Shair-o-Shairi-- Part 2 - Page 99

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

60.2k

Users

45

Likes

4

Frequent Posters

aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Kesa Lage Ga

an jaoon agar Tum sa, kesa lagega?
Her Pal rahoon Tum se Khafa, kesa lagega?

Parhte ho Mujhe Tum Namazon ki tarah se
Ho jaoon agar Tum se Qaza, Kesa lagega?

Tum Pyar mai khood ko mitaane per ho Raazi
Ban jaye agar Pyar Saza, Kesa lagega?

Khud se b ziada ho Yaqeen Tum ko kisi per
Wo Shakhs hi de jaye Daga, Kesa lagega?

Tum auron ki Mehfil mai Diya ban k jalo
Aur Tanhai mile Tum ko To phir, Kesa lagega?
Jugnu_244 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Phool khaltee hain baharon ka sama hota hain,
Aisee masoom main hi tu pyaar jawaa hota hain,
Dil ki batoon ko honton see nahin kehtee,
yeh fasana to ankhon see byaan hota hain..
Jugnu_244 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Dard ko b ab dard hone laga hai,
Dard ab hamare seney mai chup ker rone laga hai,
Na roye kabi hum dard ko dekh kar,
Per ab dard hamey dekh ker rone laga hai,

Jugnu_244 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Na chehroo hamien sataye howee hain,
Muhaabat k sadmein uthyaee howee hain,
Uthaoo khanjar aur qatal karo hamien,
Barii muddat se sar jhukayee huee hain..
Jugnu_244 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Toot gaiee dil pe armaan wohii hain,
Door rehtee hain phir bhi pyaar wohii hain,
jantee hain k mil nahin saktee,
Phir bhi in ankhon main intezar wohi hain..
Jugnu_244 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Mere liyee to harf-e-dua hoo gaya woh shakhs,
Saree dukhon ki jaisee dawa hoogaya woh shakhs,
Yun bhi nahin k paas hain mere woh humnafs,
Yeh bhi galat k mujh see juda hoagya woh shakhs..
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Kehti Hai


In Sehmein Howe Shehron Ki Fiza Kuch Kehti Hai
Kabhi Tum Bhi Sono Yeh Darti Kiya Kuch Kehti Hai

Yeh Tehtharti Howe Lambi Ratein Kuch Phochti Hain
Yeh Khamoshi , Awaz Nomaa Kuch Kehti Hai

Sab Apne Gharon Mein Lambi Taan Ke Sotay Hain
Aur Door Kahi Koyal Ki Sada Kuch Kehti Hai

Jaab Raat Ko Tarey Baari Baari Jagtey Hain
Kaii Dubtay Howe Taron Ki Nida Kuch Kehti Hai

Kabhi Bor Baye Kabhi Sham Parey Kabhi Raat Gaye
Har Aaan Badalti Rott Ki Hawa Kuch Kehti Hai

Mehman Hain Hum , Mehman Saraa Hai Ye Naghri
Mehmano Ko Mehman Saraa Kuch Kehti Hai

Bedaar Raho , Bedaar Raho ,Bedaar Raho
Ay Hum Safaron ! Awaz Dara Kuch Kehti Hai

"aishiya" Aashoob Zamana Se Ghaafel Na Raho
Kuch Hota Hai Jab Khalq Khuda Kuch Kehti Hai
aishiya thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
((=((Aesa nahi kerty))=))

safar tanha nahi kerty, suno aesa nahi kerty
jisy shafaaf rakhna hoo, usy mela nahi kerty
teri aankhen ijzat den, to hum kya nahi kerty
buhat ujary hoy gher per, buhat socha nahi kerty
safar jis ka mokader ho, usy roka nahi kerty
jo mil ker khud se kho jaty hain
usy ruswa nahi kerty
chaloo tum raaz rahoo apna, tumhe afshaan nahi kerty
ye peer kesy hain, saya nahi kerty
jo dhun ho ker guzarne ki, phir socha nahi kerty
kabhi hasne se darty hain, kabhi roya nahi kerty
teri aankhon ko party hain, tujhy dekha nahi kerty
sehar se pooch lo Raja, k hum soya nahi kerty
modishh thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
Najaanay kaun see khataa kee sazaa paayee hai
Ye jo kismat main azal say lik'hee tanhayee hai

Mojhay to khood say ziyaada hai aitmaad uss pay
Ye kaisay maan loon sanam meraa harjaayee hai

Ab uss kay dill main chupee baat bhee parh laitaa hoon
Aik moddat say unn aankhon say shanaasayee hai

Samajh sakaa hai kaun fitrat-e-zan aaj talak
Uss kee aawaaz main siskee hai ya shehnaayee hai

Dasht-e-ulfat main kadam soch kay rak'hnaa Saadiq
Keh iss dayaar kee soghaat hee jodayee hai
modishh thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
Log jee letey hein khwabon k saharey kaisey
apni aankhon mein to ab khwab utartey hi nahi hein
Top