Parvarish season 2 ff: Parvarish ka Parinaam(Chapter 1 - Pg 5) - Page 4

Created

Last reply

Replies

33

Views

8.1k

Users

8

Likes

41

Frequent Posters

RamAayeHain thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#31

Originally posted by: SONAL30

Nice update dear

Loved it
Thanks for pm
Continue soon

Thankyou so much dear
Glad you loved it
No need to thanks for the pm
I will continue soon
RamAayeHain thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#32

CHAPTER 1

LAST ROUND OF SOTY : SURVIVOR ROUND

Jogi and Riya are running for their lives and on the other part of the jungle a girl is trying to save a boy , who was now suffering with so much pain . She was aiding him , that girl is none other than jassi

J-aditya tum thik ho , please bas thoda sa aur seh lo fir sab thik hoga

A-aaahhh (he was crying in pain as a bullet had passed by touching his arm)

J-Aditya bas thoda sa please

And after sometime he started to feel better , and then he looks at jassi who was still busy in caressing his arm with a cloth and now covering his wonds with the cloth. He stares at her

A(pov)-kitna galat socha tha maine is ladki ke bare mein , sabse darpok ladki samajhta tha main ise but aaj isi ne sabse zyada himmat dikhayi , aaj jab hum sabka vishwaas apne upar se uth gaya to isi ne hum sabko fir se khudpar yakeen dilaya (he remembered , when they all four met , jogi and riya had came running for Sumedh Sir's den)

Jo-Oye jassi tu thik hai na

J-ha veere main thik hu , par tu to thik hai na , unlogo ne tere saath kuch kiya to nahi

Jo-oye nahi yaar , kisi bhi tarah bhaag nikle hum log

R-ha par ab mujhse aur nahi hoga , mujhe nahi lagta ab hum bach paayenge , charo taraf Sumedh sir ke aadmi hai , kisi na kisi tarah hume pakad hi lenge

A-riya is right , practically socha jaaye to ab hamara bachna impossible hai

Jo-ha yaar , baat to tu sahi keh raha hai , ab to maine bhi aas chod di hai

J-veere ye tu kaisi baat kar raha hai , hum is tarah haar nahi maan sakte

Jo-oye to hum karenge kya , na hume is jungle ke raaste pata hai , aur na ye pata hai ki ye sab kyu ho raha hai , oye mujhe to thik se ye bhi nahi pata ki Sumedh sir aakhir hai kya

J-vo job hi ho veere , par hum haar nahi maan sakte , hume kuch na kuch to karna chahiye , kam se kam yaha se bahar nikalne ka raasta aur uske baad kamse kam hum kisi ko hamari haalat ke bare mein inform to kar paayenge

A-par jassi ...

J-Adi tumne hi mujhe ek baar kaha tha yaad hai "fight till you win" , to karte hai na fight , kamase kam baad mein ye guilt to nahi rahega ki humne koshish nahi ki , to bol veere dega mera saath , adi , riya bolo

And she forwarded her hand and they all put their hands on hers

R-ab to hum bhi haar nahi maanenege

Jo-bilkul , to thik hai ab suno hum sab pehle do do ke group mein bat jaate hai aur fir jungle se bahar nilkalne ka raasta dhundhte hai , agar hum me se kisi ko raasta mil gaya to vo vaha pe jo police hai use inform kar dega , aur fir dusre group ko rescue kar lega , ok

All 3 -ok

A-thik hai to main aur jassi east mein jaate hai aur tu aur riya west direction mein jaao aur ek ghante baad agar raasta nahi mila to apni direction tum log south kar lena aur hum north ki taraf jaayenge

Jogi and riya stares at him as if not trusting him to send him with jassi alone
Aditya senced it and says

A-guys trust me , I have changed

Riya nods but Jogi was still uncomfortable and then he looked at jassi who assured him with his eyes that all will be ok , so he also nods and then all of them left to search for the direction

Aditya came out of his thoughts when he heard jogi and riya's voice and when he opened his eyes he saw both of them giving him proud look , he realized why they are looking at him like that , then his thought went back to sometime before

A-jassi jaldi bhaago varna vo log hume pakad lenge

Adi and jasii both are running and sumedh's man were behind them , then they hide themselves behind a tree , just then adi saw a man was pointing a gum towards jassi and he instantly without thinking push jassi and fell down on top of her and the bullet just got passed touching his arm , and so he screams but what made him stop screaming is the pain and fear he saw in jassi's eyes for him .
And then they again stands up and with jassi's support adi and jassi came to a safe place and then jassi started aiding his wound.

And these all things change adi's vision about jassi

PRESENT (In Aditya's Cabin)

Aditya smiled at that memory and then suddenly remembered something

A- waise Rahul , tum bhi to jassi ke liye kuch feel karte the na

R(sad smile)- you are right aditya karta tha , but ab vo meri sabse acchi dost , my real best friend aur main tumse yaha sirf meeting karne nahi , balki tumhe warn bhi karne aaya hu ki agar kabhi bhi meri dost ko pareshaan kiya na to mujhse bura koi nahi hoga

A(smiled)- don't worry yaar , teri dost ko hamesha sar aankhon pe bithake rakhunga that's a promise

R-good , vaise engagement ki date kabki fix hui hai

A-agle hafte ki , but ab bhi main ek baar jassi ke muh se sunna chahta hu ki kya vo is relation se khush hai

R(smile)-tu tension na le , main use jaanta hu in sab maamlo mein vo kuch zyada hi shy hai but uski aankhein sab keh deti hai aur yakeen maan jab tum dono ke rishtey ki baat chal rahi thi na to uski aankhon se pata chal raha tha ki vo kitni khush hai.

A(smile)-pakka

R-ha yaar pakka , ab main chalu , mujhe teri hone waali biwi se bhi milne jaana hai

A-ha mujhe to kabhi bulayegi nahi (with fake sadness) tu hi mil le

R-nautanki kahi ka

WELLCARE HOSPITAL

DELHI

Dr-aise kaise chalega , agar aap apni diet follow nahi karenge to aap thik kaise honge , main jaanti hu ki ye sab feeka khaana aapko pasand nahi hai ,but iske liye aapko pehle se apni care karni chahiye thi , ab agar aapne apna diet follow nahi kiya to main aapko yehi hospital mein admit karke aapki diet complete karwaungi

P-sorry doctor , ab main acche se apni diet aapke chart ke hisaab se follow karunga

Dr-good , ab aap ja sakte ho

P-ji , thankyou

And the patient went out . And then the doctor got busy with her work . She was wearing a log sleeveless orange kurti with red leggings . Her hairs are open and she was looking very beautiful. Just then she heard a knock and said

"Come In"

R-Hello Dr. Jassi

J-arrey Rahul tu is wakt yaha kya kar raha hai , tuje to is wakt apne kaam karne ki site pe hona chahiye tha

R-ha lekin tere hone waale pati se milke aa raha hu , to socha tujhse bhi milta chalu

A blush got form on jassi's cheeks , and she lowered her head and then again looking up says

J-kaisa hai vo

R(teasing tone)-Kaun

J(angry tone)-Aditya aur kaun

R-oye main uska PA nahi hu jo uski pal pal ki khabar tujhe deta rahu , itna hi
hai to tu khud kyu nahi baat kar leti use

J-rahul tu to jaante hai na ki ye sab itna jaldi ho gaya ki ab mujhe baat karne mein thoda awkward feel ho raha hai

R-jassi , tu khush to hai na is rishtey se

J-ha yaar , main sacchi mein khush hu is rishtey se , Aditya sach much bahut accha ladka hai , par maine kabhi socha nahi tha ki hum dono aise rishtey mein bhi kabhi bandhenge , bas isliye thoda ajeeb lag raha hai

R-ajeeb lagna tab kam hoga jab faasle mitaayegi , ek baar use baat karle samjhi ab main nikalta hu

Then Rahul left , leaving jassi who is thinking about his words , and then she looked up at phone and after gaining some courage dials no.

To Be Continued

Sorry for being late
Hope you all liked the chapter
Rahimar thumbnail
Posted: 8 years ago
#33
Awesome, amazing, fantastic and fabulous part ⭐️👏
Pls continue soon, 😳
And thanks for the pm
RamAayeHain thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#34

Originally posted by: Rahimar

Awesome, amazing, fantastic and fabulous part ⭐️👏

Pls continue soon, 😳
And thanks for the pm

Thankyou so much dear
I will surely continue soon
No need to thanks for the pm
Top