Favorite dialogues/scenes? - Page 13

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

341.9k

Users

91

Likes

2.2k

Frequent Posters

OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
"Tum nay Bible ko kis zaban mein parha?"
"English mein."
"Aur Qur'an ko?"
"Arabic mein."
"Tum ne Bible ko kis umar mein parha?"
"19 saal ki umar mein."
"Aur Qur'an ko?"
"10 saal ki umar mein."

Woh chand lamhe khamoshi se us ka chehra dekhti rahi...

"Tumne Bible ko 19 saal ki umar mein sukoon ke liye us zaban mein parha, jise tum jante ho aur tumhein laga ke tumhein sukoon mil gaya hai.Tumne Qur'an Pak ko 10 saal ki umar mein sirf zaroorat ke liye us zaban mein parha jise tum jante tak nahi aur tumhein laga ke tumhein kuch nahi mila."

-Haasil [Umera Ahmed]
I will never get over the above bit from this book.
Posted: 10 years ago
Omg Haasil <3
remember that line it went something like

Jin logon ko is duniya mein sab kuch mila hai wo qayamat ke din un logon ko dekheinge jin ko kuch bhi nahi mila aur dhaare maar maar ke royeinge ke kaash humein bhi kuch nahi mila hota
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
Yeah. I love this book <3
starstruckk thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Jawad: Hum has toh lethe hain bohat saare logon ke saath...lekin rotha insaan sirf aik ke saamne
- Malaal (by Umera Ahmed)


Posted: 10 years ago
Jo tum se mohabbat nahi karte uske liye Hyderabad chor ke jaoge, aur jo tum se mohabbat karte hain unko Hyderabad mein hi chor kar jaoge.
Pyare Afzal
Posted: 10 years ago
Ahsaanon K Badlay Tab Chukaye Jatay Hain Jab Taluq Torna Ho. Jahan Muhabbat Ho Wahan Ahsaan Kia Jata Hai Aur Ahsaan Rekha Jata Hai.
-Man O Salwa
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago

Originally posted by: starstruckk

Jawad: Hum has toh lethe hain bohat saare logon ke saath...lekin rotha insaan sirf aik ke saamne

- Malaal (by Umera Ahmed)


This is true..
starstruckk thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Zinia (her thoughts):

Zindagi main baaz dafa yeh nahin pata chalta ke hum kissi cheez ko pah kar khush the yeh phir kho kar?... jaise mujhe yeh nahin pata chala ke jo main chahti thi, jab woh mere saath hua toh phir bhi mujhe saari dunia khaali kyun lag rahi hai?.. yeh jo khaalipan mere andar aagaya hai, uski waja kya hai? kya chobees ghante uske aane wale messages ka aik dum se ghayab hojana? ya phir mere msgs ka jawaab na dena? ya calls ke uss silsiley ka khatam ho jana jo mujhe yeh yaad dilata tha ke kissi ki zindagi mere wujood ke beghair incomplete hai. Jo bhi hai, main ussay miss kar rahi hoon, aur uski fazool aur ahmakana baaton ko ..uske saath bemaqsad footpath par chalne ko...aur un tamam pamper karne waali cheezon ko, jo uss se pehle kissi ne bhi mere liye nahin ki thi.

Lekin achi baat yeh thi, ke usse pehle se inkaar kar ke main kamzkam apni nazaron mein kissi had tak kuch izzat-e-nafs rakhne mein qabil hogayi. Woh pehle inkaar kardeta.. toh shayad dobara aaine ke saamne kara hojana mushkil hojata mere liye. Jo bhi tha..mujhe uski aadat hogayi thi...aur shayad, mohabbat bhi.

- Malaal (by Umera Ahmed)
Usman. thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
Insaano ko aag ugaltay dekh ker pankhay k aag ugalnay say ab koe farq nahi perta
Siffat - Ek nazar meri taraf
Usman. thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
okay. this is not a dialogue but i love these lines from 'meri beti' ost
'zindagi yun tujhe kabhi socha nahi..
jee liya us tarhan jaisa chaaha nahi'


Top