Favorite dialogues/scenes? - Page 3

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

341.9k

Users

91

Likes

2.2k

Frequent Posters

OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#21

Originally posted by: HeavenlyBliss.

Asher in Humsafar:

Ab agar poori duniya pe iske khilaaf khari ho jaye, main phir bhi Khirad ka saath nahi choroonga.



Tumne kya mujhse race lagayi hai? Agla yehi likhne wali thi main
Posted: 10 years ago
#22

Originally posted by: OnlyHope

"Sifar ki zaroorat har adad ko parti hai kuch banne ke liye. Sifar jis adad ke saath lagey, uski qadr-o-qeemat kayi gunah barha deta hai. To agar apne aap ko sifar samajhti ho tab bhi tum qeemti ho, tab bhi tum bekaar nahi, tab bhi tum har ginti se pehle aaogi, har ginti ka aghaaz tum hi se hoga aur har 9 adad ke baad ek dafa tumhari zaroorat paregi. Aglay mor per janey ke liye tabdeeli jab bhi ayegi tumse ayegi...sifar se ayegi."
-Umera Ahmed, Durre Shahwar


OH MY GOD!
and remember the one in the last episode
Main imtehaan main pass hogayi abba😆
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#23
"Shaadi ke baad biwi shohar ke haath mein pakray tarazoo ke jis palray mein jaa kar baithti hai, woh palra bahut halta hota hai. Doosre palray mein susraal wale hote hain, woh palra bahut bhaari hota hai aur kayi saalon tak bhaari hi rehta hai. Phir ahista ahista sabar, qurbani, bardasht se biwi ka palraa bhaari hone lagta hai, jhukne lagta hai. Pehle susraal walon ke palray ke barabar aata hai, phir ussey bhaari hojata hai. Phir hamesha bhaari hi rehta hai. Fiza mein mualliq nahi hota, woh zameen se laga rehta hai, lekin tawazun badalta hai aur yeh kaam sirf aur sirf aurat ka sabar karta hai, waqt karta hai, qurbaani karti hai."
-Umera Ahmed, Durre Shahwar
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#24
"Jis shakhs ne zindagi mein ek bar mohabbat ki ho aur koi ussey pooche ke yaad ati hai aur woh kahe ke nahi to ussey bara jhootha is duniya mein nahi ho sakta."
-
Arfeen Abbas, Meri Zaat Zarra-e-Benishaan
Posted: 10 years ago
#25

Originally posted by: OnlyHope



Tumne kya mujhse race lagayi hai? Agla yehi likhne wali thi main


Really? I thought this one was underrated.


Btw what was that one from Shehr e Zaat, when she says that a mother never leaves her child's hand and if she does she goes through more pain than the child, so how can we think that Allah can leave us.
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#26
Saba- Main gunahgar hoti aur tab aap mere sath aa ker khare hote to apki mohabbat ka yakeen karleti.
Arfeen- Kaun hai Saba aisa jo kisi gunahgar ke saath khara ho?
Saba- Allah. Allah hai na. Woh gunahgar ki sunta bhi hai, usko bakhshta bhi hai. Usko nawazta bhi hai.

- Meri Zaat Zarra-e-Benishaan
Posted: 10 years ago
#27
Tumne yeh save kiye hue hain kya?!
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#28

Originally posted by: HeavenlyBliss.

Tumne yeh save kiye hue hain kya?!



Yep 🤣 I actually have a running document of my fav drama dialogues <3
Posted: 10 years ago
#29
I just googled some more! 😆
"Allah Ki Mohabbat Ke Siwa, Har Mohabbat Ko Zawal Hai.
Rab Ki Mohabbat Ke Illawa Duniya Ki Koi Mohabbat Sachi Nahi,
Aur Rab Asliyat Dekha Deta Hai. Har Rishte, Har Mohabbat Ki.
Phir Wo Sab Kuch Dekha Ker Adami Se Kehta Hai,
"Ab Bata Tera Mere Siwa Kon Hai?"
Umera Ahmed, Shehr E Zaat
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#30
"Jab ek shadi shuda mard kunwari larki ke saath shadi kar sakta hai to phir ek shadi shuda larki kunware larke ke saath kyun nahi kar sakti?" -Kankar
Edited by OnlyHope - 10 years ago
Top