari dooriyan khatam hojaye 
please god ji 



alia sat in the car n she cried silently keeping her palm on her mouth... 

she hides her face in her palms n sobbed lightly 

ramesh saw her crying from the mirror n he really felt sad for this poor girl 


he had tears in his eyes seeing her crying miserably 
though he is a driver but he is very old servant in his family from her father's time 
Armaan's father treated him as a family person n he helped him financially alottt... 
ramesh always tries to cheer her up as Armaan's father used to tell him 
whenever he will have a girl child 
he will never bring tears in her eyes 
he will pamper her like a princess 
he will love her unconditionally 
she will be daddy's princess 
n ramesh used to pray that may his wish come true 
but destiny always plays with our life's 
Armaan's father passed away in an horrible accident n because of his death 
her mother suffered from depression 
which leads complications in her pregnancy 
doctors told her earlier that they can only save anyone of them either mother or child 
ananya wants to give life to this child so she said them to save her baby... she thought that without her husband her life is useless...

 
the car stopped in a traffic signal n armaan's car was besides alia 's car 

he was tired of the noise pollution of this city n he angrily pressed the horn as it was getting on his nerves now 

suddenly his gaze fell on ramesh n he looked at the back seat 
there he saw his princess crying silently  his heart pierced 
he felt as if someone stab him on his heart 
his eyes filled with loads of tears seeing her crying 
her state was vulnerable
he wants to get down from the car n immediately wants to took her in a hug 
he wants to assure her that everything will be fine 
he wants to console her 
he wants to take all her pain away 
but he is the reason of her pain 
he wants to shower her with loads of love n care but 
something is stopping him to do that 

he was bring out of his thoughts when he heard lots of horns 
he saw that her car is no more infront of him 
he looked here n there but can't find her 
he started his engine n droves as fast as he can 



______________________________


alia got down from the car n ran in the house 
where as Armaan's car stopped rite after she went inside the house 
he rushed inside just to see her glimpse 

ramesh saw his worried lines on his forehead n thinks that may be because of work he must be worried 


alia was going up in the room when armaan stopped her 

ar - alia 

she stopped in her tracks n soon wiped her tears n slowly turned towards him 

her face was all red but she kept a smiling face as if showing him that she is fine 
but little did she know that he saw her crying in the car n just a look on her face he very well can understand that she must be missing their mother 

alia - ji 

ar - tum 
( he looked here n there)  
tum ghar kaise aayi 

he wants to ask her that is she fine but asked something else 

alia - ramesh uncle ke saath 

ar - hmm 
theek hai 
apne kamre mein jao 

alia - ji bhaiya 

she went in her room quietly n armaan looked at her worried for her n he went back in his room 
closed the door n sat on the bed 

ar - kyun mai uske aansu Nhi dekh sakta 
kyun ussey takleef mei nahi dekhsakta 
kyun na chahte hue bhi uske dard ka Zimmedar mai khud banjaata hun


he took his parents picture frame from the table n said 

ar - mom dad 
aap mujhe chod kar kyun Chale gaye 
mai kya tha 
aur ab kya hogaya hun 
alia ke saath na chahte hue bhi mujhe dooriyan banani padrahi hai 
kyun uske takleefo ka kaaran bangaya 
maa aapne toh mujhse vaada liya tha na ke mai Isey itna pyaar karun ke isey Aapki yaad nahi aaye 
par mai aapka vaada nahi nibha paraha hun mom 
nahi nibha paraha 
i am sorry mom 
i am sorry 



other side in alia 's room 

daadi came n saw her doing her project sitting on the study table 

she went inside n caressed her hair 

daadi - alia 
Bacche abhi toh aayi school se aur phir se padhayi mei busy hogayi 
beta thoda aaram karle 

alia - nahi daadi 
mujhe aaram nahi karna 

saroj came inside n said 

saroj - didi aaj phir se alia baby ne lunch theek se nahi Kiya 

daadi looked at alia n alia bowed her head down 

daadi - ye kya hai alia 
tum har roz lunch theek se kyun nahi karti 
subah breakfast bhi theek se nahi Kiya aur lunch bhi theek se nahi Kiya 
aisa karegi toh beemar padh jayegi Bacche 

alia- daadi mujje Bhook nahi lagti 


ar - kyun 

he came inside n everyone looked at him 
alia stood besides daadi holding her corner of pallu n saroj n daadi looked at eachother 

saroj - baba woh 

he interrupt her 

ar - nahi choti daadi
 
( alia n armaan address her as choti daadi because saroj is a part of their family from the time armaan 's parents got married  n they respect her alottt) 

ar-ek second 
mai alia se baat karraha hun 

looking at alia 

ar - kyun Bhook nahi lagti tumhe 
kya mai jaan sakta hun 

alia - bhaiya 
woh... 

daadi - Armaan 
Bete mai Isey samjha dungi 
tu fikr mat kar 

ar - nahi daadi 
agar aise hi aap iske ghaltiyo par parda daalegi toh ye hum sabke haath se choot ti jayegi 

daadi - bete isne ghalti nahi ki 
bass iska Mann nahi Kiya hoga 

ar - toh Issey kahiye ki apna Mann lagaye rakhe 
aise apne health ko neglect karna theek nahi hai 
har baar iska khayaal rakhne koi saath nahi rahega 
isey apna khayaal khud rakhna seekhna chahiye 
kal ko agar mujhe kuch hogaya... 

alia - i am sorry bhaiya 

she did not even wants him to complete his sentence so she speak further 

alia - i promise aage se mai apna khayaal rakhungi ( her voice stuck in her throat) 
aapko 
kabhi kuch nahi hoga 
please aisa mat kahiye 

everyone felt sad hearing her soft sobs while daadi glared at armaan for making her cry n armaan came forward to stop her from crying but daadi showed her palm as to stop coming near her n took her in embrace 

daadi - nahi rotey bete 
hmmm 
daadi hai na tere paas 

armaan left the room n daadi caressed her hair n kissed on her head lovingly 

saroj brings a glass of juice n said 

saroj - alia baby 
Dekho
maine aapka favourite juice banaya 
mango juice 
chalo jaldi jaldi ye peelo 

alia came out of daadi 's  embrace n wiped her tears 

saroj came n gave glass to alia 
she took the glass n started drinking it 
daadi smiles n went from there 
thinking to give armaan a piece of mind 


in Armaan's room 


daadi - ye kya tareeka hai alia se baat karne ka armaan 

ar - daadi woh mai 

daadi - kya woh mai 
dekh armaan 
agar tu usey pyaar nahi dena chahta toh usey takleef bhi mat dey 
kabhi toh ussey pyaar se baat kar
hamesha usey darata hai... 

ar - daadi please aap phir se mat shuru hojaiye. 
iss baar maine usey zyaada bhi nahi daanta

daadi - tu Kab samjhega bete 
uski koi ghalti nahi thi armaan usey kiss baat ki saza deraha hai... 
aise karke tu na sirf alia ko chot pahuncha raha hai 
balke ananya ki aatma ko bhi chot pahuncha raha hai 
kitni takleef hoti hogi usey apni bacchi ko rota dekh 
abhi bhi der nahi hui armaan 
alia abhi bhi tere pyaar ke liye tarasti hai beta 
usey ek baar pyaar se baat karke dekh 
sirf ek baar 

armaan couldn't hold his emotions back n said loudly 

ar - nahi desakta mai usey woh pyaar Jiske liye woh tarasti hai 
nahi karsakta mai aisa daadi 
Jab mai uski taraf dekhta hun toh mujhe maa ki li hui aakhri saans yaad aati hai 
woh 13 saal ka armaan yaad aata hai 
Jisne apni maa ko marte hue dekha tha 
aap hi batayie mujje daadi mai kya karun 
kya karun ke ye yaadein mera peecha chode 
kya karun aisa jissey woh pal mere dil aur dimaaq se mitjaaye 
kya karun mai daadi 

he sat on the bed defeated n tears rolled down his cheeks 

ar - jo vaada maine maa ko diya tha 
aaj tak usey nibhane ki koshish karraha hun daadi 
par mai haar gaya 
nahi nibha parahahun mai vo vaada 

daadi came n sat beside him caressing his hair 

daadi - ek baar woh sab kuch bhula kar apni zindagi mei aage badh beta 
jaanti hun Tere liye bahot mushkil hai par ananya ke liye alia ko apnane ki koshish kar armaan 
sirf ananya ke liye

armaan wiped his tears n said 

ar -mujhe iss baarein mei baat nahi karni daadi 
aap please kuch der mujhe akela chod dijiye 



daadi understood that his answer is no 
she got up from the bed n went from there 


next day 

asusual armaan went early to the office 
n alia went to school 

at school 


in the classroom 

miss dsouza - so class 
i hope u all are doing well this morning 

all - yes mam 

dolly n alia looked at eachother n smiles where as tina was blowing air on her nails n dolly mimicked her which makes alia smile 

miss - well i have a great news for all of u 

dolly - what ma'am 

miss - be patient dolly 

dolly smiles sheepishly n everyone laughs at her 

miss - silence 

everyone kept quite n miss dsouza continued 

miss - day after tomorrow we r going to shimla 
it's a 2 days trip to shimla n i hope everyone will enrolle their names to Mr bhatia who is our incharge 

everyone squealed with joy n dolly clapped her hands 

miss - quiet 

everyone kept quiet n miss dsouza said 

miss - i want each n every one of u to participate in the trip 
am i clear 


all - yes ma'am 

miss - good 


with that the class was finished n everyone were discussing abt what to wear n all that stuff 

dolly - yayyy alia 

she hugged her n alia smiles 

dolly -finally mujje shimla jaane ko milraha hai 
tujhe pata hai alia 
mujje na bachpan se shimla jaane ka Mann tha 
jab bhi holidays milti thi na mai mumma aur pappa ko bolti thi ke shimla jayenge 
par woh Dono toh meri baat hi nahi maante they 
ya toh nani ke yahan patiala le jaate they 
ya phir bua ke yahan chandigarh 
but ab finally shimla jarahi hun mai 


she looked at alia who was engrossed in her thoughts 

she nudges her 

dolly - oye 
kahan khogayi 

alia looked at dolly n said 

alia -bhaiya nahi manenge 

dolly - kyun nahi maanenge 
zaroor maanenge 
tu ek baar pooch ke toh dekh 

alia - nahi dolly 
woh nahi manenge 
aur mai aisa kuch bhi nahi karna chahti jiski wajah se woh mujhse naraz hojaye 

dolly - alia 
tu ek number ki duffer hai 
arey tu bhul gayi kya 
tere bhaiya iss school ke trustee hai 
toh management ne unse poochkar hi toh ye trip decide kiya hoga na.. 

alia - haan ye toh theek hai par

dolly - par var kuch nahi 
tu bass chalrahi hai mere saath n that's final 
agar tu nahi poochegi toh mai tere ghr aakar tere bhaiya se poochungi 
ok 

alia - nahi nahi 
mai khud poochlungi 

dolly - good girl 



mallik mansion 

everyone was dining together silently 
alia looked at armaan who was silently eating n she nervously asked 

alia - daadi 

daadi n armaan looked at Alia n daadi said 

daadi - haan bete 

alia - Woh... actually... 
mujhe... aap... se... aap Dono se... kuch poochna tha... 

daadi - haan bolo 

alia - Woh ( she looked at armaan who was looking back at her) bhaiya 
Parson... shimla... 
i mean... 

daadi - kya baat hai bete saaf saaf bol na 

alia looked at daadi n before she replies back to her armaan said 

ar - so u want to go 

daadi n alia looked at armaan n alia said 

alia - agar aap mana karoge toh nahi jaungi 

she looked down n armaan looked at daadi who was confused abt their Lil conversation 

ar - ok 

she was sad that he did not gave her permission n armaan looked at her dull face n said 

ar - make sure ke tum apna khayaal rakho 
wahan daadi ya choti daadi nahi honge tumhara khayaal rakhne ko

she looked at him n asked 

alia - matlab aapne mujhe... permission dedi 

he looked at daadi n said 

ar - daadi iski packing kardijiye 
2 din ke liye shimla jarahi hai 
school ki management ke saath 

she smiles wide n daadi nods he got up from the table n was going in his room 

alia - bhaiya 

he stopped n turned towards her n she. said 

alia - thank you 

she smiles wide n her eye's shine with the happiness 

for the first time his heart felt at peace seeing her smiling wholeheartedly 
he never felt relaxed seeing her before 
but today his Little gesture made her happy n that was like as if he achieved a huge thing in his life 

he nods n went from there 

she smiles wide n said to daadi 

daadi - mai dolly ko phn karke batati hun ke bhaiya ne mujhe permission dedi 
ok daadi 

she smiles wide n daadi nods happily 

saroj came n said 

saroj - alia baby ko dil se muskurate hue dekh kar bahot acha laga na didi 

daadi - haan saroj 
aaj Pehli baar maine isey itna khush dekha 
bass aise hi ye khush rahe hamesha
 yahi Dua hai meri 


saroj n daadi smiles looking at eachother 


In Alia 's Room 


alia - tujhe pata hai dolly 
bhaiya ne shimla jaane ke liye permission dedi mujje 

dolly - Wowww alia 
it's amazing 
maine kaha tha na woh mana nahi karenge 
par tu maan hi nahi rahi thi 


alia - haan dolly 
aaj Pehli baar bhaiya ne meri baat suni aur toh aur bina daadi ke kuch kahey mujhe permission dedi 
mujhe bahot acha laga 


she smiles wide n dolly said 

dolly - Woh toh manenge hi na alia 
Kab tak tujhse baat nahi karenge 
kabhi na kabhi toh unhe ye feel hoga na ke Woh jo karrahe they Abtak woh kitna ghalath karrahe they 


alia - tu bhaiya ke baarein mei aise mat bol 
mujhe bilkul acha nahi lagta 

dolly - arey maine kya kaha 

alia - yahi ke bhaiya ghalath they 
bhaiya kabhi ghalath nahi they 
unhone kuch bhi ghalath nahi Kiya 


dolly - ab tu Toh tehri tere bhaiya ki chamchi 
tujhe samajh nahi aayegi meri baat 

alia smiles n said 

alia - haan 
meri marzi 
mai bhaiya ke khilaaf kuch bhi nahi sun sakti Kyunki woh iss world ke sabse best bhaiya hai 
sabse ache bhaiya hai 
aur tu The Armaan Mallik ki burai mere saamne karrahi thi woh bhi The Alia Armaan Mallik ke saamne 

dolly smiles n shook her head n said 

dolly - ok meri bebe
nahi karti tere bhaiya ki burai 
bass 

alia - bebe??? 
ye kya hota hai 

dolly - arey pagal 
jaisa loag bore honey pe kehte hai na 
meri maa kehkar 
waise hi mai meri bebe kehti hun 
unique style u see 

alia laughed n said 

alia - Acha Chal mai phn rakhti hun 
bye 

dolly - bye 


alia hungs up the call n there she saw daadi n saroj coming inside with huge smiles on their faces 


alia - kya Hua aap Dono mujhe dekh kar kyun smile karrahe ho 

daadi - aaj tujhe itna khush dekh kar bahot acha laga bete 
( she came n sat infront of her n caressed her hair) 

daadi - aise hi muskurate hue rehna 
bahot pyaari lagti hai 


alia smiles more n saroj said 

saroj - waise didi 
hum alia baby ke bina itne din kaise rahenge 
ghr toh ekdum suna suna hojayega 
hai na didi 

alia - Oho choti daadi 
main hamesha ke liye nahi jarahi 
sirf do din ke liye jarahi hun 


daadi - do din bhi hamare liye do saal ke Barabar honge na bete 
 bachpan se lekar aaj tak hamesha hamari aankhon ke saamne rahi ab ekdum se do din tujhe nahi dekhenge toh 
yaad toh aayegi na bache 


alia - daadi ab agar aap aise bologe toh mai nahi jaungi 


she hugged her n daadi smiles n said 

daadi - mera Mann toh kehraha hai ke tujhe na Bhejun 
par aise hi agar hum tujhe ghr mei baandh ke rakhenge toh tu bahar ki duniya kaise dekhegi 
kaise enjoy karegi apni life 


she came out of the hug n daadi said 

daadi - tera bag pack kardeti hun 

saroj - haan didi 
ache se garam kapde rakhdijiye 
maine suna hai wahan barf girti hai 
aur bahot thand bhi rehti hai 


daadi - haan saroj 
mujhe toh Chinta Abse hi horahi hai 
bete ( turning towards alia) 
tu please apna khayaal rakhna 
zyaada khuli Hawa mei mat phirna 
aur ice cream toh bilkul bhi mat khaana 
warna tujhe zukaam hojayega 

alia - daadi aap tension mat lijiye 
mai apni care karlungi 
aap Dono toh kitni tension lerahe ho 
do din ke liye hi toh jarahi hun na 
aur mai wahan Akeli thodi hongi 
mere saath mere teachers honge 
aur dolly bhi toh rahegi na saath 
aap toh jaante ho na daadi 
dolly toh aap Dono se bhi zyaada mere peechey padi rehti hai 
Jabtak mai uski baat na maanlu tab tak mera peecha nahi chodti 

saroj laughs n said 

saroj - haan didi alia baby sahi kehrahi hai 
aap fikr mat kijiye 
dolly alia baby ka ache se khayaal rakhegi 

daadi nods n alia smiles 


after packing her stuff daadi n saroj retired to their rooms giving loads of instructions to alia n alia took her diary n Sat on the bed all smiling 


alia - aaj Pehli baar mai bahot khush hun 
bhaiya ne mujje permission jo dedi 
mujhe toh unse permission maangne mei bahot darr lagraha tha 
laga ke bhaiya mana kardenge 
aur jab unhone poocha ke kya mai jaana chahti hun toh mujhe laga ke Woh phir bhi mujhe  mana karenge 
par this time he surprised me 
kitni jaldi maan gaye 
aur smile bhi Kiya jab maine unko thank you bola 
I hope n wish ke bhaiya hamesha aise hi smile karte rahe... 
mai Unki saari baatein manungi woh jo karne ko bolenge karungi aur jo nahi karne ko bolenge woh nahi karungi 
but bhagwaan ji badle mei aap bhaiya ko hamesha khush rakhiye ga 
Unki saari wishes poori kardijiye 
aur mujhe kuch nahi chahiye 
ab bahot raat hogayi 
mujhe neend aarahi hai 
mai Sojati hun 
good night 



she closed her diary n kept near her pillow 
she looked at her mother's photo frame n said 

alia - good night mumma 

she layed on bed n slept with a smile on her face


so the day arrives when alia is going to shimla 
everyone in the house gathered in the main hall to bid bye to her 

alia looked at daadi who had tears in her eyes n said 

alia - daadi aap please mat royie na 
warna mai jaa nahi paungi 


she hugged daadi n daadi caressed her hair n said 

daadi - apna khayal rakhna bache 
mujhe Teri Chinta hoti rahegi 
pahunchkar phn kardena aur khuli Hawa mei... 

alia - nahi ghoomungi 
ice creams bhi nahi khaungi 
aur apna khayaal rakhungi 
Parson se aap baar baar yahi bolrahe ho 
aur maine ache se yaad karliya 

she giggled n daadi kissed her forehead n saroj said 

saroj - mujje Aapki bahot yaad aayegi alia baby 

alia hugged her n said 

alia - mai jaldi aajaungi choti daadi 



alia went outside n there she saw ramesh standing smiling at her 

ramesh - apna khayal rakhna alia baby 

alia - aap yahi se mujje bye bolrahe ho 
mujhe school drop nahi karoge 

ramesh - nahi baby ji 
aaj hum aapko school drop nahi karenge 

alia - toh mai kiske saath school jaungi 


armaan - mere saath 

everyone looked at armaan who came wearing his three piece business suit n daadi n saroj smiles widely 
as for the first time he is dropping her to the school 

ramesh smiles too n alia looked at armaan with shock written on her face 

armaan looked at her n said 

ar - chalo 


she nods n for the last time hugged daadi n armaan took blessings
from her as it's his daily habit whenever he goes out he took blessing from her by touching her feet 

they both sat in the car n armaan droves the car 



daadi joined her hands n said 

daadi - aaj mere dono Bacche Pehli baar saath jarahe hai 
bhagwaan aise hi inhe saath rakhna hamesha 




in car 

alia dnt knw what to talk as for the first time her brother is dropping her to the school 
n she is sooo happy from inside but as he is besides her she controlled her excitement n happiness 

where as armaan kept a straight face 
so many emotions he was hiding from her 
for the first time she is going away from the house n more over for the two days he can't see her in the house which was slightly disturbing him 
though he dnt talk much with her but deep inside his heart he craved to see her smile 
n he wants to give every happiness which she deserves 

alia looked outside of the window n armaan looked at her n a tear trickle  down his cheek but before she caught him crying 
 he wiped his tear away quickly 

she looked back at him n he turned his gaze towards the road 

she played with her fingers n said nervously 

alia - bhaiya 


ar - hmm 

alia - thank you 
mujje school drop karne ke liye 


armaan did not said anything n she waited for his reply 
but like previous night 
he did not smiles back when she said thank you n she looked down guiltily 

he looked at her n smiles slightly 

the rest of the ride was silent n alia 's school arrived n she got down from the car n said 

alia - bye bhaiya 

armaan - apna khayal rakhna 

alia - aap bhi 

she turned to go n armaan waited until she gets inside the school 

he controlled his tears n put back his sunglasses n went away 

after armaan's car went 
alia looked at the view n said by having Lil tears in her eyes 

alia - i will miss u bhaiya 

she controlled her tears n went inside the school 



on the other hand 

armaan looked at the frame of alia sitting in his cabin n was smiling remembering her talks 

flashback 


alia - tu bhaiya ke baarein mei aise mat bol 
mujhe bilkul acha nahi lagta 



alia - yahi ke bhaiya ghalath they 
bhaiya kabhi ghalath nahi they 
unhone kuch bhi ghalath nahi Kiya 

alia smiles n said 

alia - haan 
meri marzi 
mai bhaiya ke khilaaf kuch bhi nahi sun sakti Kyunki woh iss world ke sabse best bhaiya hai 
sabse ache bhaiya hai 
aur tu The Armaan Mallik ki burai mere saamne karrahi thi woh bhi The Alia Armaan Mallik ke saamne 



he smiles listening to her but then his gaze fell on daadi n saroj who were coming towards alia 's room so before they saw him he went to his room quickly 
 


arjun came inside his cabin n saw him smiling n said 

arjun - kya baat hai 
aaj bada khush lagraha hai 


armaan quickly hide alia 's frame in the drawer of his desk n said with straight face 

ar - kya?? 

arjun - kya kya 
main toh tujhse pooch raha hun ke aaj itna smile karraha hai toh koi khushi ki baat hogi na 
hai na!? 


ar - mai smile nahi karraha tha 
Tu bekaar ke assumptions mat laga 
waise mai tujhe hi bulane waala tha 
Mr mehra waale project ki file kahan hai 
mujhe Usme kuch corrections karne hai 

arjun - haan ye le 


armaan. completely succeeded in. changing the topic n they both were busy in doing their work 



Here is the first installment
Hope u all like this one
Oh my god i am sooo nervous ๐Ÿ˜•
Drop in your comments n hit the like tab please
With love
HUMERA

























..Phoenix.. thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 7 years ago
#3
I hate u humz...Tune rulaya Mujhe Gandi bachi
It's amazingly senti What I love most Is. This type senti yet loved update I m not disappointed I m super happy to read that yet emotional too.
U see me n my bro don't talk much Though he love me so much but we don't have proper Convo... I mean he is 5yr elder plus reserved one 
So he talk less So yet I relate to it so much
Hats off
Next part de Jaldi se jaldi 
chal beth ja aabhi likhne 
Edited by ...Aayoo... - 7 years ago
Dik.. thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 7 years ago
#4
Omg...!! Noddy...
This was super awesome... hm normally jitni bhi stories pdhte hai sabhi love stories hi hoti hai..bt ye toh "one in a million" hai..

Totally loved the concept n the way sab ke emotions ko btaya hai.  

Update next soon..



Edited by Dik.. - 7 years ago
DMGThings thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 7 years ago
#5
Abbe tu mujhe itna rula kyu rahi hai? Jaldi se Armaan aur Alia ke beech mein sab theek karde. Samjhi?!?!
IshaniDeep thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 7 years ago
#6
very emotional and heart touching nice part
JYOTIKAD thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 7 years ago
#7
Hey dear
It was really very touchy part ...
U know its more hurting when u know the person love n cares for u๐Ÿ˜ญ but is not expressing tht 
U portrays emotion in wrds so well๐Ÿ‘
Keep up
Post next part soon
N yea plz update DMHTST๐Ÿ˜ณ
Love ya
Prizi thumbnail
Posted: 7 years ago
#8
humimeee this is superbbb.. and unique obe.. totally loving it...
Prizi thumbnail
Posted: 7 years ago
#9

Originally posted by: DMGThings

Abbe tu mujhe itna rula kyu rahi hai? Jaldi se Armaan aur Alia ke beech mein sab theek karde. Samjhi?!?!


tu mujhe update de... samjhi??? ๐Ÿ˜ก
punamluvshilpa thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 7 years ago
#10
hi humera,today i got time and read this new story and its good but tum riddhima ko inke beech la sakti ho sab kuch thik karne ke liye,riddhima ke bina arman adhura lagta hai,uski entry bhai behen ke rishte thik karne ke liye kar sakti ho..waise i loved this concept too..pm me when u ud..love..
punam di