Favorite dialogues/scenes? - Page 92

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

341.9k

Users

91

Likes

2.2k

Frequent Posters

fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
This is one of the best threads of this forumz, i hav read all da pgz, most of my fav stuff by umera ahmed iz already been posted , i ll share my favz

In malal itz one of my fav scene When Jawad was convincing his mother to marry Zeenia and she didnt agree saying that log kea kahien gey nd all , it goes lyk
Mom. Jawad beta yunhi naraz wapas chle jao gey, mea tmhre dushman nhe hun,jo bhe keh rhe hun tmhre bhaley k lye keh rhe hun

Jawad. Nhe ami, aap jo bhe keh rhe hai apne ana aur zid k wajah se keh rhe hain

Mom. Aisi shadiyan kamyab nhe hotein

Jawad. Je, shayud baron k zid aur stuborness k wajah se

Mom, mjhe tmhre parwah hai tmhre ghar k parwa hai, mea nhe chahti k tmhra ghar tootey

Jawad, ami apko keun yeh yakeen ho gaya hai k Zeenia se shadi karne k baad mera ghar toot jaye ga, kisi se bhe shadi karne k baad toot sakta hai, danish aur mahi in dono k to shadi ideal thi na ap ke nazdeek, kea hua ap ke samne hai

Mom, sirf ghar tootne k bhe baat nhe hai, aur bht se masley hotey hain, bari umar k larki se shadi karo gey chandd salon mea tmhre maa lagney lagi ge, aur phir aulad k hony mea complications alag ho sakte hain

Jawad, mummi Khuda ka wastaa ap kon se zamaney mea reh rhein hain, aur apko kea pata k 20 saal k larki se shadi se ye complications nhe hun ge, aur agar kuch aisa hua to aap hi wo hun ge jo sab se pehle meri shadi turwa k meri dusri shadi karwaein ge

Mom, kesi batein kar rhe ho tm to is trah keh rhe ho jesi mea tmhre dushman hun

Jawad, ap meri dushman nhe meri maa hain, isi lye ap mjhe aisa libaas pehenne par majboor kar rhe hain jo mjhe pasand hi nhe hai

Mom, thek hai karlo apne marxi se shadi, kisi bhe larki se lekn zeenia se nhe

Jawad, keun? Islye k wo zid hai apke, ana ka masla hai

Mom, keun k wo ache larki nhe hai

Jawad, mummi ap ab ziyadti kar rhe hain

Mom, tm khud dekh lo phle danish ko phansa, uske shadi turwai jab wahan bat nhe bani to tmhre peche par gye

Jawad, Khuda ka wasta kbhe apne bety ko ilzam dena bhe seekhiye, danish bhai ne agar zeenia se shadi nhe k to inke bewaqoofi hai, lekn mea ye bewaqoofi nhe karun ga, aur plz aaj k baad ap uske character k barey mea koi bat nhe karein ge, nhe to apne bety ko kho dein ge ap

Mom, tm apne ma baap k marxi k bageir us se shadi karlo gey

Jawad, nhe ami mea koi aisa kam nhe karun ga jo apki ijazat ka bageir ho, lekn agar meri zeenia se shadi nhe hui to mea sari zindage shadi nhe karun ga

Mom, aisa mat kaho beta, tm humare iklotey bety ho

Jawad, to apko meri khushi keun naxar nhe a rhe, mummi i love her
Mom, magar log kea kahein gey

Jawad, log kuch nhe kahein gey mummi, log wohe kahein gey jo hum kahein gey, agar ap aik dafa usko dil se tasleem kar lein ge to kisi k himat nhe hoge k apke samne zaban kholne k, shaadi insan khushi k liye karta hai aur mjhe pata hai k mea zeenia k sath bht khush rahun ga,agar aap chahti hain k mea society k standards k hisab se apni biwi talaash karun to thek hai mjhe biwi to mil jye ge lekn khushi nhe miley ge , yehi chahti hain ap

Mom, thek hai, tm agar us se shadi karna chahty ho to karlo lekn meri bhe aik shart hai
fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago


Zara to Maliha : tum mjhe boht azeez thi, dunya mea sab se zada azeez thi tm mjhe, 7 saal tmhre kaprey, tmhre chexain , tmhre jootey maine aur meri behno ne istamal kiye...tmhre baat kese taal sakti thi..aur tm jaanti ho, jo tm college mea mjhe khana khilati thi na poorey din ka pehla aur shayd akhri khana hota tha mere liye, tm to mere liye farishta thi farishta, tumhe insan nhe banna chahye tha 😭
Daam

Maliha: kea dost kisi ko dhoka dey sakta hai
Junaid: dey sakta hai, bura dost
Maliha: lekn dost bura kese ho sakta hai, ya dost dost hota hai ya nhe, kam z kam is rishtey mea bura to nhe apply hota

Daam
fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago

Zain : mama jaan mea phle hi maryam k hazaron galtiyan nazar andaz kar chuka hun, aur aap yeh janti hain
Mama jaan: mea kisi bari galti k baat kar rhe hun
Zain: depend karta hai k gunah k nooyiat kea hai
Mama jaan : mere piyarey bety, yehi to faraq hai mard aur aurat mea, aurat muaf karty hue gunah k noyiat nhe dekhti, mard dekhta hai !
Lahasil , Umera Ahmed

Mama jaan : koi maa apni aulad ko, apne zillat ka hissa daar nhe banana chahti...meri mazrat tmhre takleef ko kam to nhe kar sakti kekn mere bachey mjhe maaf kardo

Zain : mea ap se sirf aik bat kehna chahta hun, ap ne mere saath jo kuch bhe kiya wo galat tha...ap ne yeh sab kuch mjhse chupa kar, mjh par bht zulm kea hai...
Mjhe ap se taluq par koi sharmindgi nhe hai, mea apko apnata hun, apke maazi samait...mea Mazhar Adaab nhe hun...
mea Zain hun apka beta ...apka beta mama jaan !

Lahasil, Umera Ahmed





Dnt knw but these two scenez just touched my soul, cant forget them ever... Umera's one da best work...


Edited by fairi_88 - 8 years ago
priya185 thumbnail

Romantic Reveries

Posted: 8 years ago
zgh aapse milkar khushi hui mujhe nahin hui reunion scene zaroon lying in her bed chand family scene
humsafar rain scenes party scenes when asher finds out truth
diyaar e dil last wafa scene
Edited by -Priya- - 8 years ago
Posted: 8 years ago
Todays Gul e Rana episode, I loved all of Rana's dialogues to him after the slap!

Jab aapki beti ke saath koi aisa karega, tab aapse poochoongi...

Jo mard apni taqaat kahin aur nahi dikha sakte, wo apni biwi pe dikhaate hain.
fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Raat das baj kar pachas minute par isey apne ird gird k puri dunya dhuwaein mea tahleel hote naxar aye.. Kisi cheez k muthi mea hony aur phir dur dur tak kahin na hony ka faraq koi imama se behtar nhe bata sakta tha...
Peer e kamil SAWW


Salar : What is next to ecstasy?
Imama : Pain
Salar : What is next to pain?
Imama : Nothingness
Salar : And what is next to nothingness?
Imama : Hell
Salar : What is next to hell?
Imama : Tmhe khouf nhe ata?
Salar : Kis cheez se?
Imama : Hell se us jagah se jis k agay aur kuch bhe nhe hota...sab kuch is k peeche hi reh jata hai..maatoob aur maghdoob hony k baad bachta kiya hai jisey janney ka tmhe tajasas hai?
Peer e kamil SAWW


Zindagi mea hum kbhe na kbhe is maqam par a jatey hain jahan sarey rishtey khtam ho jatey hain, wahan sirf hum hotey hain aur Allah hota hai..koi maa baap koi behen bhai koi dost nhe hota.. Phir hume pata chalta hai k humre pairon k neeche zameen hai na humare sar k upar koi asmaan bas sirf aik Allah hai jo hume is khalaa mea bhe thamey hue hai..phir pata chalta hai hum zameen par pari matti k dheir mea aik zarre ya darakht par lagey hue aik pattey se zada k wuqat nhe rakhtey.. Phir pata chalta hai k humre hony ya naa hony se sirf hume faraq parta hai.. Sirf humara kirdaar khatam ho jata hai.. Kainat mea koi tabdeeli nhe ate kisi cheez par koi asar nhe parta..
Peer e kamil SAWW


Andhery mea simt ka pata nhe chalta magar asman aur zameen ka pata zarur chal jata hai..balkey har haal mea chalta hai..sar uthaney par asman hi hota hai naxar aye na aye..sar jhukany par zameen hi hote gai dikhaye dey na dey magar zindage mea safar karne k liye sirf chaar simton hi k zarurat parti hai..right, left, agey , peche, panchween simt pairon k neche hote hai wahan zameen na ho to pataal a jta hai..pataal mea puhnchne k baad kisi simt k zarurat nhe rehti..
Chati simt sar se uper hote hai wahan jaya hi nhe ja sakta..wahan Allah hota hai.. Ankhon se naxar na aney wala magar dil k har dharkan khoon k har gardish har aney jny wali saans, halq se utarne wale har niwale k sath mehsoos hony wala..
Peer e kamil SAWW


Jagan aik fard k kmi hote hai wahan is fard se hi wo kmi puri hote hai, rupiya ya dusre koi cheez is ke jagah nhe le sakte
Peer e kamil SAWW

meandwho thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3

Sajal Aly

Posted: 8 years ago

Originally posted by: Commelina

I would really want to contribute something to this thread and since the latest drama that I have watched is Bashar Momin, here is a dialogue that I loved .

Bashar has somehow fallen for Rudaba and the fact that he fell for a girl who already loves someone else is unbearable to him and yet hates that he loves her and yet he can't undo it. Here is the dialogue

" Aur jo mohabbat ho jaye usay kaise badla jaye..."

Since it was Faisal who delivered the dialogue , he managed to bring out the pain in his voice.

And then there was another scene where he thought his wife would ask for divorce on his father's barsi.
The way Faisal Quereshi asked ," Talaaq chahiye ?" and Rudaba said no. He was confused and his expressions were mind blowing.
He asks ,' Toh kya chahiye ?'
I became a fan of his acting then n there all over again. His eyes manage to converse all that is unsaid.

I just wanted to bring this back to the light, just watched the episode!!
Also rudaba's emotional dialogues:
hairat ki baat hai
aapki mohoboot to apki nafrat se bhi zalim nikli
aur itni andhi,
dushmano ke bete ke liye pyaar aur apne bache ke liye khatma?
...
aapke bache ne kya kiya tha?
Main aapke dil mein nehi utar saki,
usne kya kiya tha?
acha chore, idhar dekhiye aap,
taayibaa ke bache ko jab aap dekhenge,
ya bhabhi ki parizay ko dekhenge,parizay to jaan hai na mamu ki,
tab apna bacha yaad aayega aap ko?
ya jab ye dono bache bare ho jayenge,
aur apne baapo ke sine mein liptenge,
tabhi bhi nehi yaad aayenge aapko?

fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Salar's struggle had some awesome dialogues...

Yeh mea nhe tha jis ne is aurat ko apne dil mea jagah de, yeh tu ne kiya.. Keun mere dil mea is aurat ke liye itne muhabbat daal de k mea tere saamney khara bhe is ko yaad kar rha hun? Keun mjhe is qadar bebas kar dya ke mjhe apne wajood par bhe koi ikhtiyar nhe raha? Mea wo bashar hun jisey tu ne in tamam kamzoriyon k saath banaya.. Mea wo bashar hun jisey tere siwa koi rastaa dikhaney wala nhe aur wo aurat wo meri zindagi k har rastey par khari hai.. Mjhe kahin janey kahin puhnchney nhe dey rhe ya to is ke muhabbat ko is trah mere dil se nikal dey k mjhe kabhe iska khayal tak na aye ya phir isey mjhe dey dey.. Wo nhe miley ge to mea saari zindagi is ke liye hi rota rahun ga.. Wo mil jaye ge to tere ilawa mea kisi ke liye ansoo nhe baha sakun ga.. Mere ansooun ko khalis hony dey..
Peer e kamil SAWW



Imama hashim wahan nhe thi.. Sanober, imama hashim nhe thi.. Kitna bara bojh iske kandhon se utha liya gya tha, kesi aziyat se isey bacha liya gaya tha..takleef dey kar isey aghi nhe de gye.. Sirf takleef ka ehsaas dey kar isey aghi se shanasa kar dya gya tha..isey wahan na dekh kar wo is halat mea ja puhncha tha.. Wo isey wahan dekh leta to is par kea guxarti.. Isey Allah se khouf a rha tha be panah khouf.. Wo kis qadar taqat war tha kea nhe kar sakta tha.. Wo kis qadar meherbaan tha.. Kea nhe karta tha..insan ko insan rakhna isey ata tha.. Kabhe ghazab se, kabhe ehsaan se.. Wo isey iske dairey mea hi rakhta tha..
Isey kbhe apni zindage k is sayah baab par itna pachtawa, itne nafrat nhe hui jitne is waqt ho rhe thi..
Peer e kamil SAWW



Aur isey yeh baat bhe maloom thi k in tamam kefiyat aur halaat ka taluq imama hashim se hai na wo iske zindage mea ate na iske saath yeh sab kuch hota.. Pehle wo isey na pasand karta tha ab isey imama se nafrat hony lage thi.. Pachtawy ka jo halka sa ehsas kuch arsa iske sath rha tha wo gayab ho gaya tha
"Iske saath jo hua, thek hua.. Mea ne iske saath jo kea, thek kea.. Iske saath is se zada bura hona chaiye tha"..
Wo khud ba khud hi apne aap se kehta rehta.. Isey imama hashim k zuban se nikley hue har lafz, har harf, har jumley se nafrat thi.. Isey iske batein yaad atein aur iske nend gayab ho jate.. Aik ajeb se weshat isey gher leti.. Is ne us raat jin baton ka maxaq uraya tha, wo ab har waqt uske kanon mea goonjne lage thein..
Peer e kamil SAWW


"To kea isey meri zindage se nikal dene ka faisla hua hai"? Is ne takleef se socha
"To phir yeh aziyat bhe to khatam honi chaye.. Mea ne is aziyat se rihai bhe to mangi thi.. Maine iske yaadon se farar bhe to chahha tha.. "Isne mandeir par rakha garam coffee ka cup apne sard hathon mea tham liya."
To imama hashim bala akhir tum meri zindage se hamesha k liye nikal gyein.. Is ne coffee k talkhi apne andar utari..
Peer e kamil SAWW

Wallet k aik jaib se is ne aik teh shuda kagaz nikal kar khol liya..
Dear uncle Sikandar!
Mjhe apke bety k mout par boht afsos hua.. Chand saal pehle meri wajah se apko boht takleef uthani pari.. Mea iske liye mazrat khua hun.. Mjhe salaar ko kuch raqam ada karne thi wo ab mea apko bejh rhe hun..
Khuda Hafiz
Imama Hashim
Peer e kamil SAWW







fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Zindage mea humare sath chalne wala har shakhs islye nhe hota k hum thokar kha kar girein aur wo hume sambhal ley hath tham kar, girney se pehley ya bazu khench kar girney k baad.. Baaz log zindage ke is safar mea humare sath sirf yeh dekhne k liye hotey hain k hum kab kahan aur kese girtey hain.. Lagne wale thokar humare ghutno ko zakhmi karte hai ya hathon ko khaak humare chehrey ko ganda karte hai ya kapro ko..
Thora sa asmaan, Umera Ahmed


Aulaad kbhe yeh nhe sochte k in ke maa baap se koi galte ho sakte hai aur jab wo maa baap ko galte karta dekhtey hain to saari tor phor inke apne andar hote hai.. Wo pehle in galtiyon ko apna wahma qaraar dety hain phir inke liye tojeeh dene k koshish kartey hain phir akhir kaar aiteraf kar lety hain k in ke maa baap wo nhe thy jo woh samjhty thy.. Phir iske baad aik khaleej hote hai jo maa baap aur aulad k darmiyan hail hona shuru ho jate hai..
Thora sa asmaan, Umera Ahmed





"Mera ab zawal shuru ho raha hai aur zawal k din insaan ko akele hi guzarna chaiye... Zawal mea saathi mil jye to pata kese chale ga ke zawal a gaya hai."
Man o salwa, Umera Ahmed


Dunya k kahi hui baat aur apno k kahi hui baat mea faraq yeh hota hai k dunya k kahi hui baat pehle takleef deti hai phir iske adat ho jate hai.. Apno k kahi hui baton k kabhe adat nhe hote.. Har baar wo sunney par takleef pehle se zada bharti hai..
Man o salwa, Umera Ahmed


Koi bhe insaan "puri dunya" ke liye nhe jeeta sirf aik insaan k liye jee sakta hai jo is ke "dunya" ho...aur mere pass woh dunya nhe hai...
Man o salwa, Umera Ahmed
fairi_88 thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Some of this is already been posted by i cudnt resist posting...its so relatable

"Muhabbat aur izzat e nafs ka apas mea bara gehra taluq hota hai.. Muhabbat sab se pehle izzat e nafs ko khatam kar deti hai.. Ya banda muhabbat kar ley..ya phir apne izzat...haath k muthi mea dono chexain ikathi nhe a saktein".
Apne kamrey mea aney k baad wo bhe kuch aisa hi mehsoos kar rhe thi..isey yak dam boht zada thakan ka ehsaas ho rha tha..
"Kea maine thek kea hai?".. Khirki k pardey hatakey hue is ne bahir pheli tareeki mea jhankty hue socha..
"Kea khud ko is qadar gira dena thek hai?"
Amar bail, Umera Ahmed



Shayud mea abhe bhe mature nhe hui hun..shayud mea kbhe bhe mature nhe ho sakte.. ya phir Umar Jahangir woh hadd hai jahan meri maturity khatam ho jate hai.. mere hawas e khamsa kam karna chor dety hain..phir mea sirf woh dekhti woh sunti aur wo kehti hun jo is ke khuwaish hote hai..ya shayud isi k kefiyat ko muhabbat kehty hain..
Isey apne ankhein dundhli hote mehsoos huein..
Aiteraaf ka lamha azab ka lamha hota hai..
Amar bail, Umera Ahmed



Aleezay ne iske kandhey par tika sar utha kar andhery mea dundhli ankhon k saath isey talash karne k koshish k aur boht saalon k baad phli baar isey ehsaas hua k isne apne zindage k das saal aik galat shakhs k liye zaya kar diye.. Iske nazdeek aleezay k kea ehmiyat thi? Iske nazdeek iske ansoo kea mayni rakhtey thy? Iske nazdeek iske khushi k kea haseeyat thi...iske nazdeek Aleezay kea thi?
Das salon k baad pehli baar is ne ainay mea apne chehrey ko ankhein bund kar k dekhne k koshish karne k bajae ankhein khol kar dekhne k koshish k..
Amar bail, Umera Ahmed



Kon kehta hai k kisi shakhs se aik baar muhabbat hony k baad is se nafrat ho sakte hai.. Jo kehta hai wo dunya ka sab se bara jhoota hai..
Cycle of replacement mea sirf muhabbat k replacement nhe hote.. Khud ko fareib dene k bawajud hum jantey hain k humre wajood mea khoon k gardish k tarah basney wala nam ks ka hota hai.. Hum kbhe bhe isey apne wajood se nikal kar bahar nhe phenk saktey.. Teh dar teh is ke uper dusri muhabbaton ka dheir lagaye jatey hain, kehty jatey hain ab hum is se muhabbat kartey hain ab hum us se muhabbat kartey hain lekn jo zada dur hota jata hai woh zada qareeb ata jata hai aur wo humare dil aur dimagh k is hissey mea ja puhnchta hai k kbhe usko wahan se nikalna parey to phir iske baad hum normal zindage guxarney k qabil hi nhe rehty..
Amar bail, Umera Ahmed



Wo iske muhabbat mea 18 saal k umar mea giraftaar hui thi.. Wo wahid shakhs tha jis se wo har baat kar leti thi, boht saari wo batein bhe jo woh kbhe shehla aur nano se bhe nhe kar sakte thi..
Wo wahid shakhs tha jo is ke nakhrey bardasht karta tha.. Naaz uthata tha.. Is ne Umar Jahangir k ilawa kisi se itne zidd nhe k thi.. Kisi ko itna tung nhe kea tha.. Is ne Umar Jahangir k ilawa kisi ko bura bhala bhe nhe kaha tha.. Kisi se batamezi bhe nhe k thi.. Kisi par cheekhi chilai bhe nhe thi..
Wo wahid shakhs tha jo iske har galte apney kandhon par lene k liye tayar rehta tha.. Jo isey mehfooz rakhney k liye kisi bhe hadd tak ja sakta tha aur wo yeh sab kuch janti thi..
Aur ab jab woh apne zindage ka safar khatam kar k dunya se ja chuka tha to wo andhon k trah haath phelaye khari reh gye thi.. Koi dusra shakhs is k liye Umar Jahangir nhe ban sakta tha..
Amar bail, Umera Ahmed



Top