Kashaf OS: Chershing Memories

HSFA thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
#1
Hello Friends🤗 Main phir a gayi aap sabko tang karne apne aik aur OS se 😆 Well its about Kashaf. Her mindset about life. I was just imaigining her while writing. I hope that you will like it and shower my with likes and your wonderful comments. 😳 Api yeh apki special demand par hai so enjoy...

Kashaf Murtaza'.. Yeh naam bhale hi logon ko pura lagta ho par iske saath aik mehroomi bhi thi jisne mujhe andar se kha lia tha jese dhimak lakdi(wood) ko kha jati hai lekin Kashaf Zaroon Junaid'yeh naam mujhe ahsaas dilata hai k main mukamal hoon aur meri zindagi mein koi mehroomi nahi.

Bachpan se jis ladki ne yehi suna ho k wo aik ladki hai'aik nacheez' kya kar le gi us k liye bohat mushkil hota hai hai in taano(bad criticism) k gehrao se khud ko niklana par Khuda ka laakh laakh shukar hai k main aesa kar payi warna duniya ki un ladkiyon mein se hoti jo khud ko bahir se to bohat mazboot dikhati hain lekin andar se bilkul toot chuki hoti hain. Main to aj sakoon se hoon par un ladkyion ka kya jo apne hi gharwalon k aitaraz dur karne k liye khud ko hi khatam kar leti hain? Allah unhein himmat de Ameen.

Shaadi zindagi ka bohat hi ahem faisla hota hai aur mujhe khushi hai k yeh faisla mere liye bilkul sahi sabit hua. Us Chai k cup ne jese meri ankhein khol dein wo insaan us din mera muhafiz bana jo k aj tak koi nahi ban saka. Hamare darmiyan bohat ikhtalafat thay par us chai k cup ne jese mujhe sirf is cheez ka ehsas dilaya ho k is insaan se zayada mohabbat mujhse aur koi aur nahi kar sakta. Shayad agar mera humsafar Osama ya koi aur banta to main itni khush na hoti jitni Zaroon k saath hoon.

Koi aur mujhe pyaar to deta par wo izaat na deta jo Zaroon ne di,wo mujhe par aitebaar to karta par mujhe khud par yakeen karna na sikha pata, wo mujh par fakhar to karta par mujhe aik ladki hone par kabhi shaan se jeena na sikha pata. Wo Zaroon hi hai jisne mujhe apni us mehroomi se nikala. Mujhe bataya k ladki hona koi sharam ki nahi balke fakhar ki baat hai kyun k hum hi hain jo itna darad she kar aik nayi zindagi ko is duniya mein lati hain,hum hi saari saari raat jag kar apne lakht-e-jigar ki dekh bhaal karte hain'. hum har roop mein apne apnon k liye kuch na kuch behtar karne ki tag-o-do mein hote hain chahe wo aik maa ho ya behen,biwi ho ya dost ya phir koi hamdard. Allah Miyan ne humein aik nazuk dil dia hai jo dosron ko takleef mein nahi dekh sakta.

Lekin yeh pyaar sirf hamare apnon k liye doosron k samne hum wo hain jo doosre humein dekhna chahte hain aik practical ladki khaas kar k aj kal k door mein. Kitni tabdeli se guzarti hai hamari zindagi kabhi maa bano to kabhi biwi par ismein maza bhi hai. Meri beetiyon ne mujhe sikha dia k aik aurat hona kitni khush naseebi ki baat hai. Inko dekhti hoon to apna sara bachpan jee leti hoon. Jo pyaar mujhe na mil saka jab Zaroon ko inhein pariyon ki tarah pyaar karte dekhti hoon to rashk hota hai par use bhi zayada khushi ka ehsas k jo cheezein mujhe na mil sakein aik baap ki taraf se wo hamari beetiyon ko to milein.

Zaroon aik acha baap sabit hoga is baat ka andaza bhi tabhi hogaya jab wo khushi se jhoom utha tha jab use pata chala tha k beeetiyan hain aur agle hi din humein lene chala aya. Jo insaan mujhse aur apni hone wali aulaad se itna pyaar karta ho wo bhala kese dhokaybaaz ho sakta hai? Mazi ko peeche chod kar haal mein jeena seekh gayi hoon main aur mustaqbil ki fikar abhi nahi satati kyun k mein aj khush hoon.

Sach kehte hain k zindagi ka aik sahi faisla apko manzil-e-maqsood tak pauncha deta hai aur meri zindagi ka wo faisla tha Zaroon se shaadi karna aur uske saath rehna. Aj tak maine bhi Allah se bohat gile shikwe kiye us se har baat ki safai mangi kabhi khul kar uska shukar ada nahi kia ab samaj ata hai k ami kyun Allah ka har waqt shukar ada karti rehti thin kyun k unhein apne Rab par yakeen tha k wo jo karta hai apne bandon k liye acha hi karta hai. Uske har imtehan par aiteraz kia par ab nahi ane wali har aazmaish par uska shukar ada karungi kyun k wo azmata bhi apne pyaaron ko hi hai aur uska shukar ada karne se dukh k din bhi jaldi guzar jayein gein.

Allah Maiyan tera laak laakh shukar hai k tune mujhe Zaroon jesa pyaar karne wala sohar dia aur do pyaari pyaari bachiyan dein, Yeh teeno meri duniya hain. Inko hamesha salamat rakhna aur mujhe mein wo himaat hamesha rakhna jinse mein duniya ka samna kar sakun. Meri Zingai Gulzar ban gayi ise hamesha aesa hi rakhna.

Ameen. Sum Ameen.

Edited by HSFA - 11 years ago

Created

Last reply

Replies

15

Views

4.1k

Users

15

Likes

64

Frequent Posters

pakpearl thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#2
OYE HOYE...

My doll wrote it on my farmaish n I forgot😆

Thanx for writing something about ZGA !!!

It's Kashaf's point of view...The transformation was not so easy...A girl who was deceived by that man who was his first n foremost ideal-her father...

On seeing her mother's misery,she lost interest in even normal relationship ...

She finally accepted Zaroon's love after so much inner turmoil as well as bitter argument with him !!!!

I m so happy to see this precious girl settled in life with her loving n caring husband cum friend n her adorable bundles of joy--the twin daughters !!!!

I m waiting for Zaroon's point of view...Itna haq tou banta hi hai !!!!

Love u,Fati,
Api 😊
Edited by pakpearl - 11 years ago
..Amira.. thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
#3
Fawwouloous! Mainne yeh serial nai dekha lekin yeh sab bohot touching tha. I'll watch this serial during my holidays.. By the way ur Urdu is very very nice, I appreciate ur words a lot!. It was so nice. You described her thoughts n introduced her entire life in just one little part, that was soo unique n awesome. Thank you very much for sharing this.

I had a little prob actually in the last paragraph, you wrote Allah Miyaanh!, actually Allah Had no gender so we dont should call Allah like that .

Thank you for the pm. Lots of love. <3
Edited by ..Amira.. - 11 years ago
chulbuli94 thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#4
Fati & Marie~~~~~my angel & sweetheart,too(zabardasti hi sahi😉),
Your doll,Princess Shifa is so happy that u guys provide her with Asher-Khirad doses and now,this Kashaf-Zaroon OS from Fati~~
It's your turn,now,Marie to come up with something about ZGH !!!!
MahamRana thumbnail
Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#5
Superb work Fatimah !!
You are a good writer mashAllah 😊 😊
You expressed everything very well 😃
bonibright thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#6
Awesome..Love it..Thanks for the PM...😊
Miss.Wahian thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#7
Loved it a lot😛
U penned it so beautifully😊...must say, ur Urdu is damn good👏
_Maggie_ thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#8
Loved it so much
Kashaf rox😃
Transference thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 11 years ago
#9
Such a beautifully penned down OS!!Loved it..👏👏👏👏specially the part where Kashaf offers her thanks to God!! It was so simple Yet so beautiful...⭐️Fluent and lucid yet laden with so many emotions...In totality an Engaging read!!
Regards..
Piu😳

-Marie- thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago
#10
Kashaf my most fav charcter till date coz she is daring straight n honest she rants out whatever comes she doesnt like showing off or un necassary fake concern for others... Getting angry is so like me ..but nt so much unthankful i am..beside dat i could really relate her to myself i absolutely loved how u penned all the feelings down.. Like re watchng zgh.. It was all beautifully wriiten touchy n dil sy...the realization of unthankfulnes is amazing n da chae ka cup it was mst amazing scem i ever watchd
Shifa i wrote on ZGH already as Angel s bday gift had u read dat ? Couldnt plan out any zgh one if get much tym whch wil nt mst probably i wil try!
Top