*~*Khurram's Collection*~* - Page 2

Created

Last reply

Replies

59

Views

6.2k

Users

3

Frequent Posters

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#11

Bhrose ne bhi dokha de diya hume
to wafa se aasra kaise karein,

jab dhadkan ne hi dil ka saath chod diya
to saanson ki aarzu kaise karein,

palkon pe saja gaya wo hamaare diye judaai ke
ab aandhi se shikwa kaise karein,

kaha tha usne ki ek din laut ke aunga
ab waqt se gila kaise karein,

zindagi ki kashti beech samandar ataq gayi
jiyein bhi to kaise aur kaise hum marien.

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#12

AJNABI
chalo ek bar phir say ajnabi ban jaaen hum dono

na may tum say koi umeed rekhon dil nawazi ki,
na tum meri terf deekho galat andaz nazron say,

na mery dil ki dherkanen lerkharaen meri baton say,
na zaher ho tumari khashmakash ka raz nazron say,

chalo ek bar phir say ajnabi ban jaaen hum dono


tumhay bhi koi uljhan rokti hay paish qadmi say,
mujhay bhi log kehtay han kay ya jelway paray han,

mery hamrah bhi ruswaian han mery mazi ki,
tumaray sath guzri wi raton kay saay may,

chalo ek bar phir say ajnabi ban jaaen hum dono

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#13

tumko ham dil mei basa lengay tum aao tou sahi
sari dunya say chupa lengay tum aao tou sahi

aik wada karo aab ham say na bichrro gay kabhi
naaz ham saray utha lengay tum aao tou sahi

bewafa bhi ho sitamgar bhi jafapaysha bhi
ham khuda tumko bana lengay tum aao tou sahi

raah tareek hai aur door hai manzil lekin
dard ki shama jala lengay tum aao tou sahi

sari dunya say chupa lengay tum aao tou sahi
tumko ham dil mei basa lengay tum aao tou sahi

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#14

Tum meri wafaaon Ka sila Kyon Nahi Dete"
Ya phir meri saanso ko ghata kyon nahin Dete"?

Hai Khaak hui jal kar, hasrat e mohabbat,
Chingaariyon ko Bujhhti, hawa kyu nahi dete?

Jeene ka maqsad ab to, kuch bhi nahin baki,
marne ka bahana bhi bata kyun nahin dete?

Badhne laga hai dard andheroN sa zameen par
Tum ummeed-e-shama koi, jala kyon nahi dete?

Mujhe had se guzarne ka koi shauq nahi hai
meri had kya hai mujhko bata kyon nahi dete.

Rookhsat hui ja rahi hain khushiyan sabhi
Tum bachi hui aas ko bhi baha kyon nahin dete?

yadon ka dariya simat kar ek boond reh gaya hai,
is boond ko aankhon se baha kyon nahi dete.

ruk ruk ke subakne se to achha yahi hoga
ek baar hee jee bhur ke rula kyon nahi dete

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#15
Bheer Mein Rishtoon Ki Is Dil Ko Akela Dekha,
Zindagi Aisa Bhi Humnein Tera Chehra Dekha,
Ab To Band Hone Ki Aankhoon Ko Ijaazat Dede,
Barsoon Aankhoon Ne Tera Jaag Ke Rasta Dekha,
Gareebi Tujhe Kaise Main Na Kaatil Samjhoon,
Main Ne Hi Karte Tujhe Khoon-E-Tamanna Dekha,
Umr Bhar Saath Chale Phir Bhi Rahe Hum Tanha,
Hum Ne Kurbat Mein Bhi Ek Faasla Aisa Dekha,
Usne Bahoon Mein Sama Rakhhe The Darya Lekin,
Humne Saahil Ko Dekha To Woh Bhi Pyaasa Dekha !!!
mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#16

mujh say parda hai to phir khawab main aatay kion hoo
piyar ki shama maray dil main jalatay kion hoo

alwida kehnay ko aay ho to phir milna kaysa
hai bicharna too galay mujh ko lagatay kion hoo

dost hokay rakahy aasa zarore to nahi
dil hi jab mil na saka hath milatay kion hoo

na laga paoon gi main ilzam uspar logon
maray mujrim ko maray samnay latay kion hoo

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#17

Main Who Hoon Ke Aadmiyon Mein Insaan Dhoondh Ta Hoon
Main Who Hoon Ke Insanon Mein Insaniyat Dhoondh Ta Hoon


Main Who Hoon Ke Logon Mein Ikhlaq Dhoondh Ta Hoon
Main Who Hoon Ke Ikhlaq Mein Sachai Dhoondh Ta Hoon


Main Who Hoon Ke Doston Mein Shobat Dhoondh Ta Hoon
Main Who Hoon Ke Sohbat Mein Achai Dhoondh Ta Hoon


Main Who Hoon Ke Cheeney Hue Qehqeh Mein Siski Dhoondh Ta Hoon
Main Who Hoon Ke Churai Hui Khushi Mein Ranj Dhoondh Ta Hoon


Main Who Hoon Ke Mulkon Mein Itefaaq Dhoondh Ta Hoon
Main Who Hoon Ke Quomon Me Itehad Dhoondh Ta Hoon


Main Who Hoon Ke Mein Who Kafir Hoon Ke Sacha Mzhab Dhoondh Ta Hoon
Main Who Hoon Ke Mein Who Muslim Hoon Ke Apna Khuda Dhoondh Ta Hoon

Aaj Khurram Mein Phir Duaa Karta Hoon
Kaash Mil Jaye Mujhe Who Sab Kuch Jinko Mein Dhoondh Ta Hoon

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#18

Bharam Uski Nafrat Ka Aaj Aur Reh Jane Do
Ashkon Ko Aankhon Me Aaj Aur Reh Jane Do

Dharakhta To Dil Uska Bhi Hoga
Uski Be-Rukhi Ka Parda Aaj Aur Reh Jane Do

Bohat Hua Tamsha Bohat Jee Liye
Usko Mujh Se Ghafil Aaj Aur Reh Jane Do

Aaj To Raqeeb Bhi Mere Saare Khush Honge
Uske Chahney Walon Me Mera Naam Aaj Aur Reh Jane Do

Maaloom He Mujhe Uski Be-Niazi Ka Aalam
Mere Intizaar Ka Bharam Aaj Aur Reh Jane Do

Bas Aata Hi Hoga Qaasid Qaza Ka
Ye Darwaaza Khula Aaj Aur Reh Jaane Do

Kisi Ne To Kabhi Pukara Hoga Khurram
Who Baz-Gasht Hawa Me Aaj Aur Reh Jaane Do

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#19

Meri Sanson Me Basne Wale Kabhi Apni Sansen Rok Kar Dekh
Teri Sanson Me Khushboo Meri Rachi Hui He

Mujh Se Nazren Pherne Wale Kabhi Aankhen Band Kar Ke Soch
Tere Khayalon Me Pakeezgi Mere Pyaar Ki Basi Hui He

Mujhe Dil Se Nikal Ne Wale Kabhi Apne Dil Se Pooch
Tere Seene Me Dharkan Mere Dl Ki Basi Hui He

Mujhe Khudh Se Judaa Karne Wale Kabhi Khudh Se Mil Kar Dekh
Teri Zaat Me Hasti Meri Basi Hui He

So Saal Zindaa Rahoon Ek Pal Jee Na Sakoon Ga
Meri Sanson Me Zindagi Teri Khusiyon Ki Basi Hui He

khurram Arman Ye Dil Se Nikal Kar To Dekh
Khushi Kainaat Ki Har Shey Me Rachi Hui Hey

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#20

Band Ankhon Se Toote Khawab Ki Kirchen Bahar Aati Hen
Dil Ke Band Dareechon Se Kuch Sadayein Bahar Aati Hein

Logon Se Chupta Hoon Khilwat Dhoondh Ta Hoon
Tanhai Ke Aalam Me Mere Andar Se Kai Zaaten Bahar Aati Hein

Nam Meri Aankhen Yun Hi To Raha Nahi Karti
Yaadon Ke Dareechon Se Teri Baatein Bahar Aati Hein

Yaadein Teri Jo Dar-E-Dil Khatka Kar Chali Jaati Hein
Dharkanein Tujhe Dhoondh Ne Saari Seene Se Bahar Aati Hein

Mujhe Apno Ka Gham He Na Geron Ka Shikwa
Mere Jism Se Ye Roohein Kiun Nahi Bahar Aati Hein

Jeene Marne Ke Liye Itna Hi Kaafi He Khurram
Khabrein Uski Khair Ki Kabhi Kabhi Bahar Aati Hein

Top