Favorite dialogues/scenes? - Page 73

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

342k

Users

91

Likes

2.2k

Frequent Posters

OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago

Originally posted by: -ZaYalicious-

A friend has been reading Amarbail which made me go back to re-reading it. I was itching to share these two dialogues here.


"Mohabbat aur izzat e nafs (self-respect) ka apas mein bara gehra taaluq hota hai. Mohabbat sab se pehle izzat e nafs ko khatam kar deti hai. Ya banda mohabbat kar le ya phir apni izzat. Haath ki mutthi mein ye dono cheezein ek saath nahin a sakti."

"Zindagi mein ek cheez hoti hai jise compromise kehte hain. Pur-sukoon zindagi guzaarne ke liye iski zaroorat parti hai. Jis cheez ko tum badal na sako, uske saath compromise kar liya karo magar apni kisi khuwahish ko kabhi bhi junoon mat banaya karo. Zindagi mein kuch cheezein aisi hain jo hamay nahin mil sakti chahay hum rou-ein (cry), chil'la-ein (scream) ya bachon ki tarhan airyaan ragrein kyunke woh kisi dosre ke liye hoti hain. Jese tumhare parents ab kisi aur ke parents hain."

-Amarbail




The 1st one is sooo true...it's just what I needed to hear at this moment..😳
Vivirti_Suvian2 thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 4
Posted: 8 years ago
QUID_E_TANHAI last scene

MOIZ :- BOHOT DINO SE TUMSE KEHNA CHATA HOON KUCH
AYESHA :- JAANTI HOON
MOIZ :- KYA JANTI HO
AYESHA :- YAHI KE AAP CHAHTE MEIN RUK JAU WAPAS NA JAU LEKIN PAKISTAN MEIN BHI . . . . ( and moiz interrupts and says )
MOIZ :- MAAFI MANGNA CHAHTA HOON TUMSE
AYESHA :- KIS BAAT KI
MOIZ :- ITNI SAARI CHIZE HAI KE SAMJH NAHI AA RAHA KIN KIN CHIZO KE LIYE MAAFI MANGU MAIN EK ACHHA SHAUHAR NAHI RAHA
AYESHA :- BIWI TOH MAIN BHI ACHHI NAHI THI
MOIZ :- BOHOT JYATATIYAAN KI MAINE TUMHARE SATH
AYESHA :- KYA . . . KYA JYATATIYAAN KI
MOIZ :- TUM PAR TUMHARI HIMMAT SE JYADA BOJH DAAL DIYA INSAAN HOTE HUE FARISHTA DEKHNA CHAHTA THA TUMME BOHOT LAMBI SAZA DI MAINE TUMHE EK . . . EK GALTI KI JYATATI KI TUMHARE SATH APNE SATH NOOR KE SATH
AYESHA :- NAHI KOI JYATATI NAHI KI AAPNE MERI GALTI THI MAIN APNE APKO ITNA MAJBOOT AUR BAHADOOR SABIT NAHI KAR SAKI JITNA HONA CHAHIYE THA AAPNE SAZA DI MUJHE THIK KIYA MAIN DESERVE KARTI THI
MOIZ :- AYESHA MAINE JO KUCH BHI KIYA GHUSSE MEIN KIYA GUSSA KHATAM HONE ME BOHOT DER LAGADI PAR JAB GHUSSA KHATAM HUA TAB MERI ZINDAGI MEIN EK DUSARI AURAT AA CHUKI THI AULAD AA CHUKI THI WAPASI KE RAASTE BAND HO CHUKE THE CHAHTA BHI TOH WAPAS NAHI LAUT SAKTA THA
AYESHA :- WAPAS NAHI AATE AAP 18 SAAL KI WAPASI KE BAAD AAP MUJHSE YEH KEH RAHE HAI
MOIZ :- TUMNE KOSHISH BHI TOH NAHI KI KE MAIN WAPAS LAUT AAOO
AYESHA :- AISA MUMQEEN THA
MOIZ :- 18 SAAL TUMHARE EK JUMLE KA MULTASIR KE KABHI TUM AAKE MUJHSE YEH KAHO ME EXCUSE KARNA CHAHTI HU ME SHARMINDA HOON MAAF KARDO MUJHE 18 SAAL
AYESHA :- MUJHE KABHI YAQEEN NAHI THA AGAR YEH AHSAA
MOIZ :- MAIN TUMHE MAAF KAR SAKTA THA MOHABBAT KARTA THA TUMSE AAJ BHI KARTA HOON EK BAAR TUMHE MAZRAT KARKE DEKHNA CHAHIYE THA AYESHA ITNA TOH DESERVE KARTA THA ME
AYESHA :- I'M SORRY MOIZ I'M SORRY
MOIZ :- DUKH MUJHE IS CHIZ KA NAHI THA KE TUM JAWAD SE MUJHE REPLACE KAR RAHI THI MUJHSE IS BAAT SE BARDASHT THA KE TUM USE MOHABBAT KARTI HO MERA AUR TUMHARA TAALUQ ITNA KAMZOR AUR ITNA KACHHA TOH NAHI THA
AYESHA :- MOHABBAT NAHI THI WOH JARURAT THI WO HUMDARDI KARTA THA MUJHSE MERA AUR NOOR KA KHAYAL RAKHA USNE BOHOT USKI ZABAAN MEIN WOH MITHAS THI TUMHARE TUMHARE GHAR WALO KE PAAS NAHI THI MERE LIYE 4 SALOON MEIN HAR BAAT SHARE KI USNE MERE SATH NOOR KE PEHLE KADAM SE LEKE USKI BIMARI USKI KHUSHI HAR CHIZ MAIN KAISE NA AATI USKE PAAS
MOIZ :- THIK KEH RAHI HO TUM
AYESHA :- MAINE TUMHE BOHOT KAHA THA KE TUM WAPAS AA JAOO TUM JHOOT BOLTE RAHE MUJHSE IS SAAL IS SAAL MUJHE YAQEEN THA TUM KABHI WAPAS NAHI AAOOGE AUR ANILA KA TUMHARE ZINDAGI MEIN AANE KE BAAD TOH KABHI NAHI
MOIZ :- ANILA KI KOI AHMIYAT NAHI THI MERI ZINDAGI MEIN US BICHARI KO TOH MAIN MOHABBAT PYAAR KUCH DE HI NAHI SAKA MUJHE KABHI US SE MOHABBAT NAHI HUE
AYESHA :- THI AHMIYAT THIK USI TARAH JIS TARAH JAWAD KI MERI ZINDAGI MEIN AHMIYAT THI TUMHARI ZINDAGI MEIN WOH KHALA PURI KI THI USNE JO MERE NA HONE KE WAJAH SE PAIDA HUE THI AUR PHIR TUM MARD HO TUM USE APNI GIRLFRIEND KEH SAKTE THE USKE SATH GHUMPHIR SAKTE THE USKE BARE MEIN GHARWALO KO BATA SAKTE THE MUJHE BATA SAKTE THE MERE PAAS TOH YEH OPTION NAHI THA ME APNE AUR JAWAD KE RISHTE KO SHADI KA LABEL DEKE HI BAIZZAT KAR SAKTI THI PHIR BHI MUJHE SHARMSAAR KAR DIYA GAYA KYUN KI MEIN AURAT HOON MERE PAAS INTEKHAAB KA HAQ NAHI HAI
MOIZ :- THIK KEH RAHI HO AAJ 18 SAAL KE BAAD MEIN YEH KEH SAKTA HOON KE TUM THIK KEH RAHI HO
AYESHA :- TUMNE MUJHE JAWAD KE TARF DHAKELA THA APNE JHOOTH KE WAJAH SE MAIN TOH SIRF GUNAAH SE BACHNE KE LIYE YEH GALTI KAR RAHI THI MOHABBAT NAHI REPLACE HO SAKTI MOHABBAT REPLACE HO HI NAHI SAKTI
MOIZ :- SABKUCH BAADME SOCHA MAINE KE JITNI MALAAMAT ME TUMHE KIYA KARTA THA US SE KAI JYADA MAINE APNE AAPKO KIYA MAIN MANTA HOON KE MASHARQI MARD MUNAFIQ HOTA HAI LEKIN USKE SATH SATH BOHOT MAJBOOR HOTA HAI AUR NAJANE KIN KIN TARQOON SE NAJANE KYA KYA KARKE MEIN . . . . LEKIN TASALLI IS BAAT KI HOTI HAI KE PICHE GHAR MEIN JO AURAT HAI WOH USKE DEHLIZ KO PAAMAL NA KAREGI USKA FAKAR AUR GUMAAN HOTA HAI IS CHIZ PAR USKI GHAR KI AURAT PAR USE MAAN NA HO NA TOH SABKUCH WASTE HO JATA HAI PAR YEH MAAN AURAT KO HI RAKHNA HAI AYESHA ( and then melodious song of quid-e-tanhai ) MATT JAOO AYESHA
AYESHA :- KABHI MAINE BHI TUMSE YAHI KAHA THA
MOIZ :- NAHI SUNA GALTI KI MATT DOHRAOO YEH GALTI

and this was the last scene captured moiz-ayesha reunite KAISI LAGAN YEH LAGI KAISI LAGAN YEH LAGI . . . . . . . one of the best drama excellent performances by faysal quraishi and savera nadeem well directed by babarJaved

Edited by Vivirti_Suvian2 - 8 years ago
-RisingAsh- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago

Faisle karna jitna asaan hota hai.. Insaaf karna utna hi mushkl hota hai.. Faisle toh ankh band kar k bhi hojate hain.. Magar insaaf karne k liye aankhein aur kaan dono khule rakhne parte hain..


Saba's Dad from Mohabbat Aag si.
Gujar thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Sometimes days are long sometimes nights.
Posted: 8 years ago

As I was telling you, my life has never been more meaningful than it is now. No more do I feel any void in my life. God created me with fire and I transferred this fire with all its wickedness to man and I continue to do so. And all that I do gives me peace. But I have tricked man and woman into believing that their lives are empty and meaningless. And then what does he not do in order to fill these voids? But you already know that; for after all you are Man.
But in spite of all this I am terrified; so terrified that I cannot sleep at night. I am terrified of those people whom God addressed as "My followers". I know for a fact that they still exist in this world... despite all my efforts and if... if... those followers increase in number, what will happen then? These thoughts then keep me sleepless at night and restless in the day. But then my thoughts turn to all of you; all of "you". So I take a deep breath and close my eyes; at peace and at rest.

With many ill wishes and much hatred,
Yours sincerely,
Iblees.

Man, Woman and I - Translation of Aurat, Mard aur Main

-RisingAsh- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
Kahin woh badshah e takht nasheen
Kahin kaasa liye gada dekha

Yaar ko humne jaa ba jaa dekha
Kabhi zaahir kabhi chupa dekha
Yaar ko humne jaa ba jaa dekha...



Shehr e Zaat OST


I am in love with the lyrics of this OST.. one of the best songs we do have.. so meaningful !
Posted: 8 years ago
Har cheez ka ek waqt mukarrar hota hai, yeh to insaan hai jo jaldbaaz hota hai

Adeels mum, Aik Thi Misaal
Dhani_ thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Aghajaan, baba jaan, bade, ammi, tai ammi sab ke naam le liye hai aap ne madam sidha sidha ye nahi bola ja raha ki aap mujh se mohbbat kar ne lagi hai iss liye mere sath rehna chahti hai.
itni ego our akad bhi acchi nahi hoti doctor saheba ab mohbbat ke ikrar se kam mein kisi baat pe razi nahi hunga - wali (dIyar e dil)😊
Edited by Dhani_ - 8 years ago
clockworknerd thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 8 years ago
"Zindagi mein insaan ko ek aadat (habit) zaroor seekh leni chahiye.. jo cheez haath se nikal jaye, usay bhool janay ki aadat. Ye aadat bauhat si takleefon (pain) se bacha leti hai."

-Amarbail

No wonder this book is still my most realistic read ever. It makes me cry every single time. 😳
Edited by -ZaYalicious- - 8 years ago
Commelina thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
This is a very beautiful thread. I have'nt watched many Pak dramas however these thought provoking lines from various dramas somehow have become dear to me.
Thankyou for quoting them. I loved Saba's lines from MZZB and then some of the lines taken from the novel are so deep.
I wanted to add dialogues from Qaid e Tanhai and Sher e Zaat but they have already been quoted. ZGH also had some of the best lines.
Top