Favorite dialogues/scenes? - Page 10

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

344.1k

Users

91

Likes

2.2k

Frequent Posters

starstruckk thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#91
Maliha: kya dost kissi ko dhoka de sakta hai?
Junaid: dey sakta hai..bura dost

Maliha: lekin dost bura kaise hosakta hai? ya dost aik dost hota hai..ya phir nahi.

- Daam
noor321 thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#92

Originally posted by: HeavenlyBliss.

Sehrish: Guess karo maine aaj meethe mein kya banaya hai.

Ehtisham: Main dieting par hoon.
Sehrish: Exactly, isliye to nahi banaya.


🤣 🤣 🤣

Word Count: 0

Usman. thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#93
@Star: Daam's dialogues are hard hitting yet they are not preachy..the above two dialogues that you have mentioned are so meaningful.
Usman. thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#94

Originally posted by: HeavenlyBliss.

Sehrish: Guess karo maine aaj meethe mein kya banaya hai.

Ehtisham: Main dieting par hoon.
Sehrish: Exactly, isliye to nahi banaya.


lol. that was actually very hilarious.
virgo_gurl thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#95
Awesome Topic 👍🏼
Personally I have a lot of favourite dialogues from different novels, serials etc. Mentioning a few of them here..

Insan jis se sab se ziada mohabbat krta hai.. Allah usey usi k hathon se torta hai.. Insan ko us tootay hue bartan ki tarah hona chahye jis se logon ki mohabbat aye aur bahar nikal jaye..
-Nemrah Ahmed (Mushaf)

Mohabbat aur nafrat, ye 2 jazbay ek dusre ki zid hote hue bhi ek dusre se itne qareeb kyu hai? jis k baray mai ek umar tak ye yakeen rakho k hum is se nafrat krte hai zindagi k kisi ajeeb se morr pr ja kr achanak inkishaf hota hai k wo nafrat toh sirf ek dikhawa thi. Khud ko behlanay ka ek bahana.

Kya muhabbat sirf achon se ki jati
hai? khubiyaan dekh kar?
Achaeyaan janchnay k baad? Muhabbat
agar sachi hay to kabhi kam nahi ho
sakti, kabhi khatam nahi ho sakti
-Farhat Ishtiaq (Safar ki Shaam)

1 Million Dollar banana behad asaan hai behad asaan.Magar zaban say niklay hue lafzon ki aziyyat ko madham karna ya mita dena behad mushkil hai

Saray Khwaab Puray Nahin Houtay Aur Jab Yeh Pata Chal Jaye K Koi Khwaab Pura Nahin Ho Sakta Tou Phir Uska Peecha Chor Dena Chahye. Yeh Zindagi Main Sakoon K Liye Boht Zaroori Hai

Mard ho ya aurat, koi bhi zindagi k har lamhe mai bahadur nahi reh sakta. Bohat sari cheezein hoti hai jo humein kamzor krti hai aur kamzor lamho mai tassali k 2 lafz bolne wala, dil k bohat qareeb hojata hai..

Zindagi mai insaan ko ek adat zarur seekh leni chahye, jo cheez haath se nikal jaye isey bhool janay ki adat.. ye adat bohat si takleefon se bacha leti hai..

Zindagi men kuch cheezen aesi hoti hen jo humen kabhi nahien mil saktien Chahay hum royen ya chillayen ya bachoun ki tarhan aerhriyan ragrain wo kisi dosray kay liye hoti hen.
Magar iska yeh matlab nahien kay zindagi men hamaray liye kuch hota he nahien kuch na kuch hamaray liye bhi hota hai

-Umera Ahmed



Edited by virgo_gurl - 10 years ago
virgo_gurl thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#96
And there is this another rather long but really touching dialogue from Farhat Ishtiaq's novel "Wo jo qarz rakhte they jaan pr"
Hum Mashriq ki Larkiyan b ajeeb hoti hain. Mohabbat shayed hmarey bus ka roag nahin. Humara khoon khameer shayed is jazbey k liye mozun nahin..
Hum mohabbat kr b lain tu isey nibhana mushkil. Aur ager nibha lain tu zindagi guzarna mushkil.
Mohabbat main hone wali lamha bhar ki laghzish, who aik pal ki khud gerzi "mujhey apni mohabbat hasil krni hai kisi b qeemat pr". Woh phir humein na jeenay deti hai na murnay deti hai.
Phr who mohabbat jo hum ne bohat=t lurr kr aur duniya se takur le k hasil ki hoti hai humein apna sb se bara gunnah nazar aney lagti hai. Aisa gunnah jis pr hum uthtey, bethty, sotay, jagtey hr pal sharminda hote hain.
Hum mohabbat k bagher reh sakte hain magar khud se wabasta rishtun aurr mohabbatun k baghear zindagi guzar hi nahin saktey.

OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#97

Originally posted by: starstruckk

Junaid: Karachi ka samundar main bohat miss kerta tha America main


Zaara: khoobsurat hai na?

Junaid: Khoobsurat toh nahin hai..lekin apna hai. Aur apni cheezain insaan hamesha miss karta hai.

- Daam

Great dialogue <3 Plus I feel the same :P
Posted: 10 years ago
#98

Originally posted by: virgo_gurl

Awesome Topic 👍🏼

Personally I have a lot of favourite dialogues from different novels, serials etc. Mentioning a few of them here..

Insan jis se sab se ziada mohabbat krta hai.. Allah usey usi k hathon se torta hai.. Insan ko us tootay hue bartan ki tarah hona chahye jis se logon ki mohabbat aye aur bahar nikal jaye..
-Nemrah Ahmed (Mushaf)



Omg I have to read this now!
I bought this novel from Pak but never read it!
OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#99

I already liked it, jitna bhi parha

Usman. thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
Musahaf is one of my favorite novels.. You have to complete it Fari.. its awesome... and i will recommend you another novel by Nemrah "Jannat ke pattay"
Top