Favorite dialogues/scenes? - Page 27

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

341.9k

Users

91

Likes

2.2k

Frequent Posters

OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
^ I love the one from PeK!
Posted: 9 years ago
Kiran: Kiun propose kiya hai tum nay mujhay??Kiun taras kha rahay ho tum mujh pay?
Adnan: Taras??Tum samajhti ho main tum per taras kha kay shaadi karna chahta hun...Tum kitni bewaqoof ho Kiran...Main kiun taras khaunga tum pay??
Kiran: Main janti hoon yeh hamdardi aur taras kay ilawa kuch nahi hai...Tum saari zindagi meray liye yehi kartay rahay ho...Tum aakhir kiya kiya karo gay meray liye...???
Adnan: Tum hamdardi aur mohabbat mai farq kiun nahi karsakti???Main tumhain samjhanay mai nakaam raha hoon ya tum ziada bewaqoof ho?
Kiran: Mohabbat???Tum mujh say mohabbat kartay ho?
Adnan: Hamesha...Hamesha say...
Kiran: Laiken tum nay kabhi nahi kaha
Adnan: Kiya kehta main?Agar tumhain kabhi meri mohabbat mehsoos nahi hui,tum ussay pehchaan nahi payi tu main kiya ta'arruf karwata uss ka?
Kiran: Main tumhari baat samajh nahi parahi.
Adnan: Tumhain sochna chahiye tha na k main agar tumhari aik call per din ya raat kay kisi bhi pehar tumharay ghar ajata hun,tumhari maangi hui cheez ko lanay k liye saat samundar paar janay k liye tayyar rahta hun...Tumhari khushi say khush aur tumhari takleef say pareshaan hota hoon tu yeh sirf hamdardi tu nahi hosakti..
Kiran: Tumhain phir bhi batana chahiye tha!Kehna chahiye tha.
Adnan: Kiya kehta??Kiya batata...Meray halaat hi aisay nahi thay k koi waada leta,deta...
Kiran: Kaun say halaat?
Adnan: Tum jaanti ho...Aapa ki rukhsati nahi horahi thi...Karobaar dhang ka nahi tha mera...Aur main chaand ki tamanna karta?
Kiran: Ab bhi tu chaand ki hi tamanna kar rahay ho...
Adnan: Haan!Kar raha hun..
Kiran: Ab chaand mai daagh agaya,shayad iss liye
Adnan: Main nahi chahta kay chaand aik baar phir meri nazron say ojhal hojaye...Tum aaj bhi meray liye wohi Kiran ho...Tumhari shaadi...Tumhari talaq...Mujhay kisi cheez say farq nahi para...Na mujhay na tumharay liye meri mohabbat ko.

Kankar

"Nahi Mummy aap nahi samjahti aap nahi samajh sakteen.Kiun k aap nay apni zindagi "Mansoor" kay saath guzari hai "Haider" kay saath nahi.Aap Working Woman nahi hain aik House Wife rahi hain aap nay bohat comfortable zindagi guzaari hai pehlay Nana k ghar phir Papa k saath aap ko kia pata aik Working Woman ki zindagi kitni mushkil hoti hai."
"Tumharay nazdeek aik working woman kiya hai?Woh aurat jo 9 to 5 job karti hai.Haftay mai aik baar us ko 1 chutti milti hai maheenay k aakhir mai uss ko Pay mil jati hai,Bonus milta hai aur kuch extra chuttiyan mil jati hain?Yehi hai na Working woman?Aur aik house wife woh hoti hai jo ghar mai takht per beth kar hukm chalati hai nokaron per.Haina?Main tumhain bataoon aik house wife kiya hoti hai beta?Aik house wife 24 ghantay kaam karti hai apna ghar dekhti hai bacchay paalti hai miyaan ka khayal rakhti hai aur susraal ko khush rakhti hai saara din mehnat karti rehti hai laiken us ko is ki ujrat nahi milti hai.Aik unpaid worker hoti hai aur us ki saari mehnat koi notice bhi nahi karta aur uss ko apnay liye aik minute nahi milta.Aur tum samajhti ho aik house wife ki zindagi bohat asaan hoti hai?"

Durre Shahwar
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
The one from Kankar was one of my fav scenes of the two <3 Moved me so much..
Freebird_23 thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Rudaba : mahobbat ese nahi hoti..
Bashar : yeh mahobatt to esehi hogi rudaba.. Yeh dunya ki pehli mahobat hogi jo nafrat ki kokh se janam legi. Or woh tum krogi mujse.. Main tumse karwake rahunga..

Bashar momin
Raindrops. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Buht ziyada muhabbat ka yahi masla hai k us men buht zeyada naftrat honey ka khatra hota hai
Khalil ur rehman Qamar
-RisingAsh- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
I love sm dialogues in Shehr e Zaat.. Like
Falak says
'MEhenge kapde pehen k, cheechron mein phirne wale log hamen jaanwar nazar ate hn'
-RisingAsh- thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
N one more frm Hamsafar..

Asher
MAIN tumhe KHUD maaf kar rha hun

Khirad
Aapki is AALAZARFI ka shukriya..

I found tht funny as well.. Tht aalazarfi n all.. :P😆
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
Hinna, nope. Hira watches it and she loves it.
Posted: 9 years ago
It was good lekin ab story ki khichdi pak gayi hai 🤣
Raindrops. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Aansoo bohat kamal ki cheez hotay hain.Dekhnay mai bohat shaffaf nazar atay hain halanke pata nahi kitna mail,kitna khoat,kitna pachtawa yeh apnay saath baha kay lay jarahay hotay hain.
Bus Aik Daagh-e-Nidamat
Top