Posted:
husn par e'tibaar had kar dii
aap ne bhii 'figaar' had kar dii
aadmii shaahkaar-e-fitrat hai
mere parvardigaar had kar dii
shaam-e-Gam sub.h-e-hashr tak pahu.nchii
ai shab-e-intizaar had kar dii
ek shaadii to Thiik hai lekin
ek do tiin chaar had kar dii
zauja aur rickshaw me.n are tauba
daashta aur ba-kaar had kar dii
chhe mahiine ke baad niklaa hai
aap kaa hafta-vaar had kar dii
ghar se bhaage to ko.ii baat nahii.n
zindagii se faraar had kar dii
ek misre me.n masnavii likh dii
is qadar iKHtisaar had kar dii
kyaa murassaa Gazal kahii hai 'figaar'
aaj to tuu ne yaar had kar dii
comment:
p_commentcount