TS THE FOUR PART 6A : BEHIND ENEMY LINES BEGINNING PG 35 22/05 - Page 26

Created

Last reply

Replies

317

Views

59.2k

Users

67

Likes

450

Frequent Posters

SanjanaKhan_2 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago

Originally posted by: Shivam...


Most probably tomorrow night


Please pm me when u update bhaiya.
Shivam... thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago

Originally posted by: SanjanaKhan_2


Please pm me when u update bhaiya.


I will if i finish it by tonight
Anokhisharma thumbnail
Anniversary 8 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Aapne last update 5th April ko diya nd vo update page 23 pe tha
Now we have moved to page 35 and abhi tak aapne koi v update nahi diya hai
Conclusion : u r too popular among readers nd they have been asking for an update for a month or more...
Edited by Anokhisharma - 8 years ago
Shivam... thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago


Pls note that this is an entire Work of fiction and the story nowhere resembles to the actual events. This Plot is divided in 2 parts

Part 6a- Behind Enemy lines - the beginning)

and

Part 6b- Behind Enemy lines - the conclusion) , which will be uploaded later




PART 6-A ( BEHIND ENEMY LINES - THE BEGINNING)



It was as usual a normal day In ayodhya , well it was for most of the people in the Royal Family , but of course the word Normal does not go in sync with some Persons , most avidly the twins - Lakshman and Shatrughan.

It was during the late afternoon , that all the couples except shatrughan were sitting and relaxing in the grand garden of the palace , enjoying some tasty fruits and sweets.

The love was blossoming around , With Urmila feeding Lakshman grapes lovingly with her own hands.

Urmila ( putting grapes in lakshman's mouth playfully ): Yeh Li jeeye Swami , Angoor khayiye

Lakshman too gulped them like a small kid , without caring about anyone's else present.

Seeing the mood , Mandavi also Jumped onto the scene. She picked up an orange , and peeled the outer shell with her mouth , while seductively looking at bharat , then plucked out a small piece .

Mandavi ( gets up from her chair and approaches bharat , in a seductive voice) : Prannath , aapke liye mitha santara , grahan kijiye

Bharat ( Sweating from top to bottom ) : Ab isse kya ho gaya

Ram ( mischevious mood ): Tumse Prem , aur kya

As mandavi sits beside bharat to feed him the oranges

Bharat : Dekho Priye , yeh sab yahan nahi , sab baithe hain , acha nahi lagtaa

Manadavi ( sarcastically ) : Jaise wapas apne kaksh mein jaane ke baad akele mein aap kaamdev ban jaaenge kya ?

Lakshman ( gulping grapes , with half of his mind somewhere else ) : Bharat Bhayia to bachpan se hi Kaamdev ke Bade Bhakt rahe hain.

Bharat ( Red in shame , gets up and gently strokes lakshman's head ) : Tum bahut bolne lage ho aaj kal , aur who shatrughan , sab tum hi se seekha hai usne . Waise Who Gadha hai kahan ?

Lakshman ( speaking to himself ) : Arey main bhi toh kabse uss lalloo ka intezaar kar raha hoon , pata nahi kahan reh gaya ...

Ram ( witnessing all the scene , speaks with some hopes ) : Sitae , Kya aap humein prem poorvak swadisht phal nahi khilaaengi ?

Sita : Kyun swami , aapke hathon mein mehendi lagi hai kya ?

Lakshman and Bharat spit out the grapes and orange in shock and start laughing heavily.

Ram ( Embarrassed ) : Yeh aap kya keh rahi hain sitae

Sita : Dekhiye Swami , Gurumaa Gargi ne sikhaya hai ki apna kaam swayam hi karna chahiye , shahstron mein likha gaya hai ki doosron par nirbhar rehna aalasya ka kaaran ban saktaa hai

Aur yeh bhi likha gaya hai ki...

Shrutkirti : Uh Oh... Didi...

Ram ( puts his hand on face ): Bas Bas Sitae , hum sab samajh gaye

Lakshman : Haan haan bhabhi , aba age kuch aur kehne ki zaroorat nahi hai .

As everybody stood to get up and disperse to their respective rooms , Shatrughan barged in with his innocent and excited face.

Shrutkirti ( slightly angry ) : kaahan the Aap itni der tak , zaroor ghum phir ke paakshala ki ore chale gaye honge mithayiann apne pet mein thoosne.

Shatrughan ( speaks while eating grapes) : Ek toh yeh ladki mujhpar kabhi shakk karna nahi chodhegi , dekho har vakt main sirf khaane ke bare mein nahi sochta hoon , main toh woh... ( Kirti Interupts)

Shrutkirti ( sarcastic): Haan Haan , aap khaane ke bare mein sochte kahaan hain, seedha khaa hi daalte hain.

Urmila : Dekho bhai , mere pyaare devar ko koi kuch nahi bolega ab

Lakahman: Hmmm... Ek dum theek keh rahi hai kirti , kitnaa khaega chote , Urmila yeh tumhara devar din par din kha kha kar bhainse jaisa hota jaa raha hai .

Shatrughan ( pout face ) : kya bhayia , aap mujhe hi suna rah hain , aap hi ne toh kaha tha ki...

Lakshman gives a stern to look to shatrughan , and in his looks , he said to him to shut up and that they will talk later in private.

Lakshman ( tugging shatrughan along ) : Shatrughan , tum chalo mere saath . Kirti , tum chinta mat karo , ab isse vyanjan nahi , mata sumitra ki daant khane ko milegi.

And both go away from there

Ram and Bharat look at each other and smile within themselves , this doesn't go un-noticed by the four girls

Urmila : Bhayia , aap dono iss prakaar muskura rahe hain , kya hua ?

Bharat : Urmila , Kirti , ek baat hamesha yaad rakhna , jab lakshman shatrughan ko sabke saamne daantkar wahan se kahin aur le jaaye , toh iska ek hi matlab hai , ki dono ke dimaag mein bahut hi bhayankar khichdhi pak rahi hai . Itne Varshon ka experience hai mujhe in dono ko jhelne kaa.

Kriti ( surprised look ): Haain ... yeh aap kya keh rahe hain bhayia

Bharat : Yakeen nahi hota toh inke peeche peeche chali jaao , sab apni ankhon se dekh lena

Saying So , everyone went away and Urmila and Shrutkirti followed their husbands.

They saw their husbands standing in the corridor , with shatrughan reading something out to Lakshman . They could see them really excited and jumping with joy , but didn't go near them to avoid any suspicion.

Lakshman and shatrughan were jumping with joy and hugged each other with joy

Urmila : Dekh Lo , sumitra Ma se daant khilwana to door , kaise ek doosre se gale mil rahe hain . satya hi keh rahe the bharat bhayia .

Shrutkirti : Hmm... dekh rahin hai didi , kaise patra padhkar khushi se jhoom rahen yeh , mujhe toh sandeh ho raha hai ki kisi rajkumari ka prem patra aaya hai inke liye.

Urmila : Tumhe to shakk hai , mujhe to poora yakeen hai ki yahi baat hogi , inke chehre ki khushi to dekho . Parantu Devar Ji aisa nahi kar sakte , yeh zaroor mere patidev ka hi kaam hai , inki prem leelaon ke waise bhi bahut kisse mashoor hain ayodhya mein .

Shrutkirti: Bahut ho gaya didi , hum abhi jaakar inki khabar lete hain.

Saying So , they both hurriedly ran towards lakshman and shatrughan. The Twins saw their Wives approaching them , apparently in a not so good mood afterall

Shatrughan : Bhayia , Wahan dekhiye , Khatre ka aghamann.

Lakshman : Baap Re , Mar gaye aaj toh.

Shatrughan : Kuch keejiye , sheeghra

Lakshman Snatched the letter from shatrughan , rolled it into a ball , and gulped it down his throat as hurriedly as he could and shatrughan ran away from their in fear , but the same was witnessed by Urmila And Kriti. And as usual , A fierce and love-hate Lakshmila fight took place

Urmila : Sumitranandan , Mujhe toh gyaat hi nahi tha ki aapko khaane mein kaagaz bhi priya hai.

Lakshman ( coughing due to eating paper) : Ji , main kuch samjha nahi

Urmila : Zyada naatak karne ki zaroorat nahi hai , sab dekh liya hai maine . Bechare shatrughan ko meethai khane ke liye daant rahe the , aur khud kaagaz hi kha gaye.

Kirti : Didi , aapke devar koi bechare vechare nahi hain , dekha nahi kaise bhaag gaye , jaise koi chori pakdi gayi ho...

Urmila : chaliye , bataayiye , kya likha tha uss patra mein...

Lakshman : Woh Urmi , kuch khaas nahi , bas aise hi doosre rajya ki gatividhiyon ke bare mein , saadhaaran si jaankaari thi...

Urmila : Lajja nahi aati aapko yun safed jhoot bolte hue , mujhe achi tarah se pata hai ki zaroor aapki kisi premika ne aapko prem patra likha hai jise padhkar aap itna uchal rahe the. Sab samajhti hoon main .

Lakshman : Hey Bholenaath , ab yeh premika kahan se aa gayi. Ab kaise bataaun tumhe main...

Urmila : Kuch boliye bhi , ya kisi pandit ko bulwa doon mahurat nikalne ke liye

Lakshman ( surprised ) : Mahurat toh kuch din pehle hi nikaal liya gaya hai...

Urmila ( confused ) : Hain , yeh kya keh rahe hain

Lakshman ( trying to cover up the secret he was about to reveal accidently) : Kuch Nahi... Arey chote , ab sab kuch main hi bolun ya tum bhi kuch kahoge apni bhabi say ( lakshman fakes shatrughan's presence behind kirti )

Just as Kirti and Urmila turn back to face shatrughan , lakshman runs for his life , and the girls are left standing there fooled.

Urmila ( rubbing her fists in anger) : Shaitaan Kahin ke , Aa jaane do inn dono ko ratri bhoj par , phir bataati hoon..

Kirti : haan nai to..

Later at the night on the dinner , The princes were having their dinner and their brides were serving to them .

King Dashrath and Queens were seated in other corner of the dining Hall .

As the girls served food to their husbands

Sita Served Sweet Pudding to all the four princes and mandavi served Chapppatis.

Urmila and Kirti served the sabzis to Ram and Bharat with love and respect , but they Literally dumped the curry and Rice into their husband's plates , as if throwing away food towards an animal.

The twins understood the mood of their wives .

Lakshman : Yeh kya drishtha hai Urmila

Shatrughan : Shrutkirti , tum mujhe Bhojan Paros rahi ho ya mujhe bhojan daal rahi ho , main kya koi pashu hoon.

Lakshman : Aur yeh Aaj Khaane mein kya hai , Tinde aur ghiye ki sabzi , chee.. Aur dher saari mirchi bhi nahi daali tumne . Mujhe nahi khaana yeh sab

Urmila ( faking her dialogue ) : Haan Haan , aap yeh sab kyun khaaenge , main abhi aapke liye dher saari raddi ka intezaam kar deti hoon , aaj kal aapki sabze favourite dish Kaagaz jo ban gayi hai.

Ram ( laughs and surprised ) : Hain ... Yeh kya ke rahi ho Urmila

Urmila : Haan bhayia , poochiye apne iss priye bhai se , aur bharat bhayia ne bilkul satya hi kaha tha inke bare mein

Lakshman : Bharat Bhayia , to yeh saari aag aapki lagaii hui hai , dekh loonga aapko baad mein .

The queens notice some argument going over between their sons and Daughter in laws

Sumitra : yeh Kya shor sharaaba ho raha hai wahan par...

Lakshman : Kuch nahi Maa , Woh Bharat bhayia Maandavi bhabhi ko chedhh rahe the...

Kekayi ( extremely surprised ) : hainnn ... Mera Bharat aur aisi harkat .

Mandavi ( thinking ) : haaye , Meri aisi Kismat kahaan ki yeh mujhe chedhh den.

Bharat ( Shocked and tries to prove innocence ) : Nahi Nahi Maa ... Aapki Kasam , yeh asatya hai ... Chote tum maryaada laangh rahe ho.

Just then , A royal Guard entered the Hall with a message .

Guard : Rajkumar Shatrughan , Aapke liye Avashyak Sandesh Hai...

Shatrughan ( Excited) : Kya , Sandesh aa Gaya , Lakshman Bhayia suna aapne , Sandesh aa Gaya , chaliye , Bhojan Baad mein Karenge.

Lakshman and Shatrughan Run towards the guard , snatch the message card and vanish into the corridor of the palace , behaving like small kids , as if their father had bought a gift for them and they pounced on it.

Ram , Sita , Bharat , Mandavi , Urmila and Shrutlirti traded looks with each other.

Urmila : Dekha Ram Bhayia aapne .

Bharat : Kaha Thaa na maine , ki zaroor koi top level ki gadbad ki hai inhone.

Ram ( caresses her hair ) : Don't worry my Sweet Sis , those Two are like that only , trust me , there is no one else in Lakshman's Life than you , and if there comes a day when there is one , He will have to face me first.

Mandavi : Hmmm... Tumne nahi bataaenge ki mamla kya hai , shayad mujhe bataa dein .

Mandavi Follows both her devars , finding them again in the corridors , in the same state as her younger sisters had described them before , but albeit this time they looked even more joyful , hugging and dancing like no other present around.

Mandavi closed in them and heard them saying

Shatrughan : Mubaarak ho bhayia

Lakshman : Tumhe bhi shatrughan , bahut bahut mubaarak ho , kitni badi khushkhabri suni hai maine aaj

Mandavi ( super excited ) : Kyaa Kaha aap dono ne , khush khabri ( and joins them in their dance )

Shatrughan : Arey yeh bhabhi kahan se tapak padin idhar

Lakshman ( confused ) : Mandavi bhabhi , aap kun nach rahi hain ?

Mandavi : Khush khabri hai bhai , chalo , ab seedhi tarah se bataa do , tum dono mein se kaun suna raha mujhe .

Shatrughan : Par kya bhabhi

Mandavi : dekho sataao mat , ab bataa do , ki tum dono mein se kaun mujhe maasi bana raha hai

Lakshman : Hain... Maasi , yeh aap kya keh rahi hain ...Aisa kuch nahi hai

Shatrughan : bhabhi aapko toh pata hi hai shrutkirti to mujhse hamesha sharmaa kar bhaag jaati hai

Lakshman : Aur Urmi ko ladaii karne se fursat mile tab jaakar kuch hamaari prem ki kahaani aage badhe.

Mandavi : Dhatt ... Aur maine apne nanhe munno ke liye kya kya soch liya tha..

Shrutkirti : Bhabhi , aisi khush khabri toh pehle aap hi sunaaingi

Mandavi : Haan haan ... Agar tumhare bhai ki kripa rahi toh... ( and then mandavi fades away in her her thoughts of future with kids)

Sensing their Bhabhi lost in her thoughts , Lakshman and shatrughan fled from there.

Next Morning , All the Rajkumars and Rajkumaris were summoned by Dashrath in the Hall

Everyone reached there , Except the twins

Dashrath : Putri Urmila , Shrutkirti , Lakshman shatrughan Kahan hain ?

Shrutkirti : Pata nahi pitashree , subah se nahi dikhe dono , pata nahi kya chal raha aajkal dono ke saath .

Dashrath : Lankaapati Raavan ki ore se ek sandesh aaya hai , jo ki hum aap sabki upastithi mein padhna chahenge . Sumantra Ji , Padha Jaaye

Sumantra read out the contents to himself first before reading it aloud , and lowered his head down in shame

Sumantra : Mahaaraj , aap swayam hi padh lijiye .

Dashrath : Zaroor mere dono Gadhon Ke vishaya mein hoga , Kyun , sahi kaha naa maine

Sumantra : Ji Mahaaraj , who.. who mai...

Dashrath : Padh dijiye , pata nahi meri mrityu se pehle aur kya kya sunna padega mujhe in dono ki wajah se

Just then Dashrath notices his 2 sons walking hand in hand far away from the hall , and shouted

Dashrath ( shouts in loud voice ) : Lakshman , shatrughan , tum dono , Idhar aao , abhi.

The twins : Kya hua Pitashree

Dashrarth( super angry) : Pitashree ke bache , ab kya kaand kiya hai tum dono ne

Lakshman ( innocently pout face): Hum toh kabhi kuch karte hi nahi pitaaji

Urmila Bursts into giggles , while Lakshman gives her a daring look at her action.

Dashrath : Abhi pata chal jaaega , sumantra ji , Lanka se aaya hua patra padhiye

Shatrughan(surprised) : Hainn... Lanka se patra , Lagtaa hai ab sabko pata chal jaaega

Sumantra Starts reading the letter

" Mahaaraj Dashrath , Lankaapati Raavan ka abhinandan sweekaar keejiye.

Waise toh Ayodhya aur Lanka ke beech kabhi bhi matre Nahi rahi , Par inn dino mein jo kaarya aapke dono suputra , lakshman aur Shatrughan ne karke dikhaya hai , Uss se hamara Hridaya gad gad ho utha hai aur hum aapse matre ka haath milana chahte hain . Aap soch rahe honge ki aisa kya hogaya. Shayad aapko pata nahi , par hamare parivaar mein yeh riwaaz raha hai ki Var hamesha balpoorvak hi aapni vadhu se Vivaah karta hai . Humne bhi apni maharani Mandodari se Balpoorvak vivaah kiya , Aise hi hamaare jesht Putra Meghnath ne Nag Kanya Sulochana ko Vivaah karne par majboor kar diya . Parantu Hamaraa sabse Chota putra , Akshay Kumaar , who bahut hi Komal aur shaant swabhav ka hai , usse aise kaarya hona asambhav tha , aur aap ke dono putron ne uski hone waali patni ka apharan karne main uski sahaayta ki , aur lanka par sharmnaak dhabba lagne se bacha liya.

Main to samajhta tha ki Ladkiyon ka yun apharan karne mein mujhse shresht koi nahi , parantu aaj main galat saabit hua.

Ab Hum Saare reeti riwazon ke anusaar Apne sabse Chote putra ka vivaah ayojit karne jaa rahe hain , Aapse anurodh hai ki Parivaar sahit aap sabh Var vashu ko ashirwad dene zaroor aayen. Hum swayam apna pushpak vimaan ayodhya bhej rahe hain

Aur Antt mein hum phir se Lakshman aur shatrughan ka tahe dil se shukriyada karna chahte hain , Saari lanka inki hamesha kritajya rahegi. Aapke dono putra zaroor aapka naam roshan Karenge."

Sumantra : bas mahaaraj , itna hi likha tha patra mein

Dashrath stumpled on the floor in despair , with his hands on his head

Dashrath : Hew Bhagwaan , Yeh Kaise putron ko janm diya hai tumne Sumitra , Naak kata ke rakh di meri , ab yahi sunna baaki reh gaya tha mujhe , Kisi paraayi kanya ka apharan , who bhi lanka ke rajkumar ke liye.

Sumitra : Ab isme mere akele ka kya dosh hai..

Lakshman : Dekha Pitashree , Asli heerey ki pehchan ek jauhri hi kar sakta hai . Lankesh ne swayam itna acha acha kaha hamaare bare mein .

Dashrath : Tum dono ayodhya mein nahi , Lanka mein hi paida hone ke laayak the , saari harkatein rakshason waali hain , aur main poochta hoon aisa karne ki zaroorat kya thi

Lakshman : Pitashree , dosti ke khaatir kuch bhi karna galat nahi

Ram : kaisi Dosti , aur kiski dosti

Shatrughan : Bhayia , Akshay aur main Langotiyaa Yaar hain , aap shayad bhool gaye , kuch dino tak hum sab gurukul mein saath rahe the.

Bharat : Dekho toh iss shatrughan ko, bachpan mein langot toh kabhi pehni nahi , saare mahal mein nirvastra hokar ghoomta rehta tha , aur kehta hai langotiyaa yaar tha mera.

Sita , Urmila , Mandavi and Kirit look towards Shatrughan in amazement and burst out laughing

Shatrughan(embarrassed) : Kya bhayia , yeh sab abhi Kirti aur bhabhiyon kea age kehna zaroori tha kya .

Dashrath : Ab badi sharam aa rahi hai tumhe , waise sharmnaak karya karte hue toh kabhi nahi sochte

Khair , Ab lanka jaane ki tayaari karo , jaana toh padega hi .

Kekayi : Arey Yeh Mandavi kahan Gayi , abhi toh yahin thi.

All look around , she is nowhere .

Tabhi sab ki nazar farsh par padhti hai , jahaan mandavi behosh padi hoti hai

Sita : Tabhi main sochun ki Lanka ki baat ho rahi hai aur maandavi ki koi pratikriya nahi hui , yeh toh pehle se hi khushi ke maare behsh ho gayi.

Bharat : Mandavi , uthiiye , Kya ho gaya Aapko

Mandavi gets up , but still dizzy

Mandavi : Hmm... Lanka ... Lanka ... Hum Lanka jaaenge , main apne Lankesh se miloongi...

And suddenly starts jumping in Joy

Bharat : Lo Ho gaya Kaam

Lakshman and Shatrughan Also Join in dance

Dashrath : Dekho inhe , Itna Khush toh khud ki shaadi mein bhi nahi the

Lakshman : Ab Pitashree Aapne shaadi hi aisi jagah karwaadi hamaari.

Urmila ( Angry , hits him in chest with her fist ) : Aapki yeh Jurrat , aap kehna chahte hain ki aap shaadi kar ke pachta rahe hain , jaayiye hum aapse baat nahi karte

Dashrath then calls the twins

Dahsrath( grabs both by the collar ) : Tum dono zaraa wahan tameez se rehna , ayodhya ki pratishtha ka sawal hai , Koi aisi wasi harkat ki toh dekh lena , kaal kothri mein band karwa doonga.

Shatrughan : Yeh bhi koi kehne ki baat hai pitashree , bas aap dekhte jaayi , aisi dhamaal daalenge vivaah mein , Ki saari lanka yaad rakhegi ki Ayodhya ke log bhi kuch kam nahi

Dahsrath ( thinking ) : isi ka to dar hai mujhe

Kekayi : Putra bharat , yahan aao zara

Bharat : Jee mata

Kekayi : Tum bhi Madavi par nazar rakha , Hum sabhi jaante hain mandavi aur uska lanka prem , kaboo mein rakhna isse , sabse zyada bhay mujhe isi ka hai.

As everyone disperses back to the Room to pack their belongings , the trio ( twins and mandavi ) are heard saying

" Yayy , kal Hum Lanka Jaaenge "




TO BE CONTINUED


LANKA MEIN BAJEGA BAND BAAJA - PARANTU KISKA😆😆???

Edited by Shivam... - 8 years ago
1087354 thumbnail
Posted: 8 years ago
Shivam bhaiya, kya dhamakedar update tha! I was laughing like crazy. Mandavi stil likes Lankesh 😲, and I never knew that Akshay Kumar was "innocent"! Anyways, awesome as always, and please update!

Gowri
Trinaa thumbnail
Anniversary 8 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
🤣 🤣 🤣
This is just awesome
Mandavi's reaction on going to Lanka😆😆
Lakshman and Shatrughan ne 'innocent' Akshay kumar ki madad ki in kidnapping his wife🤣
Sita's dialogue- Kya aapke haath mein mehendi laagi hai🤣
Lakshman eatting paper😆😆
I want the next part asap😃
SanjanaKhan_2 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
🤣
🤣
So funny 🤣
Mandvi still thinks about lankesh😆
Lankesh praised lakshman and shatrughan so much🤣

Thank u bhaiya for pm. When will u update next part??
shetel13 thumbnail
Posted: 8 years ago
It was awesome wonderful...waiting for next part
shetel13 thumbnail
Posted: 8 years ago
And thanks for pm...and please update next part fast...
Anokhisharma thumbnail
Anniversary 8 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Shivam bhaiya... Awesome story tha... This was a very hilarious story... Especially shatrughan nd langotiyaa yaar waala part...

bhaiya ye story mein tab padh rahi thi jab raat ka 2 o clock baj raha tha... Padhte padhte mujhe itni hansi aayi ki main bed se hi gir gayi.. Even then I was laughing like anything... Toh aap samajh hi gaye hoge kitna dhamaakedaar story likha hai aapne

Vaise bhi itna accha story likhna toh aapke left hand ka khel hai...mere bhai jo hain...
Edited by Anokhisharma - 8 years ago
Top