Favorite dialogues/scenes? - Page 28

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

341.9k

Users

91

Likes

2.2k

Frequent Posters

WabalMunni thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Visit Streak 30 0 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Kiran: mummy aap ki bhi izzat thi. Aap nai karwai nahin.
_____________
Kankar
Posted: 9 years ago
Saba:Kitnay phone kiye main nay aap ko Abbu,kitni minnatain ki k aap aik daffa Pakistan ajayain...Ajayain aur mujhay bacha lain...Aap nahi aye.
Karim:Agaya hun main...Agaya hun beta tujhay bachanay hi aya hun
Saba: Ab bacha hi kia hai jis ko bachanay ki zaroorat ho...Sab kuch tu raakh hogaya hai
Karim:Main Arfeen aur uss k Maan,Baap ko kabhi maaf nahi karunga
Saba:Main un ki aulaad nahi thi Abbu aap ki aulaad thi...Sirf aap ki...Aap nay kisi doosray k haath mai meri zindagi ka faisla kis tarah day diya?
Karim: Bari bhool hui beta,bohat bari ghalti hui un k kehnay mai akar main tujhay gunahgaar samjha...Bari ghalti hui mujh say...
Saba: Nahi Abbu gunahgaar samajh kar ghalti nahi ki...Maaf na kar kay ghalti ki...Maan baap tu aulaad k gunahgaar honay k bawajud unn ka saath nahi chortay,unn k aib chupatay hain...Aap nay mujhay kis tarah chor diya???Woh sab mujhay aag mai phaink rahay thay aur aap nay phainknay diya??Aap tu baap thay meray..
Karim: Tum theek kehti ho beti...Main waqai ab tujh say nazrain mila kar baat karnay k qaabil nahi raha...Theek hai duniya kuch bhi kahay laiken baap honay k naatay aulaad kitnay hi gunaah karain,kitna hi qusoor ho uss ko tu baap hi rehna chahiye..Mujhay her haal mai baap hi rehna chahiye tha aik kamzarf mard nahi ban'na chahiye tha.
Saba; Jo hua, accha hua Abbu...Bohat gumaan thay mujhay aap per,saaray gumaan khatam hogaye...
Karim: Nahi beta aisa mat kehna kiun k bura bhala jesa bhi sahi hoon tu tera baap hi..
Saba: Laiken tab hi aye jab begunaah nazar ayi main.
Karim: Too ab jo chahay keh lai beta Iman ki baat yehi hai k na meray paas teri baaton ka,teray sawalon ka koi jawab hai na lafz hai na himmat hai...Aik iltija hai...Jahan itna kiya beta...Wahan apnay gunahgaar Maan,Baap ko talafi ka aik moqa aur day day.
Saba:Talafi aur kaffaray ki zaroorat nahi hai Abbu...Main khush hun apni zindagi say.
Karim: Khush hai???Too issay zindagi kehti hai?Yeh bhi koi zindagi hai??Iss jahannum ko too zindagi kehti hai?Is mai too kesay khush reh sakti hai?
Saba: Tu phir Jannat kis ko kahun?Uss zindagi ko jis mai aap sab nay mil kar yeh Jahannum tayyar kiya?
Karim: Aray beta meri aqal per patthar par gaye thay...Kuch sujhayi nahi deta tha,un ki baaton mai behak gaya tha main...Sochnay samajhnay ki salahiyat khatam hogayi thi...Bay bus aur majboor hogaya tha,kiya karta?
Saba: Maan,Baap bhi bay bus hosaktay hain kabhi Abbu?
Karim: Accha too mujhay aik baat bata jo hona tha so hogaya...Ab too yeh pahaar jesi zindagi akelay kesay guzaray gi?
Saba: Main akeli nahi hun Abbu,pehlay akeli thi...Ab Allah meray saath hai...Ab main akeli nahi rahi...

Meri Zaat Zarra Benishaan

"Mujhay loagon kay pairon kay neechay say zameen kheenchna nahi ata.Aisa kar bhi loon tu mujhay uss per pair jamana nahi aaye ga.Tum nay teen saal pehlay mujhay gandagi samajh kar jhatak diya tha.Mujhay aaj bhi apna wujood gandagi hi lagta hai.Tum aik acchi zindagi guzaar rahay ho.Guzaaro.Mujhay doosron ki chaadar kheench kar apna wujood dhaanpna nahi aata."

Meri Zaat Zarra Benishaan


---


Moiz: Aakhri baar jab maine tumharay haathon ko thama tha us waqt tum 5 saal ki thi bohat choti si.Chotay chotay say haath thay tumharay, aur ab dekho kitnay baray hogaye hain.Kuch kaam nahi karsakti thi us waqt aur ab sab kuch karsakti ho.
Noor: Yeh sab aap kiun keh rahay hain?
Moiz: Shayad baap kay toar per zindagi mai bohat ghaltian hui mujh say, kotaahiyan hogai hongi...Hojati hain...Maan baap k liye zindagi bohat asaan nahi hoti beta...Bohat saaray mahaazon per aik saath lar rahay hotay hain,jab itni sari mushkilaat hoti hain tu ghalatiyan hojati hain.
Noor; Yeh sab kuch aap ko abhi kiun yaad araha hai?
Moiz: Tum jarahi ho is liye...Maan aulaad k samnay hoti hai 24 ghantay iss hi liye aulaad us ki saari mushkilain, takleefain, jiddo jehad sab dekh rahi hoti hai...Laiken baap 24 ghantay samnay nahi reh sakta, kiun k woh apni aulaad ki baqa k aik liye jang lar raha hota hai jo aulaad nahi dekh pati aur jab jo cheezain nazar nahi ateen unhain misjudge karna asaan hota hai...Main ghalatiyan karsakta hun, kotaahiyan karsakta hun...But always remember...Tumhara baap tum say bohat mohabbat karta hai..Waqt aur doori is mohabbat ko kam nahi kar sakti,kabhi kam nahi karsakti...Bohat takheer say bata raha hun tumhain sab kuch laiken you are my daughter...You are my only daughter...Baap ka rishta tumharay wujood say qaim hua, Farhan tu bohat baad mai aya, uss nay tumhari jagah kabhi nahi li...Kabhi nahi lay sakta...

Qaid-e-Tanhai


Moiz: Dukh mujhay is cheez ka nahi tha kay tum Jawwad say mujhay replace kar rahi ho, mujhay is baat ka dard tha Aisha k tum uss say mohabbat karnay lagi ho?Mera aur tumhara ta'alluq itna kaccha,itna kamzor tu nahi tha
Aisha: Mohabbat ki baat nahi thi Moiz...Yeh zaroorat thi...Woh hamdardi karta tha meray saath...Khayal rakhta tha mera aur Noor ka...Uss ki zaban mai meray liye woh mithaas thi jo tumharay aur tumharay ghar walon kay paas nahi thi...Her cheez uss hi kay saath share ki thi main nay unn chaar saalon mai...Noor kay pehlay qadam say lay kar uss kay pehlay daant tak...Main kesay uss ki taraf na jati...
Moiz: Theek keh rahi ho tum
Aisha: Main tum ko baar baar wapis anay ka kehti rahi tum jhoot boltay rahay...Iss saal...Iss saal...Iss saal...Mujhay yaqeen tha tum kabhi nahi aao gay...Aur Aneela kay tumhari zindagi mai anay kay baad tu kabhi bhi nahi...
Moiz: Aneela kuch bhi nahi thi...Woh meray liye koi maani koi ahmiyat nahi rakhti thi...Mujhay mohabbat nahi thi uss say...Kabhi nahi hui...
Aisha: Ahmiyat rakhti thi Moiz woh tumharay liye wesi hi ahmiyat rakhti thi jesi jawad meray liye...Woh tumhari zindagi kay uss khila ko purr kar rahi thi jo meray na honay say tha...Laiken farq yeh tha tum uss kay baray mai bata saktay thay...Uss ko girl friend bana kar uss say mil saktay thay...Apni beewi aur apnay ghar walon kay uss kay baray mai bata saktay thay...Koi tumhara kuch nahi bigaar sakta tha kiun kay tum mard thay...Meray paas yeh Option nahi tha...Main Jawwad aur apnay rishtay ko sirf Shaadi kay label kay saath hi baizzat bana sakti thi...Aur main nay yehi karnay ki koshish ki...Laiken mujhay phir bhi sangsaar kiya gaya...Kiun kay main aurat hun...Intikhaab mera haq nahi hai...
Moiz: Tum theek keh rahi ho...Yeh jumla 18 saal pehlay nahi keh sakta tha tumhain laiken aaj keh raha hoon...
Aisha: Mujhay Jawwad ki taraf tum nay dhakela...Apnay jhoot ki wajah say...Main tu sirf aik gunaah say bachna chahti thi...Apni ghalti ko gunaah say bachanay ki koshish kar rahi thi...Mohabbat ki Replacement kahan hui thi...Mohabbat ki Replacement kahan hoti hai.

Qaid-e-Tanhai


Moiz: Main manta hoon kay mashriqi mard munafiq hota hai, laiken us kay saath saath bohat majboor hota hai woh Aisha.Rizq k liye khuwar hona uss k muqaddar mai hota hai.Najanay kin kin tareeqon say kia kia kar kay...Laiken bus yaqeen aur tasalli is baat ki hoti hai k peechay ghar mai jo aurat hai woh iss ki dehleez ko pamaal nahi karay gi,uss ka fakhar aur gumaan hota hai is cheez per.Uss k ghar ki aurat per usay maan na ho na tu sab kuch rait hojata hai, aur yeh maan aurat ko hi rakhna hai Aisha.

Qaid-e-Tanhai



LazY_SouL thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Khuda k han hadsaat nahi hotay Maha!! Farishton ke han bhi nahi hotay... Jiss trah ghalati sirf insan ke hissay me aayi hai isi trah hadsay bhi sirf insan ke hissay me hi aaye hain.

Tum Aakhri Jazeera Ho
Edited by Husnulmaab - 9 years ago
Usman. thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
Loud Silences -
Usman from his real life πŸ˜†
Usman. thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
Amma: Nasreen itnay saray bachay paida kar liye phir bhi tujhe akal na aayi.
Nasreen: bus phir amma is baar tum dua karo k bachay ki jagah aqal paida ho jaye πŸ˜†

Serial: Mohabbat jaye bhar mein

It may not seem as funny when its written.. But the way Hina Dilpazir said this dialogue.. It was hilarious.
-RisingAsh- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
In Mehram...
Hamza : jaanta hun k hum dono ek doosre k liye na mehram hain, magar hamara dukh toh na mehram nahi hai na...
-RisingAsh- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
Yeah i did.. As a whole 😳
Usman. thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: RisingAsh

Yeah i did.. As a whole 😳



wahh. I did not even complete it πŸ˜†
-RisingAsh- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
Neither i did πŸ˜› i had skipped some epis.. But i liked it as a whole as i said.. Didn't get wht was happening in the mid πŸ˜†
But mera record hai.. Mene aaj tak koi drama POORA nahi dekha 😎 ... Bht khush naseeb hote hn wo shows jinhe main poora dekhti hun :P
Usman. thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: RisingAsh

Neither i did πŸ˜› i had skipped some epis.. But i liked it as a whole as i said.. Didn't get wht was happening in the mid πŸ˜†

But mera record hai.. Mene aaj tak koi drama POORA nahi dekha 😎 ... Bht khush naseeb hote hn wo shows jinhe main poora dekhti hun :P



LOL.. what a record..
Name some khush naseeb shows which you've watched πŸ˜†
Top