Shair-o-Shairi-- Part 2 - Page 111

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

60.2k

Users

45

Likes

4

Frequent Posters

Jugnu_244 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Kahani ban ke jayee hain,
Woh dil ke ashiyane main,
Laage gii hum ko bhi sadiyaan,
Unhe bhulanee main...
Jugnu_244 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Yaad karne k liye koi cheez chahiyee,
Aap nahin to aap ki tasweer chahiyee,
Par tasweer aap ki hamaara dil behla na sakeegii,
Kyun ke yeh aap ki tarah muskarana sakeegii...
Jugnu_244 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Fiza par to asar hawaoon ka hota hain,
Muhubbat par tu asar adaoon ka hota hain,
Koi aaise hii kissi ka diwana nahin hota,
Kuch kasoor yaroon ka bhi hota hain...
kalli thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
Ana ki qaid se nikle muqabla to kare
woh mera sath nibhane ka hosla to kare
kabhi na tootne wala hisaar ban jaon
woh meri zaat main rehne ka faisla to kare


kalli thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
woh hans kar mile hum pyar samajh baithe
baikar ulfat ka izhar samajh baithe
aisi to na thi qismat apni ke apna koi hota
kyun khud to mohabbat ka haqdar samajh baithe


kalli thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
Lo apna jahan dunya walo ham is dunya ko chor chalay
Jo rishtay natay joray thay,wo rishtay natay tor chalay
Kuch sukh k sapnay dekh chalay,kuch dukh k sapnay jheel chalay
taqdeer ki andhi gardish nein, jo khail khelay khail chalay
har cheez tumhain lauta di,ham lay k nahi kuch sath chalay
phir dosh na dena logo,ham dekh lo khaali hath chalay


kalli thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago

Now a very famous Poem by Wasi Shah 😛

Kangan

Kash mere tere haseen hath ka kangan hota
to bare pyar se chao se bare maan ke sath
apni nazuk see kalai main charhati mujhko
aur betabi se furqat ke khizaan lamhoon main
tu kisi soch main doobi jo khumati mujhko
main tere hath ki khusboo se mahek sa jata
jab kabhi mood main a kar mujhe chooma karti
main tere honton ki khiddat se dehak sa jata
raat ko jab bhi to neendoon ke safar per jati
marmari haath ka ik takiya banaya karti
main tere kaan se lag ker kain baatain karta
teri zulfoon ko tere gaal ko chuma karta
jab bhi to band kaba kholne lagti janaa
apni ankhon ko tere husn se khiraa karta
mujhko betaab sa rakhta teri chahat ka nasha
main tere rukh ke gulshan main mehakta rehta
main tere jism ke angan main khanakta rehta
kuch nahi to yehi benaam se bandhan hota
kash main tere haseen hath ka kangan hota


Edited by kalli - 17 years ago
fakhra thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 17 years ago

Originally posted by: kalli

Now a very famous Poem by Wasi Shah 😛

Kangan

Kash mere tere haseen hath ka kangan hota
to bare pyar se chao se bare maan ke sath
apni nazuk see kalai main charhati mujhko
aur betabi se furqat ke khizaan lamhoon main
tu kisi soch main doobi jo khumati mujhko
main tere hath ki khusboo se mahek sa jata
jab kabhi mood main a kar mujhe chooma karti
main tere honton ki khiddat se dehak sa jata
raat ko jab bhi to neendoon ke safar per jati
marmari haath ka ik takiya banaya karti
main tere kaan se lag ker kain baatain karta
teri zulfoon ko tere gaal ko chuma karta
jab bhi to band kaba kholne lagti janaa
apni ankhon ko tere husn se khiraa karta
mujhko betaab sa rakhta teri chahat ka nasha
main tere rukh ke gulshan main mehakta rehta
main tere jism ke angan main khanakta rehta
kuch nahi to yehi benaam se bandhan hota
kash main tere haseen hath ka kangan hota


hey one of my fav....

Edited by fakhra - 17 years ago
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago

Pehle tow khushi mein bhi nikal aatey thay ansu
Ab ranj bhi hota hai tow rona nahi aata

OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
Sirf chehre ki udasi pe bhar aye ansu
Dil ka aalam tow abhi aap ne dekha hi nahi
Top