Favorite dialogues/scenes? - Page 21

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

341.9k

Users

91

Likes

2.2k

Frequent Posters

Night_Rider thumbnail
Posted: 10 years ago
this is really an awesome thread ๐Ÿ˜Š
some very deep , meaningful and fascinating dialogues r already posted here
thrs one dialogue whch i realy liked , actualy its my fav one ๐Ÿ˜Š

Umer jhahngir :
Agli bar mai aleeza ko "Joy" dunga aur uss keh baad "Eternity" ..


(Amarbail , Umera Ahmed)

this dialogue is so simple yet so fascinating and it shows the whole essence of the novel
simply luv it ๐Ÿ˜Š


Posted: 10 years ago
Rukhsar: Adnan main ja rahi hoon is liye Janay say pehlay main bus yeh kehna chahti hoon kay agar koi mujh say ghalti hui hai tu maaf kardo
Adnan: Khooni rishton ki yehi majboori hoti hai Aapa unhain aik doosray ko maaf karna hi hota hai.Mujhay aap say sirf aik shikayat hai aap nay meray aur Kiran k rishtay mai bohat saari dararain daal di jin ko bhartay bhartay meri zindagi ka bohat sara waqt bhi lag jaye ga
Rukhsar: Main janti hoon main Janay say pehlay Kiran say maafi maangun gi
Adnan: Aapa zindagi jitni takleef deh aap k liye thi na utni meray liye aur Kiran k liye bhi thi
Rukhsar: Theek kehtay ho tum,main bari behan thi main manti hun bohat si jaghon per apna bara pan nahi dikhaya per kiya karti...Yeh jo zehar duniya walon say pi kar atay haina hum woh kab apnay rishton ko marnay k liye istimal jatay hain is baat ka hamain ahsaas bhi nahi hota
Adnan:Aapa Kiran aur main aap k hamdard thay aap k dushman nahi thay aur na hi tamashai thay hum aur na hi hum donon ap ko pohanchnay wali kisi bhi takleef k zimmedar thay
Rukhsar:Baaz daffa Insaan dost,dushman,hamdard,tamashayi in mai farq nahi kar pata.
Adnan:Aapa mujhay aap say bus itni hi shikayat thi aur Kiran ko bhi mujh say bus itni hi shikayat hai.

Kankar
Posted: 10 years ago
Duniya aap say aap ki worth maangti hai,woh aap say poochti hai k aap ussay kiya day saktay hain.Uss kay baad woh aap ki jagah aur ahmiyat ka ta'aiyyun karti hai.Yeh tay karti hai k ussay aap ko kitni izzat deni hai.Agar duniya ko yeh ahsaas hojaye kay aap uss kay liye kuch nahi kar saktay tu woh aap ko aap ki saari khoobiyon samait utha kar bahar phaink deti hai.

Thora Sa Asmaan
Loagon ki fitrat bohat ajeeb hoti hai.Woh apnay irdgird mojood doosray loagon ko sirf unn kay masaail say aagah kartay hain.Kisi hal mai madadgaar nahi bantay.Dus loag agar kisi shakhs ko uss kay dus masaail say aagah karnay k bajaye mil kar sirf 2 masaail ka hal paish kardain tu uss shakhs k liye asaaniyon ka darwaza agar mukammal toar per na sahi magar khul zaroor jata hai.

Thora Sa Aasman
Usman. thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
^hina: those dialogues from Kankar were really good. Both Hassan Niazi and Uroosa acted very well in that scene.
Anyway, here is one from latest episode from Pehchan:
Kukoo: Hr behooda cheez funny hi hoti hai
Mrs Khan: isi liye aaj kal mujhe mera husband bohat funny lagta hai..๐Ÿ˜†
Usman. thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
Another one from Pehchan:
Mansoor: Jis rastay pe tum chal rahi ho, us rastay pe chalnay wali aurat ko hamare masharay mei jis naam se pukara jata hai, janti ho?
Laila:.Buhat achi tarah janti hun, magar ap jaise mard ko kis naam se pukara jaye yeh nahi janti!!
Posted: 10 years ago
Nah the other dialogue was better
--Iqra-- thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
I haven't been here in so long..! As soon as my mouse starts working again I'm stalking. ๐Ÿ˜†
Posted: 10 years ago
Agar hamain Khaaliq kay ahsaanon ko yaad rakhnay ki aadat na ho tu hum kisi makhlooq ka ahsaan bhi yaad rakhnay ki aadat nahi seekh saktay.

Pir-e-Kamil(S.A.W)
ruffledfeathers thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Daam had some really nice dialogues. Love the exchanges between Zara and Maliha and also Zara-Junaid last scene - it was so intense!

Here are some dialogues from Pyaray Afzal:

1. Zindagi mein e saahi hota hai - kabhi khat nahi milti, kabhi khat likhnewali nahi milti.

2. Agar mujhsey pyar karta to poochta "mujhsey shaadi karogi?" yeh na poochta ki "mujhsey mangni karogi?".

Shehr-e-Zaat had some lovely dialogues too, which you guys have already mentioned.

Farhat's Mataa-e-Jaan is also one of my favourites:

1. Is waqt mera dil yeh kehraha hai ki yeh larki jis say mein bohot mohabbat karta hoon woh meri hai, aur hamesha hamesha kay liye meri hai. Is kay saath mera ristha mazboot hai aur ussay mujhe koi juda nahin kar sakta.

2. Main tab tak zinda hoon Hani, jab tak tumhare dil main mojud hoon, Jis roz tumharey dil se nikal jaon, us roz samajhna k Aabi mar gaya.

Thanks for the lovely post, starstuckk!
rainbowcolors thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
right now I am rewatching old ptv dramas so one from tanhaiyyan;
sania to qabacha apni shakal tu dekho bun kabab jaisii
Top