"Hum larkiyan chahay parhi likhi houn ya jaahil, chahay ameer houn ya gareeb andar se sab aik jesi hoti hain. Hum khwaabo'n ki dunya mein rehti hain aur khud se milne wala koi bhi aisa shaks jis mein hamay apnay khwabo'n ki taabeer nazar aaye..usper apna aap nichawar kar deti hain. Hamay aisa lagta hai ke university mein saath parhne wala class fellow jo hum se bauhat khuloos se milta hai.. hamaray lectures miss hojaein tou apnay notes paish karne wala zindagi bhar hamara saath nibhaye ga. Agar job karne niklein tou apnay kisi handsome colleague mein hamay apnay Mr. Right ki jhalak nazar anay lagti hai. Hum kyun in mardo'n ke jaal mein phanste hain? Kyun inke andaazo'n ko jo ye hamaray baray mein lagatay hain inko sahi sabit karte hain? Aur jab ye tafreehan hamaray saath waqt pass karte hain, hum un per dil o jaan luta dete hain. Us waqt ye hum per dil hi dil mein kitna haste honge, hamari bewaqoofi per kitna mehfooz hotay honge.
Kaash hum larkiyan jaagte mein khwaab dekhna chor dein. Sach aur jhoot mein tameez karni aajaye. Mohabbat aur flirt mein hum farq kar sakein. Kaash koi hamay kabhi tafree'h ki cheez na samajh sakay. Kya kabhi hum larkiyan itni mature hongi? Kya kabhi aisa hoga ke koi Ramiya Kamal kisi Maaz Ali Khan ke phone karne per, uske wish karne aur uske gift dene oar, uski tareef sun kar sar jhatak kar aagay barh jayegi? Uski baat ko baray sarsari (casual) andaaz mein le gi.. kya kabhi aisa hoga? Kya hum khwaabo'n ki dunya se nikal kar haqeeqat ki dunya mein qadam rakhein ge? Aakhir kab?"
-Hum Khwaab Kyun Dekhein by Farhat Ishtiaq
Trust Farhat Ishtiaq and Umera Ahmed to leave me numb by their eye-opening stuff. It sucks that I can't even deny these words... so true yet so harsh. This hit me so hard that I couldn't stop myself from typing it out here.
Sorry not sorry for the spam guys. I am posting here after sooo long 😆
Edited by -ZaYalicious- - 7 years ago
comment:
p_commentcount