Favorite dialogues/scenes? - Page 93

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

341.9k

Users

91

Likes

2.2k

Frequent Posters

fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Kashaf : yeh taleem, degree, nokriyan sab bekar hote hain, baaz dafa zindage ko sawarney k liye in mea se koi bhe cheez kam nhe ate...
Zindagi gulzar hai

Zaroon : sheher k halaat ka pata bhe hai apko, kis tarah k lafangey nikaltey hai raat ko
Kashaf : lafangey har jagah hotey hain, sarkon par sirf nhe phirtey..university mea bhe hotey hain
Zaroon : what!
Kashaf : bhae apko mjhe asmara se pehle chorna chaiye tha
Zaroon : for God's sake kashaf mea itna bhe bura insan nhe hun k tm raat ko mere sath akele travel nhe kar sakti

Zaroon : yeh meri zindage ka sab se bura safar tha
Kashaf : mera bhe!
Zindagi gulzar hai

Zaroon's thought
Maine apni zindage mea boht garoor wale larkian dekhi hain, lekn maine kashaf jesa garoor kisi mea nhe dekha..samajh mea mjhe yeh nhe ata k usko akhir garoor hai ks cheez ka..apne apko kea samjhte rehte hai wo har waqt..kisi larkey k sath akele gari mea lift nhe ley sakti wo, ya phir masla mjh se lift na lene ka tha..pata nhe aaj k zamaney mea yeh konsi values hain, agar inhe values kaha ja sakey to.. Janwar samjhte hai larko ko woh..
Zindagi gulzar hai

Zaroon's thought
Baaz dafa yeh larki mjhe boht ajeeb lagte hai, boht tung karte hai, not in an interesting and dramatic way, paheli k tarah nhe balkey aik irritating jigsaw puzzle k tarah, jis k hissey ikathy karty karty insan buri tarah khuwar hojye..
Zindagi gulzar hai

Kashaf : Aaj mea boht thak gye hun aur pata nhe baaz dafa aisa keun hota hai k aap thak jatey hain halan ke ap ne na to jismani mushakat k hote hai aur na hi zehni...phir bhe zindage bekar lagte hai aur apna wajood bojh lagta hai...
Zindagi gulzar hai



fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Kashaf : zarurat k waqt par koi kam nhe ata..
Zindagi gulzar hai


Kashaf : ami pechley 7, 8 saal se mea itne dhakkey kha rhe hun k ab ikhlaq nam k chez mere andar se bilkul khatam ho gye hai..aur ab dunya dikhawe ke liye bhe mea ikhlaq nhe dikha sakte..khas tor par un logo k liye jo humare zindage mea zeher gholne k zimma dar hain..
Zindagi gulzar hai


Kashaf : zindage mea pehli bar maine kisi mard k mu se apne liye beta ka lafz suna, yeh wo lafz hai jo mea hmesha apne baap se sunna chahte thi...shayud woh kbhe kehty hun gey mere bachpan mea lekn mjhe yaad nhe aur aj sir Abrar k mu se beta ka lafz sunn kar mea mey nhe jante meri kea kefiyat hui..pata nhe khushe se hui ya ranj se, sagey rishton k hoty hue muhabbat aur shafqat nam k chexon k liye tarasney se bari bd qismati kea hoge...aur mea yakenan muhabbat k muamley mea bd qismet hun..aur sageyy rishton k muamley mea us se bhe zada..sir Abrar ka meri zindage mea hmesha aik khas role rha hai..wo baap nhe hai mere, magar boht dafa wo mjhe baap jese hi lagey hain..kaash mea kbhe unhe yeh bata sakte..kbhe kabar hum apne khooni rishton se mayoos ho kar un rishton ko un chehron mea dundhna shuru kar dety hain, jo hume pyar aur tawajo dety hain..pata nhe yeh sahe hota hai ya galat, lekn meri zindage mea yehi hota hai..
Zindagi gulzar hai


Kashaf : Hum ab urna seekh gye hain, un k paron k koi zarurat nhe hai...
Zindagi gulzar hai

Kashaf : Mera ideal zaroon jesa koi admi to ho nhe sakta, lekn mera ideal hai kea?
Zindagi gulzar hai

fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago


Zaroon : come to think of it! Kashaf waqae itne saalon se mere sub conscious ka hissa rhe hai.. Osama bhe thek hai akhir maine Asmara ko sirf usey k saath keun compare kea.. Kea aisa hai k na pasandeeda hony k bawajud wo aurat us ideal k boht qareeb hai jisey mea pasand karta hun..ya phir Osama k yeh baat bhe thek hai, mea boht zada confused hun.. Ya khaif hun aik naye commitment aur relation se..
Zindagi gulzar hai


Zaroon : zindage k sab se mushkil tareen chexon mea se aik hai, kisi ke dil se apney barey mea bd gumani ko dur karna, khas tor par us bd gumani ko, jiske zada tar wujuhaat thek hun..
Zindagi gulzar hai


Zaroon : keun maan gye kese maan gye, mea to lambey chorey sawal jawab ka soch rha tha, usne to kuch pucha hi nhe mjhe se, is trah koi guarantee koi assurance liye bageir maan gye.. Kuch ajeb hi masla hai mere sath, wo maan nhe rhe thi to becheni thi, ab maan gye hai to beyakeni hai... This is so beginning to sound like a diary of a mad man, i hope not... Point of difference, again!
Zindagi gulzar hai


Kashaf's mom : zindage mea halaat badaltey hi logo k rawaye badal jatey hain.. Aur shayud insan apne halaat badalne k koshish karta hi isi liey hai.. Takey logo k rawaye behtar ho jayein..
Zindagi gulzar hai


Posted: 8 years ago
Achi baat hai ke aap samajhte hain ke mujhe deserve nahi karte, jo samajhte hain ke deserve karte hain wo property ki tarah treat karte hain
Guzaarish
Posted: 8 years ago
Maa baap hamesha apni ulaad ko maaf kar dete hain
Shikwa
TC_FA thumbnail
IPL 2023 Match Winner Thumbnail IPL 2023 Participants 2 Thumbnail + 8

#MusJeena (KMKT)

Posted: 8 years ago
Mere abba kehte the ki jhooth bolna pehli baar aasaan hota hai,uske baad mushkil hi mushkil hoti hai aur sach bolna pehli baar mushkil hota hai,uske baad aasaani hi aasaani hoti hai.
HUMSAFAR
fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Jab khud ko samjhne k liye kisi k zarurat parey na zain, to samjh lena chaye k muhabbat k pehli seerhi par qadam par chuka hai..
Guzaarish

Posted: 8 years ago
OMG this is creepy, I just came here to post that same dialogue
fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago

Originally posted by: HeavenlyBliss.

OMG this is creepy, I just came here to post that same dialogue


😲 Guzaarish wala dialogue?
fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago

Dont worry dude, great mindz think alike🤗😆
Top