Favorite dialogues/scenes? - Page 26

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

341.9k

Users

91

Likes

2.2k

Frequent Posters

Posted: 9 years ago
LOL main bhi chori karne lagi hoon :P
Usman. thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
^LOL.. Go ahead.. enjoy chori ka maal 😆😆
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
Hinna, I liked that status of yours on FB...didn't know you got this from here 🤣
Posted: 9 years ago
Baitiyan bari naimat hoti hain ghar ki ronaq hoti hain..Maan baap ka sukh chain unn hi kay dum say hota hai...Maan Baap per bojh nahi hoteen...Chiryon ki tarah dana chugnay ati hain Maan Baap kay ghar mai...Aangan mai phudakti phirti hain,shor machati hain...Phir urr jati hain...Bus itna sa paraao hota hai unn ka Maan Baap kay ghar main.

Durre Shehwaar
Falak: Main uss say mohabat karti hoon
Hamza: Nahi jo tum kar rahi ho, woh parastish hai,mohabbat nahi
Falak: Tum apni mohabbat ko kiya kaho gay?Woh parastish nahi hai kiya?Tum meri aik call per din aur raat kay kisi bhi waqt bhagay atay ho...Meri aik farmaish per saari saari raat khari ho kay painting mukammal kartay ho...Jo main nay kisi aur ko deni hai...Main tumhain bura bhala kehti hoon,tumhain ghussa nahi ata..Zaleel karti hun, tum bura nahi manatay. tum parastish nahi kartay kiya??
Hamza: Nahi...Main tumhari parastish nahi karta, tumharay liye acchay buray ki tameez khatam nahi hui meray andar...Main tumharay liye koi gunaah nahi kar sakta...Laiken main tum say mohabbat phir bhi karta hoon...Tumharay liye isaar kar sakta hoon.Qurbani kar sakta hun...Tumhain kisi takleef say bachanay k liye apnay wujood ko dhaal bana sakta hoon aur mohabbat yeh hi karti hai...Tum Salman ko perfect samajh kar uss kay ishq mai mubtila ho... Main tumhain imperfect maan kay bhi tum say piyar karta hoon yeh farq hai meri aur tumhari mohabbat mai.

Shehrezaat

Badshahat kisi ko bhi pagal kar sakti hai Power aur Paisa Insaan kay khoon ka rang badlay na badlay laiken uss ko paani zaroor kardeti hai.

Shehrezaat

Nasira: Dairh laakh kay tu Baji nay jootay liye hain...
Imam Deen: Itnay ziada jootay lekar Baji nay kia karnay hain..
Nasira: Itnay ziada thori hain...7,8 jootay hain saaray...10,10,15,15 hazaar ka aik joota hai.
Imam Deen: Haan Ji Allah nay rizq diya hua hai pehan saktay hain...Ghareeb ki tu bacchi ki shaadi hojati hai 15,000 mai..
Nasira: Abhi tu Baji nay aur kharidnay hain Jootay aur woh Salman Sahab ki taraf say bhi jo Shaadi kay kapron kay saath joota hai na woh 40,000 ka hai.
Imam Deen: Sona laga hai jootay per kiya?
Nasira: Lay too hamesha bewaqoofon wali baat hi karna sona laga hota tu 40,000 ka hota...Baray designer say banwaya hai unhone.
Imam Deen: Designer kiya..??
Nasira: Too rehnay dai tujhay samajh nahi aye gi.
Imam Deen: Roaz yeh dhair shopperon ka utha kar lata hoon main Begum Saahab ka lagta hai poora Karachi kharidna hai unhone Falak Baji ki shaadi kay liye.
Nasira: Rab sohnay ki shaanain hain meray...Jissay day ussay khula hi day deta hai...Aur jissay na day us per 2 waqt ki roti bhi tang kardeta hai.
Imam Deen: Per Molvi Sahab kehtay hain hisaab kitaab hona hai her cheez ka..
Nasira: Chor Molvi Sahab ko...Koi hisaab kitaab nahi hota kisi cheez ka...Hisaab kitaab hona hota tu ameeron ko pata hota itni bari degriyaan letay hain woh itni bari bari universityion mai jatay hain...Woh bahar say parhtay hain woh Molvi Sahab na bahar gaye na University gaye na bari bari degriyaan leen ghar beth kar hi keh detay hain hisaab hota hai her cheez ka...
Imam Deen: Molvi Sahab nahi yeh kehtay Nasira Allah ki kitaab kehti hai...Too Allah ki kitaab ko jhoota keh rahi hai?
Nasira: Allah na karay meri jurrat hai yeh k Allah ki kitaab ko jhoota kahun.
Imam Deen: Allah ki kitaab kehti hai kay hisaab kitaab dena parta hai dena paray ga.
Nasira: Woh tu theek hai Imam Deen per duniya mai tu saaray hisaab kitaab ghareebon ko hi denay partay hain...
Imam Deen: Haan tu accha hai na hamaray saray hisaab kitaab idher Ameeron kay agli duniya mai.

Shehrezaat

Gunaah ka bojh kiya hota hai aur aadmi apnay gunaah kay bojh ko kiss tarah qayaamat kay din apni pusht say utaar phainkna chahay ga kiss tarah uss say door bhaagna chahay ga kiss tarah doosray kay kandhay per daal dena chahay ga,yeh uss ki samajh mai Haram Shareef mai pohanch kar aya tha.Wahan kharay ho kar woh apnay paas mojood aur anay wali saari zindagi ki daulat kay aiwaz bhi kisi ko woh gunaah baichna chahta tu koi yeh tijarat na karta.Kaash aadmi kisi maal kay aiwaz apnay gunaah baich sakta.Kisi ujrat kay taur per doosron ki naikiyaan mangnay ka haq rakhta.Laakhon loagon kay iss hujoom mai 2 sufaid chaadarain orhay,kaun janta tha kay Salaar Sikandar kaun tha?Uss ka I.Q Level kiya tha.Kissay parwah thi?Uss kay paas kaun kaunsi aur kahan ki Degree thi.Kissay hosh tha?Uss nay zindagi kay Maidaan mai kitnay taleemi record toray aur banaye thay.Kissay khabar thi woh apnay zehan kay kaun say maidaan taskheer karnay wala tha.Kaun rashk karnay wala tha?Woh wahan uss hujoom mai thokar kha kar girta,Bhagdar mai ronda jata.Uss kay ooper say guzarnay wali khalqat mai say koi bhi yeh nahin sochta kay unhone kaisay dimaagh ko kho diya hai.Kiss I.Q Level kay nayaab aadmi ko kis tarah khatam kar diya tha.Ussay duniya mai apni auqaat,apni ahmiyat ka pata chal gaya tha.Agar kuch mughaalita reh bhi gaya tha tu ab khatam hogaya tha.Agar kuch shubah baaqi tha,tu ab door hogaya tha.Fakhar,takabbur,rashk,ana,khudpasandi,khud sataayishi kay her bachay hue tukray ko nichor kar uss nay andar say phaink diya tha.Woh in hi alaaishon ko door karwanay kay liye wahan aya tha.

Pir-e-Kamil(S.A.W)


OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
^ All those give me goose bumps.
ABBY_JERAN thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 9
Posted: 9 years ago
even though all go gaga over zaroon kashaf but to me ehtesham n sania aka adeel sanam s was electric...their each n every scene in shukk from the very first scene to the very last scn...the hatred awkwardness in initial scns then the office scns as colleagues...then the scns when they r mking sure the shukk doesnt affect their families then how they finally fall for each other...each n every dialogue between ehteshamn sania was so damn beautiful i dont hv words
Posted: 9 years ago
Zindagi mai sab say mushkil kaam move on karna hota hai aur sab say zaroori kaam bhi yehi hota hai...Yeh nahi hota kay jinn say hum mohabbat kartay hain, unn say mohabbat karna chor detay hain laiken yeh zaroor hai kay hum unhain yaad rakhtay hue bhi zindagi guzarnay kay qaabil hojatay hain...Kuch doosray loagon ki zindagi mai khushi kay lamhon ka baa'is bhi bun jatay hain.

Shehrezaat
"Bahar say anay wali gandagi andar nahi asaki...Iss baar koi aaloodgi andar aa hi nahi sakti.Iss baar "Imaan" aur "Umeed" aik saath kharay hain."Uss nay muskuratay hue socha Imaan barq raftaari say Kitchen ki doosri khirkiyan band kar raha tha.Uss nay palat kar ussay dekha aur waheen khari rahi.
"Mujhay yeh mosam pasand nahi hai, itni matti, her waqt ka toofan...Ab phir Subha sara ghar saaf karna paray ga..."
"Saara din zaaya karay ga Saabir...Meri samajh mai nahi araha kay yeh khirkiyan kesay khuli rehnay deen...Pata nahi kis kis kamri ki khuli hongi.Aur pata nahi kahan kahan say matti andar arahi hogi."Woh ab boltay hue Kitchen say nikal raha tha, woh muskura rahi thi.Uss kay peechay Kitchen say nikaltay hue uss nay socha.
"Imaan kay sheeshay per kitni hi gard aur matti kiun na ho, ussay saaf kiya jasakta hai.Bus sirf aik haath phairna parta hai aur sheeshay mai say aks nazar ana shuroo hojata hai aur phir her haath kay saath aks pehlay say ziada saaf aur chamakdaar hota jata hai...Aur woh haath uss mohabbat ka hota hai jo Imaan say hoti hai."

Imaan,Umeed aur Mohabbat

"Kiya Umeed ki aankhon mai aansoo asaktay hain?"Aankhain uss hi tarah band kiye us nay maddham awaz mai poocha.
"Imaan kay liye asaktay hain."Uss nay bhi uss hi tarah sargoshi ki.
"Aur "Mohabbat" kay liye?"Umeed nay ussay kehtay suna.
"Ab Nahi..."

Imaan,Umeed aur Mohabbat


Posted: 9 years ago
Hajra: Shaadi ko acchi tareeqay say karna sunnat hoti hai...Laiken itni fazool kharchi karna asraaf hai aur asraaf Allah pasand nahi karta.
Mehrunnisa: Amma kiya asraaf kar rahay hain?Aap ko tu pata hi nahi loag aaj kal shadiyon per kitna kharch kardetay hain...Hamari tu phir bhi aik hi beti hai...Uss ki shaadi per kharch nahi karna tu kiss per karna hai...Koi armaan pooray na karain apnay???
Hajra: Armaan pooray karnay kay aur bhi bohat say tareeqay hotay hain chaar hazaar loagon ko bulwa kar naach gana karwa kar aur rizq zaaya kar kay kaun say armaan pooray hotay hain Shaitaan kay kaam hain yeh saaray...Tum apnay aas paas dekho kitni ghurbat hogai, loag 2 waqt ki roti aur kapron k liye taras rahay hain tu phir hum ko zaib deta hai kay hum Allah ki di hui naimaton ko iss tarah zaaya karain?
Mehrunnisa: Amma bus ab aap meri beti ki shaadi per badshagooni ki baatain na karain...
Hajra: Badshagooni ki baatain nahi kar rahi...Samjha rahi hoon tujhay...Yeh jo rizq hai na iss ka hisaab dena parta hai Allah ko.
Mehrunnisa: Accha day doon gi Hisaab...Main Hisaab mai bari acchi hoon Amman shuroo say..
Hajra: Toba kiya kar Mehrunnisa toba...Bara bol mat nikala kar moonh say...Allah kay hisaab say darna chahiye...Hamaray tu paighambar Hazrat Mohammad(S.A.W.W) khof khatay thay...Sakht hisaab say tu main aur too kiya shay hain kay akartay phirain sunnat
kay tareeqay say chal..
Mehrunnisa: Amma aap ko pata hai kitna sadqa khairaat karti hoon main.
Hajra: Sadqa khairaat karnay say rizq barbaad karnay ka license nahi milta Mehrunnisa...Bara sakht azaab hai roopiye paisay ko zaaya karnay walay k liye...Too dekh teray baap aur main nay teri shaadi kitnay acchay tareeqay say ki thi...Laiken pesay ko ujaara nahi tha...100 ki cheez per laakh rupiya nahi lagaya tha.
Mehrunnisa: Amma hamara uthna bethna oonchay loagon mai hai.
Hajira: Oonchay loag woh hotay hain jin kay amal oonchay hotay hain...Bari gariyon aur baray banglon say koi ooncha thori banta hai...Aur aisay loagon kay saath uthnay bethnay ka yeh matlab thori hai kay Insaan apna amal aur kirdaar badal lay.

Shehrezaat
Gujar thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 9 years ago
"Boht mohobat ke saath rakhoonga, mohobat se, aitaram se, barabari ka darja de ke, insaan samajh ke"
Posted: 9 years ago
"Hum sab apni zindagi kay kisi na kisi marhalay per "Zamana-e-Jahiliyat say zaroor guzartay hain,baaz guzar jatay hain,baaz saari zindagi iss zamanay mai guzaar detay hain.App iss mai say guzar chukay hain.Aap ka pachtaawa bata raha hai kay aap guzar chukay hain.Main aap ko pachtaaway say rokoon ga na toba aur dua say,aap per Farz hai kay aap apni saari zindagi yeh karain,magar iss kay saath saath yeh shukar bhi ada karain kay aap Nafs ki tamam beemariyon say chutkaara pa chukay hain."

Pir-e-Kamil(S.A.W)
"Tumhain Allah kay Rasool Hazrat Mohammad (S.A.W.W) ki Hadees yaad hai na k jis shakhs ki teen baitiyaan ho aur won unn ki acchi parwarish kar kay biyaah day tu qayamat kay din woh meray iss tarah qareeb hoga jesay haath ki 2 ungliyaan."
Zia nay bari risaaniyat say unhain samjhanay ki koshish ki.Magar Nafeesa nay behad talkhi say un ki baat kaat di.
"Yeh Duniya hai Zia Sahab!Yahan loag Quran haath mai lekar maathay aur seenay say chahay lagatay ho.Hazoor(S.A.W.W) ka naam sun'nay per ungliyan honton say laga kar chahay choomtay ho,magar kartay wohi hain jo in ki apni marzi aur khuwahish hoti hai.Kis nay nahi suni hogi yeh Hadees.Kis nay nahi parha hoga Quran.Yeh Musalmanon ka mulk hai Zia Sahab!Yahan loag Quran per kat martay hain magar Quran kay mutaabiq jeeta koi nahi."

Man-o-Salwa


Top