kya khaas hai tujhme yahi puchhte hai har pal khud se
kya vo teri muskurahat jo jeene ka maksad deti hai
ya fir vo aankhein jinme koi to shararat behti hai
kya tera vo bachpan to tujhme ab tak basta hai
ya fir vo dimple jine dekh ke har koi marta hai
kya teri maasumiyat hai vo jo mujhko pagal karti hai
ya fir teri julfo ki adaa jo beraham si ghayal karti hai
kya tera vo dil hai khubsurat jispe ham marte hain
ya fir tere apne banane ki adaa jisse pathar bhi pighatlate hain
jaane kya kya khaas hai tujhme ham ab tak naa samjh paayein hain
auro ki tarah ham bhi bas dekh ke tujhko har pal muskurayein hain
comment:
p_commentcount