Khaleel ur Rehman and ......

I-Luv-Rashi thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#1
Okay so I am a big fan of KURT and I love his writing. I have a passion for writing and I am currently writing a novel named Ishq- Aik Kufar. As a tribute to khaleel ur Rehman Sahab. Here are few dialogues from my novel. I want you all to critique them if they are up to mark or not.
Scene 1

Person 1 : "Yeh saari auntyji ki hi ghalti hai, na woh iska naam aashique rakhti na Yeh ishq mein parta! "

Person 2 : "Ager naam Ka kismet ke saath lena dena hota hai na toh sab se ziada khasaaray mein tu hai Hasnain...Tujhay toh maut bhi dhoka deke aayegi."

Scene 2 :

Person 1: "jaag jao fariha , jaldi utho is Rait ke ghar ke samnay se, ager beh gaya toh maatam mein aur ziada waqt zaya hoga.!"

Person 2 : "Tum bhi na kamal kerti ho, bhla maray huon ko waqt ki kya perwah! "

Scene 3:

Person 1: "Bas kerdo fariha, , jaan logi kya becharay ki?"

Person 2: "haan bilkul lungi, ,, aik ishq hi toh hai Jisme mashook ko aashique Ka qatl bhi maaf hai. Toh phir kyun na krun apna haq istemal? "

Person 1 :" Fariha woh mar jayega, please aisa mat kro!"

Person 2 : "marne do, kasam khaati hoon uss sabse baray aashique ki jisne apne ishq ki khaatir dunya banai, Hasnain ki mayat per kafan charhne se pehle mera janaza utheyga!"

Scene 3 : "

Person 1 : " chor de yaar , Allah ke ishq ke siva kisi ka ishq Sacha nahi, Allah ne toh sabit bhi kerdia, school mein parha tha ke chand zameen ke gird ghumta hai aur zameen suraj ke gird. Toh kahan hua ishq mukammal? "

Person 2 :"Mujhay apne naamukammal ishq Ka dard nahi bas chubhan hai toh is baat ki ke meri zameen Ka suraj tu hai!"

Scene 4 :

Person 1 :" array waah farhan chashme toh bohut ache pehne hein tumne!"

Person 2 :"hein na? Branded hein from California. "

Person 1: "waah kya baat...waisay tum logon ne Hasnain ko maar ke Acha nahi kya! "

Person 2 :" tarap rahi ho uske Ishq mein? Waah kya ishq he tera Fariha."

Person 1: "Ho bhi kyun na, branded hai. Madinay ki har gali mein is brand ke charchay hotay hein. "

I know this is confusing but will love to hear from all you people. :)

Top