Favorite dialogues/scenes? - Page 6

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

341.9k

Users

91

Likes

2.2k

Frequent Posters

-Sania- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#51
Khabristaan fascinate hone ki jaghan nahin hoti hai Fifi
acha tu phir kis liye hoti hai ????
IBRAT ke liye...
shehr e zaat
-Sania- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#52
Allah ko na batao ke tumhari mushkil kitni badi hai ... mushkil ko batao ke tumhara ALLAH kitna bada hai
shehr e zaat
_BacknForth_ thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#53
I'd be flooding with ZGH dialogues cuz am rewatching that right now πŸ˜†

Some of the dear-diary moments and epilogues are real nice!

Kashaf's:
"Zindagi naamunkinaat ka doosra naam hai. Naamumkinaat, Ittefaqat, waqeyat. Aur inme se kisi par bhi hamara koi ikhtiyaar nahin hota."

***

"Main tumse yeh kaise kahoon ki mujhe tumhari kaunsi baat achchi nahi lagti.
Apne ird gird tumhara ghoomna, tumhari gehri bolti nazren, tumhari har waqt ki tavajjoh, tumhara jaan chidakne wala har andaaz,har baar jab tum mere maa baap keli aitaraman khade ho jaate ho, to mai tumhare samne jhukne lagti hoon.

Aur kya kuch nahi ...jo mujhe tumhare saamne moam nahi karta...
Ek chote se ghar ke is pankhe wale kamre mein tumhari yeh gehri neend,
Mineral water bottle ko doondne ke bajaay nalke ka paani pee lena, hand wash chodke ek saste sabun se haat do lena..."

***

"Zindagi abhi khatam nahin hui
Bas faraq yeh hai ke meri dairy mein Allah se shikwey kum hogaye hain
Main ne un cheezon pay raazi hona seekh liya hai jo woh mujhey deta hai
aur un cheezon ki talash chor di hai jo lahasil hein"

***

"Ek hi tarah ke din, ek hi tarah ki raatein. Kaam kaam kaam. Mehnat mehnat mehnat. Aur phir bhi ye yakeen nahin ke kal ka din aj ke din se behtar hoga."


Edited by _BacknForth_ - 10 years ago
_BacknForth_ thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#54
Zaroon's:
"Main usey casually lena chahun bhi toh nahi le sakta. She's impossible to ignore. Like my center of gravity..."

***

"Kyun maan gyi? Kaise maan gyi? Is tarah koi guarantee koi assurance liye bagair hi maan gyi. Kuch ajeeb hi masla hai mere saath. Woh maan nhi rahi thi toh bechaini thi, ab maan gyi toh beyakeeni hai. This is so beginning to sound like the diary of a mad man."

***

"..aur shayad ye hi zindagi hai. Aapko sab kuch ideal nahin milta."

***

"Lekin ye baat hai, ki meri zindagi mein aani wali ladkiyon mein se sabse ajeebtareen ladki hai. Pehle din se leke aj tak na main usmein koi khami talaash kar saka, na koi kamzori."




_BacknForth_ thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#55
Sidra to Kashaf:
"Chand saalon ke baad ye log yeh log ye university sab bahut peeche reh jaenge. Aur tum, tum bahut aage nikal gyi hogi. Ab tum wahan jao aur sirf woh karo jiske liye tumhe wahan bheja gaya hai."

***

"Zindagi mein kitne log hote hain jo hum par garam chai nahin girne dete?"

***

"Gehrai mein kuch nahi hota. Sirf khauf aur beyakeeni."




_BacknForth_ thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#56
And some funny ones:

Sara: "Toh karo na us sey baat. Kya keh degi woh tumhe zyada se zyada?"
Zaroon: "Usi ka toh andaza nahin hai." πŸ˜†

***

Zaroon:
"Kaafi mardana kism ke naam hain nahin?"


"Dekhne ko milegi na. Hamari chudail awwal pe aayi hai!"

"Nice girl? Woh intehaai shaatir aur chalaak ladki hai." πŸ˜†

"Kaafi hans hans ke chehek chehek ka baatein kar rhi thi tumsey?"

"Dimaag ab bhi usi tarah kharaab hai iska. Balki ab shayad pehle se zyada ho gya hai."

"Gol hai? Chaudavin ka chaand hai chaukor thodi hona hai usey."

"Dad ya aap mein se ek koi aurat hota na, kya behtereen shaadi honi thi aapki." πŸ˜†

***

Kashaf: "Behtar hoga ki aap mera naam is tarah casually na lein." *his expression* πŸ˜†

***

Sir Abrar: "Main toh bhatije ke baap ko bhi bahut acchi tarah jaanta hun."
Zaroon: "Toh batayein na ;)"

***

Zaroon: "Khair am not asking abt your year of birth. Date ki baat kar rha tha."
Kashaf: "Main apna year bata dungi date nhi bataungi."

***

Zaroon: "It's very good to see you after a long time. Bahut khushi hui."
Kashaf: "Mujhe nahin hui."


All from: ZGH
Okay am done! πŸ˜†
Edited by _BacknForth_ - 10 years ago
Posted: 10 years ago
#57

Originally posted by: *Woh Ajnabee*


Thanks! Have I asked you that before or am I experiencing deja vu? πŸ˜†

And that is a good dialogue!


No I dont think you have asked me, must have been someone else.πŸ˜†
Posted: 10 years ago
#58
Zaroon: "Khair am not asking abt your year of birth. Date ki baat kar rha tha."
Kashaf: "Main apna year bata dungi date nhi bataungi."

this was EPIC 🀣
Posted: 10 years ago
#59
Ek chance? Main usse chance pe chance deti rahi. Chote khandaan se hone ka taana sunne ke baad maine socha ke bas baat sirf taane tak rahegi. Gaali sunne ke baad maine socha ke nahi, is se aage to baat barh hi nahi sakti. Aur pehla thappar khane ke baad mujhe laga ke nahi, Sikandar itna sharminda hai ke ab wo aisi harkat kar hi nahi sakta. Phir apna bacha khone ke baad mujhe ehsaas hua ke yeh silsila to pehle taane ke baad se ruka hi nahi. Kharab se kharab hota jaa raha hai. Main billi ko dekh ke aankhein band karne wala kabootar ban gayi thi.
Kiran, Kankar
starstruckk thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#60
Great dialogues, everyone!
I really liked reading the MZZB ones some of you posted...it has been a while since I went back to MZZB.


Top