Created

Last reply

Replies

117

Views

25.9k

Users

19

Likes

63

Frequent Posters

raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#61
Wo t0 majb0ri0n mai lipTi haIn..


ApNe shIdaT bHarY khaYaLo0n mai..



ApNe anDr chUpi eK aUraT mai..



W0 hUmeSha hi darTi rehTi haIn..



Na to jEeTi haIn na t0 marTi haIn..



LarkiYaan beWaFa nh hoTi..



Per Hamesha hi darTi rehTi hain



Apne reeTi 0r raWaj0on sE..



AnY waLe naYe aZab0on sE..



ZarduRat mai khiLe ghUlaBo0n sE..



PyaaR kerTi haIn 0r chUpaTi haIn..



LarKiYan BeWaFa nH h0ti..



Ki0n k majb0ri0on mai lepTi haIn..



Or heR lamHa darTi rehTi haIn..



ApnE pYar sE apNe saYe sE..



ApNe riShTo se diL ki dharkan sE..



ApNi khoWaIsh sE apNi kHusHi0on sE..



LaRkiYa BeWaFa nh h0ti..



By: Parveen Shakir'
raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#62
"PARVEEN SHAKIR"

"Kiyun Rakhoon Main Apne Qalm Main Siyahi...!"

"Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi...!"

"Na_Jane Kiyun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par...!"

"Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi...!"

"Kashish To Bohat Thi Mere Piyaar Main...!"

"Magar Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi...!"

Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Gi...!

"Par Suna Hai Wo Marne Se Pehle Kisi Se Milta Hi Nahi"...!'
raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#63
Teray Shaher Teri Soch Say Nikal Jaon Gi,

Kisi Udaas Sham Main Dhal Jaon
Gi,
Tu Jo Mukar Gaya Hai Her Baat Say Apni,
Dekh Lena Eik Din Main Bhi Badal Jaon Gi,

Mat Dikha Muj Ko Apna Pasheman Chehra,
Jab Ke Tu Janta Hai k Main Pighal Jaon Gi,
Chahay Lakh Tarpon Tere Intzaar Main,

Mat Lot Ke Aana Main Sambhal Jaon Gi,
Tera Hona Itna Zarori To Nahi Hai
Ay jan.e,sapna

Main To Yaadon K Khilony Say Behal Jaon Gi.
raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#64

Word Count: 0

raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#65
" kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi
main apne hath se us ki dulhan sajaungi

supurd kar k use chandni k hathon
main apne ghar k andheron ko laut aungi

badan k karb ko wo bhi samajh na payega
main dil main roungi ankhon main muskuraungi

wo kya gaya k rafaqat k sare lutf gaye
main kis se ruth sakungi kise manaungi

wo ik rishta-e-benam bhi nahin lekin
main ab bhi us k isharon pe sar jhukaungi

bicha diya tha gulabon k sath apna wajud
wo so k uthe to khwabon ki rakh uthaungi

ab us ka fun to kisi aur se mansub hua
main kis ki nazm akele main gungunaungi

jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
wo kah raha tha k main us ko bhul jaungi

samaaton main ghane jangalon ki sansen hain
main ab kabhi teri awaz sun na paungi "


raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#66

Ajab tamasha gar hain matti k ye putlay
"'Saqi'"

Bewafai karo tu rote hain,
Wafa karo tu rulatay hain..

raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#67
ImageImageImageImageImageImageImageImage


Mere wajood ki mujh main talaash chor gaya
Jo poori na ho kabhi aesi ik aas chor gaya

Yahi karam nawazi us ki mujh pe kam hai kia
Ke khud tou door hai yaadein tou pass chor gaya

Jo khawhishein thi kabhi hasratoon main dhal gayi
Mere laboon pe wo aik lafz kaash chor gaya

Ye mera zarf hai ik rooz us ne mujh se kaha
Ke aam logoon main ik tujh ko khaas chor gaya

Baharoon se mujhe is liye tou nafrat hai
Inhi rutoon main mujhe wo udaas chor gaya.


ImageImageImageImageImageImageImageImage
raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#68


jitna bhi usko sochon utna hi door paon

jitna bhi usko chahoon

khud hi bikharta jaon

main aam sa musafir be-aas … be-sahara

wo door kahin basta

ek Aasmaan ka tara

main rait se ulajhti sehraon ki hawa hoon

wo sahilon pe chalta bad-e-saba ka jhonka

Haan farq to bht hai …

par baat ye faqat hai

main laakh toot jaon …

khud hi se rooth jaon …

Par Ye Na hoga Mujhse K Main USKO bhool jaon …!



raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#69


u nahi to
Zindagi main or kya reh jayega
Door tak tanhaiyoun ka
silsila reh jayega
Youn bhi hoga
Wo mujh Dil se bhula de ga
Magar …!
Ye bhi hoga
Khud us main ek khala reh jayega …

raheelu thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail Commentator 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#70


hath pakar kar chalne wala
koi agar sath hota to tum hote …
dekho tum jo sath nahi to
mut'thi bhar yaadon ke jugnu
kab tak mere sath chaley gain ..

————————-

Ye Jo Bikhra Bikhra Sa Shaks Hai …

Wo gumaan gumaan sa Qayaas sa
kbhi door sa … kbhi paas sa
kbhi chandni main chupa hua
kbhi khushbuon main basa hua
kbhi sirf uski shabahatein
kbhi sirf uski hikayatein
kbhi sirf milne k silsile
kbhi sirf us se hain faasle
kbhi door chalti hawaon main
kbhi meenha barasti ghataon main
kbhi bad-gumaan … kbhi meherbaan
kbhi dhoop hai … kbhi sayebaan

kbhi band dil ki kitaab main
kbhi lab kushan wo khwab main
kbhi yun k jaise sawal ho
kbhi yun k jaise jawab ho
kbhi dekhne k hain silsile
kbhi sochne k hain marhaly
kbhi sirf rang-e-bahar sa
kbhi sirf ek ghubaar sa

kbhi dastaras k qareeb qareeb

kbhi door … paas … kahin nahi

ye jo ukhra ukhra sa shaks hai

ye jo bikhra bikhra sa shaks hai


Top