aslam ul alikm frnds hope u are all fine.main aik bat sy bohut paershan hon k hum log muslims ho kar b kafir bany hwy hain mainy pak main dekha hai k log Allah ko chod kar mazaron par ja kar unsy dwain mangty hai k yeh baba hmari dwa kabool karta hai kitny afsos ki bat hai k hum Allah ko chod kar kisi or sy dwa mangty hain toh phir hum main or kafir main kya farq reh gaya i hope yahan sary educated log hon gy or yeh shirk nh kart magar main ap logon sy discuss karna chahti hn agr koi Allah ko chod kar mary hwy logon ko apna wasila samhjhta hai toh bht ghalat hai
plz comment
agar koi yeh shirk karta hai toh plz abi tauba kar ley Allah bht raheem hai.plz jo log krty hain unko b samjhao k itna bada gunnah mat karo jis ki qayamat k din koi mafi nh or agr koi mjhy wahabi samhgy ya sunni main sirf muslim hn or muslim
1)Hazrat Muhammad (PBUH) ny farmaya Allah laanat kary yahood o nisara par k unhon ny apny nabion ki qabron ko sajda gah bana liya…
.2) hazrat Muhammad PBUH ny laanat farmai kabron par jani wali aurton(ladies) par,kabron par masjid banany walon par,or kabron par charagh roshan karny walon par….
3)nabi hazrat Muhammad PBUH ny farmaya tum sy pehly logon ny apny nabion or naik logon ki kabron ko sajda gah bana liya KHABAR DAR!! Tum unki tarha meri kabar ko sajda gah na bana lena…(jab hmary pyary nabi ki qabar par jana or unsy dwain mangana mana hai toh phir hum or logon ki kabron par ja kar dwa kyn mangein jin ka humain pta he nh wo jannat main gaye hain ya jahunum main)….
4)nabi hazrat Muhammad PBUH ny farmaya "tum meri kabar ko eid gah mat bana lena"…
ab QURAN sy apni bat sabi karma chahti hn.
1)QURAN MAIN ALLAH KA IRSHAD HAI"beshak jin ko tum Allah ko chod kar pukarty ho who tumhary jaisy bandy hain so agar tum sachy ho to tum inhain pukaro phir unko chahye k who tumhara jawab dain" ;SURAH Al-ARAF;…
2)or jin logon ko yeh log Allah k siwa pukarty hain woh unka kuch jawab nh dysakty ;surah Ahad;…
3)sirf isi Allah ko pukarny ka haq hai Allah k siwa jin hastiyon sy yeh dwa mangty hai who in ki dwaon ka koi jawab nh dy sakty in sy dwa mangna aisa hai jaisy koi shaks pani ki taraf hath phailaye takeh pani isk monh tak pohnch jaye halan k pani in tak pohnchny wala he nh isi tarha kafron ki dwain bekar hain….;surah rahad ayat 14;…
4)is shaks sy ziyada gumrah or kon hoga jo Allah ko chod kar in ko pukary jo qayamat tak in ka jawab nh dy sakty balky unko ink pukarny ki kahabr he na ho 'surah Al-aqaf ayat 15'….
5)jo log Allah ko chod kar dosro ko pukarty hai who kisi cheez k b khaliq nh balky who khud Allah ki makhloq hain or inhain itna b maloom nh k who kab uthaye jayen gy 'surah nahal ayah 20-21'…
6)Allah ko chod kar jin ko tum pukarty ho who aik tinky k b malik nh agar tum inko pukaro toh wo tumhari dwain sun nh sakty or agr sun lain toh unka jawab nh dy sakty or qayamat k roz tumhary shirk ka inkar kar dain gy 'surah fatir ayat no 14-150'…
7)tumhara rab(Allah) keht hai tum mjuhe he pukaro main tumhari dwa kabool karon ga 'surah momin ayt 60'…
8)aey nabi hazrat Muhammad pbuh jab mery bandy tum sy pochain k Allah dor hai ya paas toh in sey keh dena Allah ink paas hai jab koi dwa karny wala dwa karta hai toh isy Allah kabool karta hai 'surah bakra ayat 186'…
comment:
p_commentcount