Favorite dialogues/scenes? - Page 94

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

341.9k

Users

91

Likes

2.2k

Frequent Posters

Posted: 8 years ago

Hamaray honay ya na honay say sirf hamain farq parta hai... Sirf hamara kirdaar khatam hojata hai... Kaainat mai koi tabdeeli nahi aati... Kisi cheez per koi asar nahi parta.

Pir-e-Kamil(S.A.W.W)

-RisingAsh- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
Waqt aur samajh ek saath khushqismat logon ko milte hain kyunke aksar waqt pe samajh nahi hoti aur samajh ane tak waqt nahi rehta...




#Random
fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago

Originally posted by: -RisingAsh-

Waqt aur samajh ek saath khushqismat logon ko milte hain kyunke aksar waqt pe samajh nahi hoti aur samajh ane tak waqt nahi rehta...





#Random


True 😭

Word Count: 1

fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Excerpts from Aab e hayat... Spoiler alert for those who want to read aab e hayat in one go , it might reveal some part of story...so beware, nd read at ur own risk😃



Paon uthana bhe kbhe dunya ka mushkil tareen kaam ban jata hai, yeh is lamhey isey maloom hua tha...kuch halaq mea bhe akta tha...pata nhe woh saans tha ya phanda...



Imama thinking about her child jibrael
Imama iska chehra dekhti rhe, palkein jhapkaye bageir, iske pedaish se pehle ka saraa waqt imama k zindage ka bad tareen waqt tha ya kam z kam is ke is waqt tak k zindage ka bad tareen waqt tha..
America wapas janey k baad apne aap ko normal karne k koshish mea woh quran pak boht parhti thi..
Salaar jab bhe tilawat kar raha hota, woh iske pas a kar beth jate.. Wo kitaab jse kisi sponge k tarah iska dard jazb kar leti thi aur isey mehsoos hota tha k woh akeli nhe thi jo Salaar k tilawat sunn rhe hote thi, is ke andar mutaharik woh wajood bhe is purey arsey mea sakit rehta tha, yun jese woh bhe apney baap k awaz par kan lagaye betha ho, jese wo bhe tilawat ko pehchanney laga ho...jo awaz iske maa k liye rahat ka baes banti thi, wo iske liye bhe sakun ka manba thi aur jab wo ro rhe hote to iske andar parwarish pataa woh wajood bhe behadd bechaini se gardish mea rehta.. Yun jese wo maa k ansoun se bechain hota ho, iske takleef aur gham ko samjh paa raha ho..



Salaar: tum chezon k qadar nhe karte... Wo kahey bageir na reh saka..

Chai ka ghoont lety hue Imama ne sar hilaya..
Thek kehty ho mea chezon k qadar nhe karte..insano k karte hun..

Insano k bhe nhe karte, salar khafa hua..

Sirf tmhre nhe k shayud isi liye saza mili...




Salaar: kea nam rakho ge phir meri auto biography ka?
Imama: Aab e hayat..isne be ikhtiyar kaha..uske chehry k muskurahat gayab hui...rung ura phir woh muskuraya..
Salaar: woh to koi bhe pi kar nhe ata, Imama k ankhon mea ankhein daaltey hue is ne kaha..
Imama: talaash to kar sakta hai, isne bhe iske ankhon mea dekhty hue kaha
Salaar: Lahasil hai...
Imama: wo to phir zindage bhe hai...
Edited by fairi_88 - 8 years ago
fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Jis tarah kisi k mout k baad usko dafnana zaruri hota hai, bilkul usi tarah kisi rishtey k khatam hony k baad usey bhe dafnana zaruri hota hai...
Bhai, A plus
-RisingAsh- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
I know this one is most probably shared here once at least.. but I again want to share it cuz I love this one way too much..




"Sifar ki zaroorat har adad ko parti hai kuch banne ke liye. Sifar jis adad ke saath lagey, uski qadr-o-qeemat kayi gunah barha deta hai. To agar apne aap ko sifar samajhti ho tab bhi tum qeemti ho, tab bhi tum bekaar nahi, tab bhi tum har ginti se pehle aaogi, har ginti ka aghaaz tum hi se hoga aur har 9 adad ke baad ek dafa tumhari zaroorat paregi. Aglay mor per janey ke liye tabdeeli jab bhi ayegi tumse ayegi...sifar se ayegi."




-Umera Ahmed, Durre Shahwar
Posted: 8 years ago
Pyaar asaan hota hai..insaan isse complicated bana dete hain..
Zid
fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago

Originally posted by: -RisingAsh-

I know this one is most probably shared here once at least.. but I again want to share it cuz I love this one way too much..




"Sifar ki zaroorat har adad ko parti hai kuch banne ke liye. Sifar jis adad ke saath lagey, uski qadr-o-qeemat kayi gunah barha deta hai. To agar apne aap ko sifar samajhti ho tab bhi tum qeemti ho, tab bhi tum bekaar nahi, tab bhi tum har ginti se pehle aaogi, har ginti ka aghaaz tum hi se hoga aur har 9 adad ke baad ek dafa tumhari zaroorat paregi. Aglay mor per janey ke liye tabdeeli jab bhi ayegi tumse ayegi...sifar se ayegi."




-Umera Ahmed, Durre Shahwar



This was one hell of an awesone dialogue i hav ever seen, it represents the value of a supressed/depressed person in such a nice way😳
fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Jab muhabbat mea dil toot-ta hai na, to us shakhs se zada khud se nafrat ho jate hai, aur jab khud se nafrat hojye to zinda lash ban jata hai insan..
Mera yar mila dey
Posted: 8 years ago
Yeh kamre mein tor phor karne se tumhara dil nahi jurr jayega!!
Mera yaar milade
Top