*~*Khurram's Collection*~*

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#1


Meri Chahat Me Tum Khudh Ko Yun Na Jalaya Karo

Kuch To Apni Zaat Ki Bhi Parwa Kiya Karo

Tumhare Bagher Kaise Jee Sakta Hoon Me

Khudh Ko Is Haqeeqat Se Aashna Karo

Mujhe Manzoor Nahi Ye Shafqat-E-Pidri Bhi

Apne Naam Ke Aagey Koi Naam Na Lagaya Karo

Meri Yaad Me Agar Tum Ro To Ro

Magar Aankhon Me Apni Kajal Na Lagaya Karo

Manzoor Gar Nahi Tumhe Meri Rafaqat

Mujh Se Phir Mila Bhi Na Kiya Karo

khurram In Ashkbar Aankhon Ke Liye Koi Veerana Dhoondh Lo

Sar-E-Aam Ro Ro Kar Yun Meri Mohabbat Ko Ruswa Na Kiya Karo

Created

Last reply

Replies

59

Views

6.2k

Users

3

Frequent Posters

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#2

Sham-e-furst dhaly hm nahi chahty

Ghum se furst mily hm nahi chahty

Fir naya war sehne ko tayar hain

To preshan rahe hm nahi chahty

Aj aansu bahane sy mat roko

Aj barish thamy hm nahi chahty

Hm tery baad ujry hain to b theek hy

Ab kahi dil lgey hm nahi chahty

Tery Paikar ko hm dekhty rahein

To nazar se haty hm nahi chahty

Kis qadar dil nashin hy ye mojon ka shor

Ghum ka darya ruky hm nahi chahty

Iss qadar pyaar sy to pukara na kr

Aag dil ko lagy hm nahi chahty

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#3

Mausam ka ishaara hai abhi na jaaiye

Tod ke yoon dil humara, na jaaiye !

Bahaar ke rang ghule hain fizaaon main

Bahaar ke aanchal se uth kar na jaaiye !

Zamane ki gardishen ruk to nahin jayengi

Dunya ki khatir humko chorh ke na jaaiye !

Jaane se aapke rooth ke baithe hain hum

Ab humko manane ki khatir hi na jaaiye !

Aankhon ki chamak humse chupate hain aap kyun

Aarzuon ne li hain angdaaiyan, abhi na jaaiye

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#4

Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Chaandni raaton main hum tum mila karte the
Yunhi pehron baithkar baatain kiya karte the
Yaadon ka karb kar gaya aankhain ashkbaar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Bulaayen kis tarah tumko, kahan tum kho gaye
Jism tadapta hai yahan, rooh saath le gaye
Tees uthti hai, aur utar jaati hai dil ke paar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Ishq ko samjha ibaadat, kya yeh uski saza hai
Zindagi bhi to nahin, phir kya yeh qaza hai
Dil bekas aarzuon ka hai jeeta jaagta mazaar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar

Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar
-----------------
0314-5310052

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#5

Tere pyaar ne woh raag cheda dil ke soone taaron par
Zindagi lage khoobsurat, phir kyun na gungunaoon main

Masti bhari nigaahen jaane kya kya ishaara karti hain
Samjhoon tere ishaare, phir kyun na muskuraoon main

Dekhi hai woh deewangi tere ishq ke har andaaz main
Hai naaz uthaane wala koi, phir kyun na ithlaoon main

Yeh shokhiyaan teri, us par qayamat hai tera baankpan
Bebaak nigaahen teri hain, phir kyun na sharmaoon main

Saathi mera humdam hai, humraaz hai, mera humsafar
Tumsa na koi dunya main, phir kyun na vaari jaaoon main !!

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#6

Zindagi ka safar kaise katega ghamgeen ho ke,
Honton par phir se tabassum ko sajaya jaaye

Khwaabon main reh kar jeena nahin hai aasaan,
Zindagi ki haqeeqat chalo sab ko bataya jaaye

Jod len tukde dil ke, khushq kar len aansoo apne,
Dil pe lage zakhmon ko chalo ab miataya jaaye

Kya, jo na mile ek manzil, hain manzilain aur bhi
Ek naye safar pe chalo qadam badhaya jaaye !!

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#7

Banaya tha maali ne jo chaman badi chaah se
Kaisi giri ye barq, muskurata chaman jal gaya

Har paudhe ko seencha tha pyar ke ehsas se
Kyun khilta hua phool pairon se masal gaya

Ugta tha jahan muskurate hue suraj har roz
Wo suraj kyun waqt se pehle hai dhal gaya

Jo dil jude the ek doosre se ek anjani dor se
Ye kaunsa ehsaas aaj un dilon ko chhal gaya

Kahan gayi wo mohabbat jo ek doosre se thi
Aapas main kyun shak ka yeh teer chal gaya !!

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#8


Raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain,

Kyun nahin badalte dil jo taqdeerain badal jaati hain

Dil wohi rehta hai, yaadon ki anginat karchaiyaan le ke,

Aankhon ki nami chupa kar, nazrain badal jaati hain

Rooh rehti hai har lamha ashkbaar, lab hanste hain,

Bahar aur andar ki kis tarah fizaain badal jaati hain

Koi hota hai rafta rafta zindagi se door, bohot door

Haathon ki yeh lakeerain kyun aksar badal jaati hain !!

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#9

Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai

Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai

Lamha lamha guzar ke dafan ho raha hai seene main

Seh kar ye dard kuch ajab maza aane laga hai jeene main

Jaane yeh kis rehguzar pe qadam humne badhaaye hain

Jaana tha kis manzil par, jaane kis aor nikal hum aaye hain

Ek khalish hai dil ko ghere, ek ajab si khaamoshi chaayi hai

In chubhti tanhaaiyon main aaj yaad teri bohot aayi hai !!

mkhurram2k7 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#10
mai lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta,
iska matlab ye nahi meh ussey pyar nahi karta,
chahta hu mah use aaj bhi par,
usi soch meh apna waqt bekaar nahi karta,
tamasha na ban jaye kahi mohabbat meri,
isliye apne dard ko zahir nahi karta,
jo kuch mila hai usi meh khush hu meh,
uske liye khuda se takrar nahi karta,
par kuch toh baat hai uski fitrat meh zaalim,
warna use chahne ki khata baar baar nahi karta.....
Top