27th August 10 - Taani comes to Anurag's room while he was getting ready and shies away seeing Anurag without shirt
Anurag To Taani
'' Tu mujhse sharmane lagi hai ''
9th September 2010- Taani & Anurag wedding was announced in a party without Anurag's knowledge
Anurag to Taani
' I love you but I am not in love with you'
3rd November 10- Anurag is dishearten and loses confidences from himself
Taani to Anurag
'Duniya ke bade bade sach dekhe aur sune nahi, sirf mehsoos kie jaate hai'
1st February 2011- Anurag stops Taani from marrying Ritesh for him
Taani To Anurag
* '' Ek Hi Hai Anurag aur Taani ''
** " Taani hamesha Onu ki thi aur hamesha Onu ki hi rahegi "
17th January 2011- Robbie goes to meet Anurag in Jail
Anurag to Robbie
"Iss andhere main roshni hain Taani ki wajah, aaj main zinda hoo sirf Taani ki wajah se "
30th November 2010- Ananya comes to stop Anurag at station from stopping Taani to go
Anurag to Ananya
" Kyunki main Taani se pyaar karta hoo, haad se zyada pyaar karta hoo, iss duniya mein sabse zyada pyaar karta hoon "
17th January 2011- Nupur comes to Ritesh requesting him to prove Anurag innocent
Ritesh to Nupur
" Kya hain iss Anurag mein jo tum dono khoobsurat ladkiyan usk liye pagal horahi ho ".
4th February 2011- Anurag arranges surprise date for Taani
Anurag to Taani
" Main kahan chota mota Anurag "
12th November 2010- Taani thinking about Anurag and his success
Taani to her ownself
" Har aadmi ki kamiyabi k peechey kisi aurat ka haath hota hain, ONU k kamiyabi mein ye auda/jagah mujko milega "
11th November 2010- Taposh asks Anurag what can he give to Taani
Anurag to Taposh
" Jab mere paas paisa hoga na dada, apni baba k liye bhi bara ghar banaunga Taani k liye "
Anurag to Nupur
" Galti hogayi mujhse, galti hogayi, galti.. kyuki main pyar ke mainey nahi samjhta tha.. abb samajhgaya hoo, pyaar ka matlab ek doosrey ki akhon mein akhey daalker dekhna nahi hota, pyaar ka matlab hai ek disha mein dekhna.. pyaar ka matlab dou kaaptey hue haath ek doosrey ke haato mein woh nahi hota, pyaar ka matlab hota hain ek kaaptey hue haath ko doosra insaan sahara dey, sambhaley ussey.. pyaar ka matlab ek doosrey ko apnana nahi hota , pyaar ka matlab hota hai ek doosrey ki galtiyo ko apnana.."
1st November 2010- Shekhar comes to Laboni's house
Anurag to Shekhar
** "Baba jab apne mujhko ghar se nikala tha, i hated u. bohot gussa aya tha, bohot bura lagatha mujhe.. lekin abb lagta hai k apney jo kiya sahi kiya ..ek tarikey se ahsan kiya mujhpe, kyuki baba jab inasaan akela hota hain usko tabhi pataa chalta hain k woh kitna strong hota hain.. Main akela nahi hoo Baba, mere saath meri strentgh, meri taakat Taani hain.. Aagaar zindagi ki kisi bhi mod pe main gira, mujhe pata hai ki koi ho na ho, lekin Taani mere pichey humesha rahegi "...
25th October 2010- Anurag says Sorry to Taani
Taani to Anurag
" Maaf kardiya, aur promis kar k aaj k baad aise koi harkaat nahi karega, aur humesha mera pehle wala Anurag bankar rahega.. aur main vazaan baraney ki baat nahi karrahi hoo, tere behaviour ki baat karrahi hoo.. Promise ? "
7th March 2011- Taani talks about Onu and herself to Warden Aunty
Taani to Warden aunty
" woh haasi aaj bhi meri kaano mein gunjti hain, woh haasi mein kitni umeedey, kitni masoomiyat thi.. Umeedey iss baat k abb humarey zindagi mein kuch galat nahi hoga.. par woh haasi humari zindagi k akhri haasi sabit huyi.. kehtey hain k jab diya bujhnewala hota hai toh tab uski lou aur bari hojati hain , humari saath bhi yehi hua. "
23rd November 2010- Ananya tries to poison Anurag's mind against Taani
Ananya to Anurag
" ek baat bataa ONU, ek khoobsurat ladki kyu ek motey se pyaar karegi "
11th September 2010- Neelu talks to Anurag about Taani
Anurag to Neelu
" Maa agar mere tootney se Taani k aasu kaam hojatey hain tou main tootney k liye taiyyar hoo... agar mere barbad honese laboni maa ko khushi milti hain tou main taiyyar hoo maa.. Taani se pyar karta hoo maa, aur uskey pyaar mein main mitt sakta hoo "
13th September 2010- Anurag comes to Laboni's house
Anurag to Laboni maa
" Aap Taani liye ladka dhoondna chahti hain na maa, main dhoondoonga usk liye ladka.. Jiska ghar mere ghar se bara hoga, jiski karobar, jisk hesiyat mere se bara hoga maa.. lekin woh ladka aisa bhi hoga jo Taani ko bohot pyaar karega, uski ankho mein kabhi aasu nahi anedega , uski haar sapney ko, haar khushiyon ko pura karega. "
10th December 2010- Taani and Anurag meet at waterfall
Anurag to Taani
" Taani mujhe nahi pata, mujhe nahi pata k zindagi humko konsi mod pe le jayegi.. Hum saath hongey ya nahi.. Main zindagi bhar saath rehna chahta hoon par zindagi ka koi bharosa nahi .. lekin main tujhse waada karta hoo, zindagi mein jab bhi tujhe meri zarurat hogi, main tere paas hounga.. tere saath hounga, humesha .. "
11th October 2010- Taani talks to Anurag
Taani to Anurag
"Bachpan se aaj tak joh bhi kiya hai, woh sirf tere liye"
"Tune jo kiya woh mere liye kiya aur maine jo kiya vo tere liye."
9th November 2010- Anurag sells his watch to get Taani's chain
Anurag to himself
"Mere liye Taani ki muskurahat se badh kar kuch nahin hai"
24th Septmeber 2010- Taani gets upset with Onu for trying to find groom for her
Taani to Anurag
" Kitni baar , kitni baar main tumhe ek hi chiz samjhati rahungi Anurag ?.. Mr. Anurag Ganguly, akhri baar tumhare samne haat jorti hoo, mujhe meri zindagi jeeney dou, uska khilwar maat banao.. ek taraf meri maa hain jo apna challenge lekey bethi hain, doosri taraf tum ho, tumhari dosti hain, uski zidd hain aur tumhari guilt.. tum sabb yehi chahtey ho na, k meri shaadi hojaye, kyuki meri shaadi k peechey, tum saabka apna apna swarth hain, apna apna guilt hain.. kyu tum mujhe jeeney nahi detey, kyu mazak banakar rakha hua hain, hazaar baar samjha chuki hoo aur aaj akhri baar bolrahi hoo Anurag maat karo aisa, mere saath jo horaha hain na honey do.. aapni zindagi ka faisla main khud lesakti hoo, tumhe uspe parney ki koi zarurat nahi, tum apni zindagi pe dhyan dou.. one and all apni dimag mein ye bethalo k mujhe shaadi nahi karni hain.. who kitna bhi acha ladka ho.. par woh who ladka.. Anurag who who ladka nahi hain jiskey saath main shaadi karma chahti hoo.. aur ek aur baat, agar tu mjhkko dard mein nahi dekhsakta hain, meri takleev tujhse bardasht nahi hoti hain na tou chala jaa yahase, door chala ja.. "
24th November 2010- Anurag blasts Taani for hiding Nupur's truth of going away and because of her closeness to Subodh
Anurag to Taani
Taani main tujhse kuch poochna chahta hoo, main chahta hoo k tu uska sach sach jawaab de.. tu job hi jawab degi who mera sach hoga, main uspar palat kar koi bhi sawal nahi karunga.. kyuki aaj bhi main tujhpar vishwas karta hoo, pooja karta hoo teri.. mujhe poora yakeen hain, tu mujhse kabhi kuch nahi chupayegi, kabhi jhoot nahi bolegi mujhse.. Jab nupur mujhe chor kar gayi thi, tou kya tujhe paata tha k who mujhe chorkaar jaaney wali hain ?. Taani main tujhse kuch poochraha hoo, kya tujhe paata tha k who mujhe chor kaar janeywali hai ? matlab tujhe paata tha, aur tune mujhe nahi bataya ??. Taani itni bari baat tune mujhse chupakar rakhi ?.. kyu Taani ??.. kyu kiya tune aisa ??.. main tujhpe aapney aap se zyada vishwas karta hoo, tunmey mera vishwas nahi , tuney mujhe tordiya.. jab nupur mujhe chorkar gayi thi tab bhi itni takleev nahi huyi jitni aaj, aaj horahi hain.. kyu kiya tuney mere saath aisa, kyu kiya ??... main janta hoo tuney ye saab kiya aapney khud k liye.. Taani agar pyaar k liye kiya hota na tou main tujhe maaf kardeta, lekin tuney ye pyaar k liye nahi kiya, tuney shekar ganguly ki betey anurag ganguly ko paaney k liye kiya ye saab.. main tujhe kabhi maaf nahi karunga.. jab nupur mujhe chorkaar gayi, tab mujhe laaga tha k tuney mera saath diya, saath nahi diya tha tuney mera, who tera swarth tha, tu chahti thi ki who chali jaye, tu chahti thi ki who jaye aur tu meri zindagi mein wapas aye, tu chahti, I hate, I hate doing this, lekin yehi sach hain..tuney sirf mera isthamal kiya tuney mera saath tabtak diya jabtak mere paas paisa tha, mera haath tabtak pakarkar rakha jabtak tere paas umeed thi k main paise kaama paunga, aur jab who umeed margayi, u moved on, tu mujhe chorkar who subod k paas chali gayi.. jab dekho, jidhar dekho, subot taani subodh taani, jaha dekho subodh taani subodh taani, tumlog haar jagah saath saath hotey hou, mujhse jhoot bol bol kart u ussey milti hain.. Mujhe kyu takleev horahi hain ??.. I m sorry, I m sorry, my bad.. main tujhse aise kaise baat kar sakta hoo, ye tera personal mamla hoga na ??..i m sorry.. KOn hoot era, dost??.. jab nupur mujhe chorkar gayi thi, tab tune mera saath diya tha, kon hoo main tera dost ?.. aaj subodh k baarey mein tujhse pooch nahi sakta kon hoo main tera, dost ??.. jab nupur mujhe chorkar jarahi hi, tujhe pata, tha, tuney mujhe batay nahi aur ussey janey diya, kon hoo main tera ??.. Dost ??.. uss waqt jab mere paas paisa tha, tab mujhey dost se zyada banana chahti thi, aur jab aaj mere paas paisa nahi hain tou, kon hoo main tera dost ??..jab mere paas paisa tha, tab tuney nupur ko mujuhse doour kardiya, aur aaj jab mere paas paisa nahi hain, tu mujhe chorkar subodh k paas jarahi hain, kyu, kon hoo main tera..??.. Dosttt ??.. kya rishta hain humara, kon hoo main tera, dostt ??.. kyu tujhse itni lagaav hain ??..kon hoo mai teraa ??.. jab nupur mujhe chorkar gayi thi, mujhe aisa laga ki mere sharer ka ek hissa tootgaya.. lekin aaj , aaj mujhe laagta hain k meri aatma, mujhe chorkar chali gayi hain.. Nupur ne mujhe zakhmi kiya tha, tune mujhe maardala, maardala.. jaa taani jaa, jeeley apni zindagi, apni khushiya subodh k saath.. main dua karunga, k zindagi mein, kabhi koi takleev kabhi koi pareshaani na, aye.. meri, haar saans, haar aas, haar jaasbaat, aaj bhi sirf tere liye.. jaa taani jaa, main chorta hoo tujhe, aur terey saath, apni duniya chorta hoo. "
6th December 2010- Anurag proposes Taani
Anurag to Taani
" Socha tha, jab tujhse ye baat kahunga, haato mein phool hongey, romantic jagah hogi aur humdono akeley hongey' sahi maukey ka intezar karraha tha lekin, sahi mauka kabhi aya hi nahi..pehli baar tujhe bolna chata tha tout ere akhon mein aasu the, doosri baar bhir bhara station tha aur aaj jab finally ye baat bola tou iss sunsaan si sadak pe, apney sabse badey dushmaan k samney.. aaj samajhmei aya taani, sahi mauka nahi hota hain, baat sahi hota hain, aur baat sahi hota hain tou, mauka aapney aap sahi hojata hain..
Kehtey hain sabse paak jaasbaato ko hoton pe anekey liye bohot waqt lagta hain, aur ekbaar jab who hoton pe ajaatey hain tou unsey bara saach aur kuch nahi hota..mujhe bhi bohot waqt laggaya taani, pehle ehsaas, honemey, aur phir uss ehsaas ko pehchanney mein.. aur sabse zyada waqt tujhe ye baat baataney mein.. yehi mera saach hain taani..meri haqeeqat yehi hai taani, main tujhse pyaar karta hoo.. maine phir se wahi kaardiya na, tujhe sabse bari khushi deni chahi, aur phirse teri ankhon mein aasu dediye hain "'
4th November 10- Shekhar accuses Laboni and Taani
Anurag to Shekhar
" Baba aap shayad bhulrahey hain k ye aapke baudi hain.. lekin ye maat bhuliye k ye meri laboni maa hain.. aap iss ghar mei akey mujhe jo chahiye bollijiye, lekin laboni maa aur taani k khilaaf ek lavz bhi nahi bolenegy aap.. aap nupur ki baat karrahey hain ??.. nupur se maine jee jaan se pyaar kiya, aapney aap se zyada apni zindagui se zyada ussey pyar kiya.. lekin nupur ne mujhse kabhi pyar kiy hi nahi.. maine apney aap ko badaldiya uskey liye.. sabkuch chorne k liye taiyyar thga uskey liye, apna ghar, apna p[arivaar sabkuch chorkey america jaaney ko taiyyar tha, lekin woh mere lkiye kuch bhi chorneko taiyaar nahi thi.. mujhe chorkar jaaney se pehle ekbaar sochatak nahi usney.. aap nupur ki baat karrahey hain ?.. nupur agar chahey bhi tou bhi kabhi taani jaisi nahi bansakti.. baba taani ne mujhe tab support kiya jab mere paas kuch nahi tha, tab mera saath diya jab nupur mujhe chorkar chaligayi thi.. baba maine taani se kabhi pyar nahi kiya aur usney mere ilava kabhi kis aur se pyar nahi kiya.. taani ko har mod pe maine sirf dukh aur takleev diye hain, aur usney har mod pe mujhe sambhala hain.. aapney mujhe ghar se nikal k bahar phekdiya, mujhpe vishwas nahi kiya, taani ne mujhpe mujhse zyada vishwas kiya hain baba.. aur aap nupur ki baat karrahey hain.. areey nupur kuch nahi hai taani k saamney, nupur mera pyar thi, taani meri vishwas hain, meri yakeen hain, meri saachi, meri apni, mera sahara hain.. aur baba yakeen, viashwas aur saharey k saamney pyaar kuch bhi nahi hota.."
Dialogue Collection- Sundas
Creations- Sugi & Siddhi
Compiling, Editing & help- Ashlesha & Kalindi
Edited by manasi_31 - 11 years ago
comment:
p_commentcount