*~*Khurram's Collection*~* - Page 5

Created

Last reply

Replies

59

Views

6.2k

Users

3

Frequent Posters

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#41

Tum yaad aate ho
Ye to galat baat hai...
Dil me hamesha rahete ho kyun
Chhoda ye jab satha hai !!!...

Hum soch ke haare hai
Hum kaun tumhare hai
Ab aankh churate hao
Ye bhi galat baat hai
Dil me hamesha rahete ho kyun
Chhoda ye jab satha hai !!!...

Badi der se hum samjhe
Tu m fhool the kagaz ke
Ab kya jatate ho
Ye bhi galat baat hai
Dil me hamesha rahete ho kyun
Chhoda ye jab satha hai !!!...

Mujhe chhod ke raho me
Tum gair ki baho me
Ab raat bitate ho
Ye bhi galat baat hai
Dil me hamesha rahete ho kyun
Chhoda ye jab satha hai !!!...

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#42

Tum yaad aate ho
Ye to galat baat hai...
Dil me hamesha rahete ho kyun
Chhoda ye jab satha hai !!!...

Hum soch ke haare hai
Hum kaun tumhare hai
Ab aankh churate hao
Ye bhi galat baat hai
Dil me hamesha rahete ho kyun
Chhoda ye jab satha hai !!!...

Badi der se hum samjhe
Tu m fhool the kagaz ke
Ab kya jatate ho
Ye bhi galat baat hai
Dil me hamesha rahete ho kyun
Chhoda ye jab satha hai !!!...

Mujhe chhod ke raho me
Tum gair ki baho me
Ab raat bitate ho
Ye bhi galat baat hai
Dil me hamesha rahete ho kyun
Chhoda ye jab satha hai !!!...

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#43
Kabhi zindagi ko gale hum lagaate,
Kabhi zindagi ko bebasi se milaate,
Kabhi bebasi se hum khud ko chhupaate,
To kabhi kashmakash se hum darr bhi jaate,
Kabhi muskura ke bhi hum rote jaate,
To kabhi muskurana hi bhool jaate,
Darti sadaao se khamosh hain yeh nigahein,
Hairaan zindagi ke kadam dagmagaye,
Uljhan ke iss safar mein hai maayusi ke saaye,
Kismat se uljhan ke khud ko hum salate,
Taqdeer ke faislon mein dhondte dil ki baatein,
Chehra zindagi ka hum phir bhi naa dekh paate,
Apne hi aaine ke shishe bhi toot jaate,
Kitne adhure hain hum kami dhondte hain,
Chhoop kar haqiqat se sapno ko boondhte hain,
Zakhmon ko chhoopa ke dil mein chalte hi jaate,
Jite hain zindagi le ke hazaaron gam,
Hasrat hai kismat ke sitam,
Kho dete hain hum khushi ko,gam ko kho naa paate,
Kabhi zindagi se mil kar apna dard to bataate,
Bataane se pehle hi hum yoon hi tadap ke mar jaate,
Kabhi zindagi ko gale hum lagaate,
Kabhi zindagi ko bebasi se milaate
mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#44

Jidhar bhi dekhtaa hoon tanhaai nazar aati hai
aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai

main kaise karun gilaa dil ke zakhmon se huzoor
aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai

tod diye hain maine apne ghar ke saare aayine
meri rooh mera hi chehraa dekh ke darr jaati hai

ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein...
zara si na-muraadon ki tabiyaat sudhar jaati hai

asar karti yakeenan gar choo jaati unke dil ko lekin
afsos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai

maikade mein jab bhi zikr aata hai tere naam ka
shaam ki pee hui sar-e-shaam hi utar jaati hai

kabhi aa ke mere zakhmon se muqaabilaa to kar
ae khushi tu moonh chhuppaa ke kidhar jaati hai

tuze inhi kaanton pe chal ke jaana hoga
unke ghar ko bas yahi aik rehguzar jaati hai......

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#45

gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein,
jab tum mujhe dhundhoge aankhon mein nami hogi,
mehsoos tumhe hardam phir meri kami hogi,
gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein


aakash pe jab taare sangeet sunayenge,
beete hue lamhon ko ankhon mein sajayenge,
tanhaai ke sholon se, jab aag lagi hogi
mehsoos tumhe hardam phir meri kami hogi,
gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein.

sawan ki hawaon ka jab shor sunoge tum,
bikhre hue maazi ke auraaq chunoge tum,
mahaul ke chehre par dhool jami hogi,
mehsoos tumhe hardam phir meri kami hogi,
gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein


sawan ki hawaon ka jab shor sunoge tum,
bikhre hue maazi ke auraaq chunoge tum,
mahaul ke chehre par dhool jami hogi,
mehsoos tumhe hardam phir meri kami hogi,
gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein

gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein,
jab tum mujhe dhundhoge aankhon mein nami hogi,
mehsoos tumhe hardam phir meri kami hogi,
gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#46

Parindoon ne kaha Zindagi azadi hai
Gulshan ne kaha Zindagi Khoobsurti hai

Sehra ne kaha Zindagi thandey pani ka chasma hai
Shehad ki makhi ne kaha Zindagi mithaas hai

Gareeb ne kaha Zindagi dukhoon ka ghar hai
Ameer ne kaha Zindagi eesh-o-ishrat ka naam hai

Mein ne kaha Zindagi pyar-o-mohabbat ki kiran hai
Mujahid ne kaha Zindagi apney mulak ki amanat hai

Shayar ne kaha Zindagi sirf aur sirf shayari hai
Majnoon ne kaha Zindagi sirf Laila ka naam hai

Chand ne kaha Zindagi tareeki mein rasta dikhai deti hai
Suraj ne kaha Zindagi roshnee hai jo andheeroon ko khatam karti h ai

Gulab ne kaha Zindagi khushboo hai
Samandar ne kaha Zindagi josh aur jazba hai

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#47

Mera khamosh rehkar bhi unhen sab kuch suna dena
Zabaan se kuch na kehna dekh kar aansu baha dena

Nasheman ho na ho ye to falak ka mashghala thehra
Ki do tinke jahaan par dekhna bijli gira dena

Ijaazat ho to keh duun qissa-e-ulfat sar-e-mehfil
Mujhe kuch to fasaana yaad hai kuch tum suna dena

Main mujrim huun mujhe iqraar hai jurm-e-mohabbat ka
Magar pehle khata par ghaur kar lo phir saza dena

Main is haalat mein pahuncha hasharwale pukaar uthe
Koi faryaad karne AA raha hai raasta dena.

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#48

Jab meri yaad sataye to mujhe khat likhna
Tum ko jab neend na aaye to mujhe khat likhna

Neele pedon ki ghani chaanv mein hansta saavan
Pyasi dharti mein samane ko tarasta saavan
Raat bhar chhat pe lagataar barasta saavan
Dil mein jab aag lagaye to mujhe khat likhna

Jab phadak uthe kisi shaakh pe patta koi
Gudgudaye tumhein beeta hua lamha koi
Jab meri yaad ka bechain safinaa koi
Ji ko reh reh ke jalaye to mujhe khat likhna

Jab nigahon ke liye koi nazara na rahe
Chaand chhip jaye gagan par koi tara na rahe
Log ho jaayein paraye to mujhe khat likhna

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#49
Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Chup Rahi Woh Masoom Si Dulhan Pyaar Bankar Chali Thi Tere Aangan Mein
Chor Aaye Thi Sare Khushiyan Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Ek Anmol Rishta Tha Tumse Bikar Diya Tumne Bewafa Iss Duniya Mein
Aur Kya Mange Hum Khuda Se Dard Ke Bhwar Main Dubo Diya Tumne
Kuch Farq Nahi Hai Humhe Jab Tumne Bikar Di Meri Jeevan Ki Khushayan
Chup Rahi Woh Masoom Si Dulhan Pyaar Bankar Chali Thi Tere Aangan Mein
Saaton Vachan Tak Saath Na Diya Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Dekhar Chup Zuban Na Kahi Aankhon Ki Ehsaas Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Main
Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#50

dil hi kafi hai fakat haal pe rone ke liye
aankh ko chhod do neend-bhar sone ke liye

tera saath mujhe de deta khushiyan zamane bher ki
or tera jana kafi hai mujhe rulane ke liye

main hansti hun gam-a daur main bhi
dil ka daria hai gam chupane ke liye

lut gaya dil ka mere sara sukun
khus nahi pass mere ab khone ke liye

ek shan na mila dhoonde se
pal do pal chain se sone ke liye

teer si baat ayee or gyee bhi ho gyee
rehe gya dard palkein bhigone ke liye

daro-deewar hi phir se sahara denge
jab bhi khwahish hui rone ke liye

haas-parihaas taane-ulhane ya dard hi
hum hain haazir tera samaan dhone ke liye

jismein sirf main or meri tanhai ho
muntezir hun aese kisi kone ke liye

Top