*~*Khurram's Collection*~* - Page 4

Created

Last reply

Replies

59

Views

6.2k

Users

3

Frequent Posters

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#31

ajeeb rang ka mausam chala hai kuch din se
nazar pe bojh hai aur dil khafa hai kuch din se

wo aur tha jise tu jaanta tha barson se
main aur hoon jise tu mil raha hai kuch din se

ada hai, shokhi hai, jaadoo hai ya fareb koi
na jane unki nigahon mein kya hai kuch din se

azal se tera taaruf raha hai husn-o-jamal
magar ye dil mein jo mehshar barpa hai kuch din se

shahar ka shahar chala aata hai kashkol ba-dast
suna hai deed ta dar waa hua hai kuch din se

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#32

Woh Naam Mera Hi Toh Hota Hai


Haatheli par jise likhti mitati ho
Woh naam mera hi to hai
Mehndi jiske naam ki rachai hai tune
Woh naam mera hi to hai


Sunke jisko palke teri jhuk jaati hai
Woh naam mera hi to hai
Dil pe tere jo naam likha hai
Woh naam mera hi to hai


Tere honthon pe jo kaanp raha hai
Woh naam mera hi to hai
Dhadkan mein jo teri gunj raha hai
Woh naam mera hi to hai


Apna naam jisse joda hai tune
Woh naam mera hi to hai
Tere naam ke bina jo adhura hai
Woh naam mera hi to hai

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#33

itni dur chale aaye hai hum unse...
ab laut kar jaana mumkin nahi...

kya majboori thi, kya duswaria thi pane mein
chand lafzo mein keh jaana mumkin nahi..

akhtiyar kab tha hume apni takdeer par...
apni judai ka iljaam un par lagana mumkin nahi...

itni khusiya to na likhi thi khuda ne apne naseeb mein...
koi dhoka hi hoga.. ab rah mein unka yu mil jaana mumkin nahi....

sach hai afsana-e-ishq ka fakat anjam judai hai....
khud seh kar bhi.. is sacchai ko ab jhutlana mumkin nahi...


wo dil hi kya jisme apne majhi se milne ki arjoo na ho...
namumkin sahi phir bhi wasl ke khwahish mitana mumkin nahi...

-------------------------- 0314-5310052
mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#34

UFF YE MOHABBAT...............


Mohabat ke bina zindagi fizool hai
Par mahobat ke bhi aapne ussol hai
Kehte hai milti hai mohabbat mein bahut ulfaate
Par aap ho mehboob toh saab kubul hai...


Mat kar mere dost hasino se mohabbat
vo aankho se waar karti hain
maine inhi aankho se dekha hai
ki vo kitno se pyaar karti hain


Unki Mohabbat ke abhi nishaan baki hai,
Naam lab par hai aur jaan baki hai .
Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai,
Tasalli hai ki shakal ki pehchaan baki hai ...


Nazar ne nazar se mulaqat kar li,
rahe dono khamosh par baat karli…
Mohabbat ki fiza ko jab khush paya,
in aankhon ne roh roh ke barsaat kar li…


teri har ada mohabbat si lagti hai,
1 pal ki judaai muddat si lagti hai,
pehle nahi soch tha ab sochne lage hai hum,
jindagi k har lamho me teri zarurat si lagti hai


Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne,
afsos unhe hum par aitbar nahi,
mat pucho kya gujarti hai dil par,
jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi..

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#35

Toot kar chaha tha jisay wohi dhoka day jaye ga,
Bina kashti Kay musafir kesay sahil tak aaye ga.

Sukhay Patton ki tarah yun bikhar jaye gi zindagi apni,
Socha na tha yeah waqt humain is mor pa bhi laye ga.

Main NE chand ki tamana main,ginwa diye taaray bhi,
Is oonchi udan main kahan maloom tha kah kafila hi chod jaye ga.

Apni hi lagai aag main apna hi wajood jal jaye ga,
Kis ko khabar thi yeah waqt bhi hum pa aye ga.

Jub raigistan ki rait hi apna mukadar thi tu,
Kyon soocha hum nay kah hamain who mil jaye ga.

Apnay hi banaye jaal main shikari khud hi qaid ho jaye ga,
Koi yon bhi bhala apna mukadar likhwaye ga.

Zindagi tapti dhoop Kay tale yun hi chali ja rahi hai,
Kiya aab koi pani pilanay wala nahi aye ga....

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#36
Kabhi zindagi ko gale hum lagaate,
Kabhi zindagi ko bebasi se milaate,
Kabhi bebasi se hum khud ko chhupaate,
To kabhi kashmakash se hum darr bhi jaate,
Kabhi muskura ke bhi hum rote jaate,
To kabhi muskurana hi bhool jaate,
Darti sadaao se khamosh hain yeh nigahein,
Hairaan zindagi ke kadam dagmagaye,
Uljhan ke iss safar mein hai maayusi ke saaye,
Kismat se uljhan ke khud ko hum salate,
Taqdeer ke faislon mein dhondte dil ki baatein,
Chehra zindagi ka hum phir bhi naa dekh paate,
Apne hi aaine ke shishe bhi toot jaate,
Kitne adhure hain hum kami dhondte hain,
Chhoop kar haqiqat se sapno ko boondhte hain,
Zakhmon ko chhoopa ke dil mein chalte hi jaate,
Jite hain zindagi le ke hazaaron gam,
Hasrat hai kismat ke sitam,
Kho dete hain hum khushi ko,gam ko kho naa paate,
Kabhi zindagi se mil kar apna dard to bataate,
Bataane se pehle hi hum yoon hi tadap ke mar jaate,
Kabhi zindagi ko gale hum lagaate,
Kabhi zindagi ko bebasi se milaate
mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#37

Jidhar bhi dekhtaa hoon tanhaai nazar aati hai
aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai

main kaise karun gilaa dil ke zakhmon se huzoor
aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai

tod diye hain maine apne ghar ke saare aayine
meri rooh mera hi chehraa dekh ke darr jaati hai

ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein...
zara si na-muraadon ki tabiyaat sudhar jaati hai

asar karti yakeenan gar choo jaati unke dil ko lekin
afsos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai

maikade mein jab bhi zikr aata hai tere naam ka
shaam ki pee hui sar-e-shaam hi utar jaati hai

kabhi aa ke mere zakhmon se muqaabilaa to kar
ae khushi tu moonh chhuppaa ke kidhar jaati hai

tuje inhi kaanton pe chal ke jaana hoga
unke ghar ko bas yahi aik rehguzar jaati hai......

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#38

gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein,
jab tum mujhe dhundhoge aankhon mein nami hogi,
mehsoos tumhe hardam phir meri kami hogi,
gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein


aakash pe jab taare sangeet sunayenge,
beete hue lamhon ko ankhon mein sajayenge,
tanhaai ke sholon se, jab aag lagi hogi
mehsoos tumhe hardam phir meri kami hogi,
gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein.

sawan ki hawaon ka jab shor sunoge tum,
bikhre hue maazi ke auraaq chunoge tum,
mahaul ke chehre par dhool jami hogi,
mehsoos tumhe hardam phir meri kami hogi,
gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein


sawan ki hawaon ka jab shor sunoge tum,
bikhre hue maazi ke auraaq chunoge tum,
mahaul ke chehre par dhool jami hogi,
mehsoos tumhe hardam phir meri kami hogi,
gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein

gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein,
jab tum mujhe dhundhoge aankhon mein nami hogi,
mehsoos tumhe hardam phir meri kami hogi,
gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein

Iram..x thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#39
Hey khurram
really nice collection
reallly meaningful
-Iram
mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#40

Toot kar chaha tha jisay wohi dhoka day jaye ga,
Bina kashti Kay musafir kesay sahil tak aaye ga.

Sukhay Patton ki tarah yun bikhar jaye gi zindagi apni,
Socha na tha yeah waqt humain is mor pa bhi laye ga.

Main NE chand ki tamana main,ginwa diye taaray bhi,
Is oonchi udan main kahan maloom tha kah kafila hi chod jaye ga.

Apni hi lagai aag main apna hi wajood jal jaye ga,
Kis ko khabar thi yeah waqt bhi hum pa aye ga.

Jub raigistan ki rait hi apna mukadar thi tu,
Kyon soocha hum nay kah hamain who mil jaye ga.

Apnay hi banaye jaal main shikari khud hi qaid ho jaye ga,
Koi yon bhi bhala apna mukadar likhwaye ga.

Zindagi tapti dhoop Kay tale yun hi chali ja rahi hai,
Kiya aab koi pani pilanay wala nahi aye ga....

Edited by mkhurram2k7 - 15 years ago
Top