Azaadi Special...come check it out :)

OnlyHope thumbnail
Anniversary 19 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#1

Helloooooooooo everyone!

Umeed hai aap sab log thik honge aur 14th ka besabri se intezar karrahe honge 😆

So on the occasion of Pakistan's 61st Independence, why not have our very own PSF Mushaira 😉

Well here's how it will go...

You can post shayari, ghazals, songs, nazams, etc...[serious/comedy] whichever you like.

Dekhte hain kaun is mehfil mein rang bharta hai...and jo sabse zyada is mehfil ki raunak ko barhayega he/she will be declared PSF's Ultimate Singer 😉


See ya soon..till then enjoy the game! I better see a lot of participation here
😳
PSF Dev. Team
Edited by fariha17 - 16 years ago

Created

Last reply

Replies

36

Views

4.7k

Users

9

Likes

1

Frequent Posters

nazeeei thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail Engager 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#2

Du'aa (Prayer) -- A nazm for Pakistan's Independence Day, 1967

aayeh hath uthein hum bhi
hum jinhein rusm-e du'aa yaad nahin
hum jinhein soz-e muhabat ke siwa
koi buth, koi khuda yaad nahin

aayeh urz guzarein keh nigar-e hustee
zehar-e imroz mein shirenya furda bhar de
wo jinhein taab-e garaan bary-a iyaam nahin
un ki pulkoon peh shaub-e roz ko hulka ker de

jin ki aankhoon ko roz-e subh ka yaara bhi nahin
un ki raatoon mein koi shuma munawar ker de
jin ke kadumoon ko kisi reh ka sahara bhi nahin
un nazroon peh koi raah ujagar ker de

jin ka deeN pariw-e kizb-o riya hai un ko
himet-e kufr mile, jurat-e tehqiq mile
jin ke sir muntazar-e tegh-e jafa hein un ko
dust-e qatil ko jatuk deenay ki taufiq mile

ishq ka sir-e nihaaN jaan tapaaN hai jis se
aaj iqrar karein aur tapish mit jaa'e
hurf-e haq dil mein khatakta hai jo kante ki turhaaN
aaj izhar karein aur khalish mit jaa'e

sweet_pakigirl thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#3
great topic!!!👏 I'll share my other shairs when i'm ready with it!
Azadi k din par meri dua hai k ALLAH ap ko Quaid ki akal,Iqbal ki shakal, Liaqat ki sherwani, Fatima ki jawani, Nehru ki chal or gandi ji k baal de
AZADI DAY MUBARAK!
Dua143 thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
#4
Independence a Precious gift of God.
May We Always Remain Independent Ameen


Dua143 thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
#5
If u r married please ignore this MSG,


For everyone else: Happy Independence Day

😆
irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#6
MERA PAKISTAN!
itr kii uud kii ambar kii saman kii Khushbuu
sab se bahatar hai magar us ke badan kii Khushbuu

ko_ii mausam ho havaa leke chalii aatii hai
duur pardes me.n bhii Khaak-e-vatan kii Khushbuu

chand lamhaat me.n kar detii hai subahe.n raushan
naat ki hamd ki puujaa ki bhajan kii Khushbuu

ab to rah rahke jalii laasho.n kii buu aatii hai
pahale aisii to na thii mere chaman kii Khushbuu

is ke har lafz me.n sau phuulo.n kii shaamil hai mahak
shaayarii apanii hai urduu ke dahan kii Khushbuu

jab kabhii gor-e-Gariibaa.N se guzar meraa huaa
mujh ko mahasuus hu_ii apane kafan kii Khushbuu

chaa.Ndanii raat fizaa sard havaa ke jho.nke
haaye vo TuuTate jismo.n kii thakan kii Khushbuu

us ne jab merii taraf Gaur se dekhaa "Manzoor"
bazmr me.n phailii raqiibaanaa jalan kii Khushbuu
irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#7


...................

HUMAY YE PAK SARZAMEEN DILAYI JISNAY.....
US BEMISAL QUAID KO MERA SALAM...

KHUWAB-E-IQBAL KO APNAY LAHO SAY BANAYA HAQIQAT..
UN SHAHIDON K PAK LAHO KO MERA SALAM..

JO MAAON BEHNON NAY SAHY ZULM-O-SITAM..
UN NAIK AURTON KI HIMMAT KO MERA SALAM...

JO BACHY BACHY NAY DIN HAIN QURBANIYAN..
US HAR BACHY K AZEEM BACHPAN KO MERA SALAM..

IS PAK SARZAMEEN NAY DIA NAHI KIA KUCH..
MERE IS PAAK WATAN KO HUM SAB KA SALAM
irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#8
TUJHE DEKHA TO YEH JANA WATAN,
PYAR HOTA HAI DEEWANA WATAN,
AB YAHA SE KAHA JAY HUM,
TERI BAHON MEIN MAR JAY AYE watan....
dil diya hay jaan bhi denge aye watan taray liyeh...😳
irtaza thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#9
Andhera hai to deepak jalaao,
Andhere main kya rakkha hai
Mohabbat karana hai to watan se karo,
Ladakiyon me kya rakkha ha
i......😛
wini thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 16 years ago
#10
Ae jazba-e-dil gar main chahoon,
manzil ke liye do gaam chaloon
aur saamnay manzil aaajaye
ae jazba-e-dil gar main chahoon

Ae dil ki khalish chal yun hi sahi,
uss waqt mujhay chonka dena
jab rang pai mehfil aaaajaye.

Ae rahbar-e-kamil chalnay ko ,
uss waqt mujhay bhatka dena
jab saamnay manzil aaajaye


Haan yaad mujhay tum kar lena,
iss rahay muhobbat mein koi
darpaish jo mushkil aaajaye


Ae jazba-e-dil gar main chahoon,
manzil ke liye do gaam chaloon
aur saamnay manzil aaajaye
ae jazba-e-dil gar main chahoon
Top