*~*Khurram's Collection*~* - Page 3

Created

Last reply

Replies

59

Views

6.2k

Users

3

Frequent Posters

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#21


Rangon Se Manoos Dil Ko Hona Chahiye
Taqaddus Rishton Ka Magar Dil Me Hona Chahiye

Saat Rangon Se Ye Duniya Sajti Nahi
Be Noor Sa Ek Rang Dil Me Hona Chahiye

Kiun Na Naaz Ho Mujhe Apni Dilbari Pe
Afsos Kuch To Tumhe Bhi Apni Qismat Pe Hona Chahiye

Saaton Aasman K Rang Peekhe Lagte Hein Abto
Kuch To Surkh Meri Aankhon Ko Ab Hona Chahiye

Ek Tum Hi To The Qareeb Khurram Ke Itna
Aise Dukh Ki Waja Logon Ko Bhi To Pata Hona Chahiye

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#22

Tera Apne Rukh Ko Gulaab Se Woh Sehlana
Aur Tere Husn Pe Gulaab Ka Who Sharmana

Kuch Palkon Ko Uthana Aur Kuch Nazron Ko Jhukana
Tere Labon Ki Ranai Aur Who Muskurana

Apni Chath Pe Bheth Kar Sochta Hoon Me Aksar
Kese Bhula Sakta Hoon Me Din Who Suhana

Aaj Bhi Yaad He Mujhe Who Rooh Ki Seraabi
Sharma Kar Tera Meri Baahon Me Who Simat Aana

Hosh Aaye To Mujhe Bhala Kese
Mere Sar Ko Sehla Kar Tera Who Khilkhilana

Iqrar Uski Aankhon Ka Aaj Bhi Yaad He khurram Mujhe
Kese Bhula Sakta Hoon Me Win Who Suhana
----------------
0314-5310052

sweety90 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#23

jal rahi hae shama ek shaam mein

kho rahi hae manzil ek aitbaar mein,

sochta kia hae ae humnashin,

zindagi kat rahi hae ek intezaar mein.

mr. khuraam. i really like ur collection. its the Best Best poettries i've ever read in my life. Good job. i like the " zindagi ka safar" one. its Awesome.
mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#24
Koi Naraz Hai Humse,
K Hum Kuch Likhte Nahi,
Kaha Se Laye Lafz Jab Wo Milte Nahi,
Dard Ki Zuban Hoti To Bata Dete,
Wo Zakhm Kaise Bataye Jo Dikhte Nahi..
mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#25

Jam wo hain jo bhar ke chalakta hain
Pyar wo hain jo aankhon se jhalakta hain,

Lehron ko kabhi na chupa payenge samundar
Roshni kabhi na chupegi shama ke ander,

Chehra khamosh aaeney main utarjayega,
Rang khushbu hawaon main bikhar jayega,

Phool wo hain jo mehkta hain
Pyar wo hain jo aakhon se jhalakta hain,

Pyar ki chahat ki nae roshni dikhaney
Aya hun main to dilon se nafrateyin mitane

Saari duniya se hum dosti nibhayenge
Pyar ka geet saari umar gun gunayenge,

Saaz wo hain jo nagmon per khanakta hain
Pyar wo hain jo aakhon main jhalakta hain

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#26

Tujhe ai bevafaa hum zindgi kaa aasraa samjhe,
Badey naadaan thay hum haaye samjhe bhi to kya samjhe,

Muhabbat mein hamein taqdeer ne dhokhe diye kya kya,
Jo dil kaa dard thaa iss dard ko dil ki davaa samjhe,

Hamari be-basi yeh keh rahi hai haaye ro ro ke,
Duboyaa usne kashti ko jise hum nakhudaa samjhe,

Kidhar jaayein ki is duniyaa mein koi bhi nahi apna,
Ussi ne bevafaai ki jise jaan-e-vafaa samjhe

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#27

Hum Teri Yaadon Ke Chirag Jalaye Bethe Hain,
Kabhi To Tum Zindagi Ki Haqeeqt Banogi,
Sochkar Palkon Mein Khwab Sajaye Bethe Hain!

Tumhare Saath Ke Lamhe Har Waqt Sata-te Hain,
Ab Tumhare Aane Ki Bus Aas Lagaye Bethe Hain,
Aankhon Mein Ashkon Ko Ab Rok Nahi Pate,
Ki Dil Ko Faraz Sambhale Huye Bethe Hain!

Kaash Tum Mere Dard-E-Dil Ko Samajh Paao,
Hum Jo Seene Mein Abhi Tak Dabaye Bethe Hain,
Par Who Jo Humse Dard Bayaan Nahi Karte,
Rehkar Khamosh Konsa Raaz Chhipaye Bethe Hain!

Khushi Bhale Thodi Is Par Dene Ke Liye Shukriya,
Paigam Tere Bheje Huye Seene Se Lagaye Bethe Hain,
Hai Ek Tasveer Bhi Nighahon Mein Teri,
Bus Ab Usiko Mann Ki Murat Banaye Bethe Hain!

Tujhe Yaad Karna Teri Raah Takna Hurdum,
Sab Bhulakar Ab Yeh Ek Naya Kaam Liye Bethe Hain,
Janta Hon Tujhe Paane Ka Anjaam-E-Naaz,
Phir Bhi Hum Naadan Tumhi Se Dil Lagaye bethe Hain..!!

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#28

Kitne din beet gaye hai dekho to sahi,
Kitne chiraag bujh gaye hai dekho to sahi,

Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya,
Khizaan ek bar phir aagayee hai dekho to sahi,

Kitni chahat se likhta tha main naam tumhara,
Wo kalam hi tod diya hai zara dekho to sahi,

Itni asaani se to milti nahi nafrat bhi lekin,
Tumne haasil sada pyar thukra diya dekho to sahi

Aana rokti hai mujhe har bar jhukne se magar,
Kitni bar tumne jhukaya hai dekho to sahi,

Faqeer bankar tere kuchay mein aakar,
Kitni aas se dekhte hai tumhe dekho to sahi..!!!

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#29

Tumhara Milna

tum jin say batain karti ho
tum jin say huns k milti ho
jo tum ko achay lagtay hoon

wohi mujh ko achy lagtay hain
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
jis bagh main subh ko jati ho
jis sabzay par tum chalti ho

jo shakh tumjin logon main tum rehti ho
hain choo jati hay
jo khushboo...tum ko bhati hay
wo os tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai

wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri rooh bhi shamil rehti hai

tum paas raho ya door raho
nazron main samai rehti ho
main tum ko takta rehta hoon
main tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#30

Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,

Jab mere dil ki duniya basaate nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida

Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,

Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,

Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,

Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida!!!

phle dil ko burai se kar pak tu
fir khuluse akeedat se kar justuzu

Aise sazdon se Allah milta nahi
Har jagah sir jhukane se kya faaida!!!


Lakh samjhaya tujhko a shameem
teri hushyari aakhir na kaam aa saki

Aankh milti gayi raaz khulte gaye
Ab hakeekat chhupanne se kya faaida

Bhulne wale se Koi kah de zara
is tarah yaad aane se kya faaida!!!

Top