Chutkijulienite thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#1

Ariya SS-  Hum Hain Raahi Pyaar Ke Phir Milenge Chalte Chalte <3

 

Part - 1

Arjun aur Riya abhi class 7 mein hain aur ek he school bus mein jaate hai. Dono mein unban hoti rehti hai. Riya k class k saare students uske friends hai. Aur Arjun ladkiyon se baat krne se sharmaata hai par uska dil riya k best frnd nisha par aata hai.nisha n arjun ek dusre se kaafi sharmaate hai bt pure class ko pata chal jata hai ki arjun nisha se pyaar krta hai.riya kosish krti hai un dono ka setting karane as usse shak hota hai ki nisha bhi arjun ko pasand krti hai.

 

Arjun bhi ab riya se nisha k baare mein baat krta hai as usse pata hai ki riya he ek ladki hai jo nisha tak uske jazbaatein pahucha sakta hai.riya usse bahut tease bhi karti hai aur aisa karte-karte riya ko arjun se pyaar ho jata hai.riya nisha aur naina(aur ek achi frnd riya aur nisha ki) se keh deti hai ki who arjun ko pasand karti hai,saath mein ye bhi ki ussse koi zarurat nahi uske liye arjun ko chorna.Nisha shocked ho jaati hai ye sun k ki riya ko pata hai ki who arjun ko pasand karti hai.riya nisha ka muh dekh k samajh jati hai ki woh shocked hai n kehti hai ki tu laakh chupaaye apne bhavnaayo ko mujhe pata hai tere dil ka condition maine teri diary padi thi sorry! "par tujhe mere liye apne pyaar ko chodne ki koi zarurat nhi" dono ek saath kehte hai aur phir smile karte huye ek doosre k gale lagte hai.

 

Dekhte he dekhte who log class 8 mein chale jaate hai aur riya,arjun and nisha ka pyaar aur intense ho jata hai.Bahut force karne k baad arjun apne feelings ka izhaar krta hai nisha k pass aur nisha bhi ha kar deti hai,arjun marathi mein propose karta hai and nisha bengali mein.Riya un dono k liye behad khush ho jaati hai n arjun aur riya ki dosti gehri ho jaati hai.

 

Precap - riya confess karti hai ki who arjun ko love karti hai

Link : 

Part 4 : https://www.indiaforums.com/forum/topic/3564072?pn=2

Part 5 : https://www.indiaforums.com/forum/topic/3564072?pn=5

Part 6 : https://www.indiaforums.com/forum/topic/3564072?pn=7�

Edited by Chutkijulienite - 10 years ago

Created

Last reply

Replies

49

Views

11897

Users

16

Likes

85

Frequent Posters

unishaz thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#2
nice start.. Continue soon..
Chutkijulienite thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#3

Originally posted by: unishaz

nice start.. Continue soon..


thnks...will update soon ðŸ˜Š
aroojarain thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#4
nyc start..
Continue soon :)
Mdmadona thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#5
nice start
love in 7th class?😲😆
precap is interesting
cont soon
Christeee thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#6
Nice concept
update soon
Chutkijulienite thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#7

Part - 2

Nisha and arjun mein zyaada baatein nhi hoti woh dono sirf sharmaate hai aur pura class unhe tease karte hai riya k saath.

  Ek din bus mein arjun riya se uske lv interest k baare mein puchta hai.Riya ghabra jati hai n kehti hai ki usse kisi se pyaar nhi hai.Arjun kehta hai aisa ho he nhi sakta aur usse force karta hai naam lene.Riya jab dekhti hai ki arjun maane waala nhi hai to woh kehti hai ki "hai koi par tum janoge to 2mhe acha nhi lagega".Arjun blta hai ki "aisa kaun hai jo tumhe itna pasand hai par mein jaan jaunga to mujhe acha nhi lagega.tum bhi meri dosti ho aur bhala tumhari pasand kaise meri napasand ho sakti hai?" Riya sochti hai ki jab woh khud he force kar raha hai mujhe keh dena chahiye n kehti hai ki ok stop aane par bolungi.Stop aane wala hota hai n arjun riya ko force karta hai naam lene.Riya seat se uth k saamne baithe arjun ko dekh kehti hai "tum" aur bus k darwaaze tak chali jaati hai.Arjun ka mu khula ka khula reh jaata hai.

 

Next din school chutti hota hai strike k liye to uske baad waale din riya arjun se nazre churaati hai n arjun usse tough looks deta hai.Class mein arjun usse chit mein puchta hai ki "kya kal mere kaano ne sahi suna tha?" to riya likhti hai "haan".

 

Precap - sab school picnic mein ja rahe hai siwaaye nisha k


Part - 3

 

Bus mein arjun riya se zyaada baatein nhi karta,naahi nisha aur arjun mein baatein hoti hai.Aise he dukhat vaataavaran main picnic ka news school mein fail ta hai aur saare bahut khush ho jaate hai siwaaye nisha k.nisha ko siliguri jaana hota hai n isliye woh bahut dukhi ho jaati hai.riya n naina bhi dukhi ho jaate hai par phir bhi woh log nisha ko manane ki kosish karte hai.

 

  Nisha siliguri chali jaati hai n naina aur riya tickets kharid lete hai.Idhar arjun bhi khusi-khusi tickets kharid leta hai ye soch k ki nisha bhi jaa rahi hai.Par jab arjun ko pata lagta hai ki nisha nahi ja rahi to woh kaafi sad ho jata hai.Picnic jaane ka din bhi aa jaata hai.Sabko amusement park le jaya ja raha hota hai. Picnic spot par pahuchte he sabke haaton mein ek sticker laga dia jaata hai.Gate kholte he saare students paagalon ki tarah bhaagne lagte hai.Naina,arjun aur akshay (classmate) ko uske aur riya k saath aane ko request karti hai.Woh log maan jaate hai par arjun abhi bhi riya ko tough looks deta hai.Naina-riya aur akshay-arjun cable car mein charte hai aur pura amusement park ghumte hai.iss ride k baad woh log flying saucer mein charne k liye line lagaate hai.Phir se naina-riya aur arjun-akshay ek 7 flying saucer pe charte hai.Riya ko dar lagta hai par naina chikti hoti hai.Flying saucer se utarne k baad phir se naina sabko force karti hai line lagaane.Riya k mana krne par bhi naina nahi sunti aur riya ko flying saucer k line mein le jaati hai.Sab apne seats le lete hain ride par siwaaye akshay(woh dusre classmates ke saath dusre ride par jata hai) aur riya k.Naina k side wala seat khali rehta hai to Riya waha jaati hai,par naina usse waha baithne se mana kr deti hai ye keh k ki usse akele enjoy krna hai ride.Naina kehti hai ki 1 set khaali hai aur usse kheech k le jaati hai arjun k pass.Riya ko waha baithane k baad khud apne seat mein chali jaati hai.Flying saucer start hota hai.

      Riya andar baithi hoti hai aur arjun uske side mein.Riya achanak se arjun k side chali jaati hai as flying saucer niche se upar ja raha hota hai.Arjun usse luk dete hue kehta hai ki tum please thoda thik se baithogi.To riya kehti hai ki mein jaan bujhke tumhari side nahi ja rahi hu,woh to flying saucer k liye'..aur riya apna baat pura na karte huye apna bag beech mein rakh deti hai.Dono apne muh dusre taraf kar k baithe rehte hai.Arjun gunguna raha hota hai,to riya man mein kehti hai ki ek to flying saucer itna tezz ja raha hai uske upar iska makkhi wala song..uff!!Riya arjun ko gusse se dkhti hai aur tabhi flying saucer ruk jata hai.Arjun hadbari mein nikal jata hai par riya ko vomitting sa feel hota hai.

        Naina haste hue riya se aa k puchti hai ki usse kaisa laga ride.Riya kehti hai ye tune acha nahi kia kya zarurat thi mujhe uske saath bithane,usse kitna embarrass feel hua hoga.Naina smile karte hue riya se puchti hai ki tujhe embarrass feel nhi hua?Riya kehti hai please mujhe tease karna band kar,mujhe vomiting sa lag raha hai.Naina riya ko ek shade mein le jaati hai n use aaram karne ko kehti hai.Naina uske aur sabke bag riya k pass chor kar jaati hai, aur riya apne bag par sar rakh kar aankh band kar leti hai.Kuch der baad arjun aata hai aur riya se puchta hai ki ab tumhari tabiyat kaisi hai?Riya kehti hai achi hai n Arjun uske side ja k baithta hai aur nazdeek ja k apne phone pe picnic k pics dikhata hai.Riya smile karti hai.Saare classmates unhe taakte rehte hai.

       Picnic khatam ho jati hai n sab school bus se ghar pahuch jate hai.

 

Precap - Nisha and arjun ka break up ho jata hai

   Edited by Chutkijulienite - 10 years ago
Chutkijulienite thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
#8

Part -  4

Picnic mein beetain lamho ko riya yaad kar k sad hoti hai.Naina riya se puchti hai ki woh kya soch rahi hai to riya kehti hai picnic k baare mein.Naina blti hai tujhe to khush hona chahiye riya,to riya koi baat ko chupa kar kehti hai mujhe nisha ki bhi yaad aa rahi hai isliye sad hu.

    Next din school mein class test rehta hai aur usme he riya ka din beet jata hai.Aise he pura week class tests mein chale jate hai.Riya aur naina ka man nahi lagta school mein as nisha ko woh log miss kar rahe hote hai.Arjun bhi saara din chup rehta hai aur akshay k saath kabhi-kabhi baatein karta hai.Woh sochta hai ki kya Nisha usse pyaar karti hai,agar karti hai to kyu uss se zyaada baatein nahi karti.

    Week end hote hi Nisha school aa jaati hai aur sab ko dekh lagta hai unme jaan aa gayi.Riya aur naina uske gale milte hai aur ek saath kehte hai "we miissed you".nisha bhi "same to you" kehti hai.arjun nisha ko dekh bahut khush ho jata hai par nisha arjun ko ek baar bhi nhi dikhti.

   Next din class mein nisha k liye ek card aaya hota hai.Usme likha hua hota hai ki "mein tumhe behad pyaar karta hu,pehle bhi izhaa kar chuka hu par tumne mujhe thukraya hai.Please maan jao tumhara aashiqui."Nisha k padh k suna ne k baad riya aur naina shock ho jate hai,dono ek saath puchte hai "kaun hai ye ladka?jisne tujhe pehle bhi propose kia hai" nisha kehti hai ki "yaad hai rahul naam ka ek ladka mere side mein baitha tha class 7 k annual exam k time?jo mujhe tang karta tha..usne he last din mujhe propose kia tha aur mein kaafi dar gayi thi isliye tum logo ko nhi kaha." Riya bolti hai ki "acha woh senior!harkaton se to pura lafanga lagta hai,ruk uska akal thikaane lagana hoga,mein kuch karti hu." Nisha usse rok k kehti hai jaane de.

  Roz arjun koshish karta hai Nisha se baat karne par nisha usse ignore karti hai.Aise he do hafte baad arjun tang aa chuka hota hai nisha k behaviour se .woh riya ko request karta hai Nisha se uske baare mein baat karne k liye.Riya nisha ko puchti hai ki "tu arjun se baat kyu nhi kar rahi hai,woh kitna sad rehta hai..please baat karle.Samajhti hu ki tu thoda shy hai par apne bf se baat karne mein itni hichkichahat?" Nisha kehti hai "ARJUN MERA BF NAHI HAI,MEIN USSE PYAAR NAHI KARTI". riya(shocked) kehti hai aise kaise woh tera bf nahi hai?tu apne khusi se uske saath relationship mein aayi thi..agar woh tujhe pasand nahi tha to kyu tune usse ha bola? Nisha kehti hai ki tab mein confused thi aur jaldbaazi mei maine ha kar di..abhi bhi der nahi hua hai tu arjun ko keh de.Riya kehti hai tujhe pata bhi hai us par kya bitegi?woh tujhe pagalon k tarah pyaar karta hai,usse ye bardaas nahi hoga.kya zarurat thi tab jhuta humdardi dikhane ki?mein kis mu se usse ye sab kahungi?mujhe tujhse ye umeed nahi thi nisha.Nisha kehti hai mujhe pata hai maine galti ki hai aur I'm realy sorry but uske propose karne se pehle rahul ne mujhe propose kia tha.Rahul mere dimaag mein pehle se he tha isliye arjun k  proposal k waqt mein confuse thi par ab mujhe pata hai mein kis se pyaar karti hu'RAHUL he mera pyaar hai..pls arjun ko mere taraf se sorry keh dena.Riya chikte huye kehti hai ki tune ye acha nahi kia nisha.Riya arjun ko saara baat samjhati hai aur arjun sad sa face leke baith jata hai.Uske pass kuch bolne ka nahi hota.

  Kuch he dino mein annual exams bhi start ho jaate hai.Aur sab busy ho jate hai.Nisha-riya-arjun-naina kisi ka bhi exam acha nahi jata hai.Class 8 k last din (paper milta hai)sab aate hai.saare bohat tensed rehte hai paper k result ko leke.Luckily pura class ache se pass hota hai.Tiffin break hone par sab class k students baat karte hai ek dusre se par riya akeli side mein baithi rehti hai.naina usse bulati hai par woh uske taraf bhi nahi dekhti.Naina uske seat mein jake bolti hai "riya chal playground,tiffin hai abhi".Riya usko hug karke ro padti hai.Naina kehti hai "tu ro kyu rahi hai?" Riya kehti hai "Mein class ko bahut miss karungi" naina blti hai tu to humlog k saath he rahegi to kyu ro rahi hai? Riya rote huye kehti hai "Mein class 9 mein tum logo k saath nahi rahungi,mein dusre skul ja rahi hu'dusre shehar 'mumbai' mein.Uss din ye he baat chupa rahi he thi mein tujhse..isliye he mein sad thi." Naina yaad karti hai ki jab woh riya se puch rahi thi ki woh picnic ka baat yaad karke sad kyu ho rahi hai to riya bolti hai mujhe nisha ki yaad aa rahi hai.Naina bhi ro deti hai aur kehti hai "tu chali jayegi to mera kya hoga?bahut miss karungi tujhe yaar." Un dono ko rote dekh Arjun,akshay,nisha aur saare classmates aa jate hai.Nisha puchti hai ki kya hua?naina usse sab bolti hai to nisha bhi ro deti hai aur riya ko tightly hug karte hue kehti hai ki "meri best friend bhi chali jayegi to mein kya karungi?plz mat ja.pehle bolti ye baat to mein aunty ko request karti tujhe na le jaane.ye skul he nahi ye shehar ko chodh k chali jayegi tu..riyaaa..will miss u" arjun jo ki saare baatein sun raha hota hai aake riya ko bolta hai "tum bhi ja rahi ho riya,ab kaun mera baat sunega bina koi comment kiye,kaun mujhe tease karega,kaun mujhe bolega mujhe kya karna chahiye?tum itne dino mein mera best friend ban gayi thi riya.i will miss you".

Saare class ko riya chocolates baat ti hai aur naina ko shahid kapoor ka poster gift krti hai aur kehti hai "mein tujhe bohat miss karungi,tere jokes aur tere saath masti bhi miss karungi." Nisha ko woh apne sabse favourite bracelet gift karti hai aur kehti hai "tu apne boyfriend k saath khush rahe,par please mujhe bhul mat jaana.i will miss you" Lastly riya arjun ko ek ring gift karte huye kehti hai "mujhe pata hai tum bahut dukhi ho aur mujhe bahut kharab lag raha hai ki mein tumhe ab se console nahi kar paungi.Sorry arjun..i will miss u". arjun gift lete he usse hug karta hai.Riya aur saare classmates shock ho jaate hai.

  Pure class ko goodbye karte huye riya St pauls school,kolkata ko chor  mumbai k liye nikal padti hai.

 

Precap - 5 saal baad.kya hoga riya-arjun ka? Kya hoga riya k saare friends ka?

Edited by Chutkijulienite - 10 years ago
DivineDarkness thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 7
Posted: 11 years ago
#9
Nice update!!!! continue soon
bebovirdi thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#10
omg its so emotional
luv it
plz dear continue soon