Posted:
Hey guys!!! I'm back with an OS...I know that I haven't updated my FFs since long pr kya kru yr jb jb update likhne ka try krti kuch na kuch problem ho jati hai...But I'll try to update them very soon...Well this is the first time that I'm writing an OS and that too in hindi this time...And I wanna say one more thing that this story isn't mine I used to listen a radio program Yaadon Ka Idiot Box with Nilesh Misra every night in which that anchor narrates stories written by different writers...So this is one of them...Bht bakwas ho gai ab to hihihihihihi...So here it goes...
Yeh kahani tab se shuru hoti hai jab Kabir 15 saal baad wapas Yaad sheher lauta hai.
.. Pr is bar ek officer banke...Use yaha ke railway station pe Station Master ki post jo mili thi...Bohot se sapne apni ankho mein chhupaye vo kai saal baad aj Yaad sheher wapis a raha tha... Bohot se sawal aur kashmakash chal rahi thi uske mann mein kabir ne 15 saal pehle yaad sheher tb chhod diya tha jab uske Papa ki death ho gai thi...Tab 12th class mein tha kabir...Use uski bua ke ghar bhej diya gaya aagey ki padhai puri krne ke liye...Pehle toh uske sbse pyaare dost uske PAPA usse dur ho gaye aur phir WOH...Aur phir kuch saal baad MAA ki bhi death ho gai toh kabir bilkul akela pd gya...Bohot dhundne ki koshish kari thi kabir ne USEY pr voh phir kabhi kabir ko dubara nahi mili...Aur phir kabir ko Yaad sheher chhod ke jana pada...Pr uski yaadein aj bhi kabir ke mann mein taza thi...Kya krta use yaad krne k siva koi aur rasta bhi toh nahi tha kabir ke paas...15 saal ho gye the kabir ko usse mile pr aj bhi kabir usse utna hi pyaar krta tha jitna ki 15 saal pehle kiya krta tha jab voh dono school mein the...
Train se utarte hi kabir ne apne aas paas dekha inn 15 saalo mein sb kuch badal gaya tha Yaad sheher ka voh chota sa station ab bohot modernized ho gaya tha aj kabir ko apna sheher bhi kuch paraya sa lg rha tha...
Kabir station se sidhe apne purane ghar chla gaya voh ghar jahan kabhi uska bachpan guzra tha...Woh ghar jisse uski bohot si yaadein judi hui thi...Andar ghuste hi kabir ka pura bachpan jese uske samne tha...Khidki ke paas baith ke PAPA ka akhbar padhna... Kitchen mein MAA ka khana bnana... Aur kabir ka pure din bs khelte rehna...Pure ghar mein daudna...Aur phir MAA se daant khana "kabir kitni baar samjhayein...Tumhe chot lg jayegi...Ab chhatt se neeche aao tum tabhi tumhe batate hain... Aur humesha ki trha PAPA ka uski tarafdari krna "Arey kyu use itna daant rahi ho bachha hai...Aur abhi nahi khelega toh kab khelega...Aur agar girega nahi toh sambhalna kaise sikhega"
"Sahab apka saaman andar kamre mein rakh diya hai" chotu bola...Aur kabir apni yaadon se bahar nikla...Usne chotu ko shukriya kaha aur apne kamre mein chla gya...Aj kitna suuna lg rha tha yeh ghar...Koi daantne wala nahi...Koi chillane wala nahi...Ek dum shant...Kabir ka pura din bs apna bachpan yaad krte hi nikl gaya...
Agle din kabir subah subah hi station pohoch gaya kyuki uske paas kuch aur tha hi nahi krne ko...Aur agar ghar pr rehta toh MAA-PAPA ki yaad usey bohot pareshan krti... Jaise taise toh uski raat kati thi uss ghar mein...
Kabir ka pehla din tha aj aur pura din kaam mein hi nikal gaya use kuch aur sochne ka waqt hi nahi mila...Yeh sheher kitna bhi badal gaya ho...Kitna bhi modernise ho gaya ho lekin yaha ke log aj bhi utne hi acche hain jitne ki 15 saal pehle hua krte the...Itne sidhe sadhe ekdum saral aur sabki madad krne wale...
Kab sbke sath kabir ka din kat gaya use pta hi nahi chla...jb raat ho gai aur peon Raamu ghar jaane ke liye kabir ko poochne aya tab kabir ki nazar ghadi pr padi 11 bj rhe the..."sahab ab main jau?" Raamu ne poochha aur kabir ne apna sr hila diya..."sahab ap bhi ghar kyu nahi chale jaate ab kafi raat ho gai hai..."
"Nahi tum jao mujhe kuch kaam khatam krna hai"kabir ne jawab diya...Jabki sach toh yeh tha ke kabir dubara uss ghr nahi jana chahta tha...
Raamu ke jaane ke baad kabir ne 3 din purana akhbar nikala aur use pdhne lga...Usey kch ajeeb sa lga to vo bahar taazi hawa ke liye aya...Tab uski nazar paas ki bench pr baithi ek ladki pr padi...Raat ka 1 bj raha tha pure station pr koi nahi tha aur vo ladki akele baithi hui thi...
Kabir roshni kam hone ki wajah se use thik se nahi dekh pa rha tha phir kabir thoda aagey bdha aur usne uss ladki ko pehchan liya...Woh koi aur nahi balki ANANYA thi...Kabir ko yakeen nahi ho raha tha ki Ananya uske saamne baithi thi...Pure 15 saal baad jo dekh raha tha use...
Vo simple si...Pyaari si dikhne wali ladki aj uss hare rang ke suit me bahot hi khubsurat lag rahi thi...Uske lambe baal...Bhuri ankhein...Gulabi hoth sab bohot hi khubsurat tha...Kabir kuch der usey dekhta raha...Phir uska mann hua ke voh Ananya ke paas jaye usse baat kre...Pr himmat nahi hui...Kahi usne mujhe galat samjha toh..? Kahi usne mujhe pehchanne se hi inkaar kr diya toh..? Iss trha ke kai sawal kabir ke mann mein uth rahe the...Aur woh wapas apne office mein aa kr baith gaya...Ab kabir ke samne Ananya toh nahi thi lekin uska khayal zarur tha...
Kabir ne usey pehli baar tab dekha tha jab voh uske college ke thoda aagey wale girls college mein padhti thi...Aur usi din usse pyaar ho gaya tha...Kabir ke dost ki Trisha ki dost thi Ananya...Kabir ke bohot kehne pr Trisha ne unn dono ko ek baar college ke bahar hi milwaya tha...Tab "Hello" se zyada aur kuch nahi bol paya tha kabir...Uskey baad jab bhi Ananya use dikhti thi kabir usey dekh ke muskura deta tha...Aur Ananya bhi khush ho ke dur se hi haath hila deti thi...Kabir roz jaldi uth ke Ananya ke rikshe ka intazar krta tha aur jab vo aa jati tabhi uske pichhe pichhe apni cycle se chal deta tha...Apna last period bunk kr ke girls college ke bahar khada ho jata tha isshi intazar mein ki usey Ananya ko dekhne ko mil jayega...Kai baar teacher se maar lgne ke baad bhi kabir roz last period bunk krta tha akhir mohobbat ka sawal tha...Kuch din baad papa ki death ho gai aur kabir college nahi gaya...jab vo college gaya toh girls college ke bahar usne bohot dhundne ki koshish kari lekin use Ananya nahi dikhi...Phir boards shuru ho gaye aur unke khatam hote hi kabir ko bua ke paas bhej diya gaya...Ananya se dur...Bohot dur...
Pr aaj Ananya uske samne thi...Aur use phir se khi dene ka darr kabir ko khaye ja raha tha...Himmat kr ke kabir utha aur bahar gaya Ananya abhi tk usi bench pr baithi thi...Kabir uske paas gaya aur himmat kr k bola..."kya main apka ticket dekh skta hu please" Ananya ne kabir ki taraf dekha aur phir apne bag se ticket nikal ke kabir ko de diya...Pr kabir ki nazrein ticket pr kam aur Ananya pr zyada thi..."aise kya dekh rahe ho mujhe?" Ananya boli..."tum Ananya ho na?" "Haan tumhe kaise pta?" Ananya ne puchha..."Main woh boys college wala Kabir hu Trisha ke bhai ka dost...Trisha ne hume milwaya tha ek baar" "Ohh haan yaad aya" Ananya thoda sochte hue boli..."tum yaha kya kr rahe ho? Mera matlab kafi saalo se tumhe dekha nahi tha yaha tum toh kahi bahar chale gaye the na?" "Haan kl hi aya hu...Station Master appoint hua hu yaha..." "Ohhh...Acchaa mujhe toh lga tha tumhari zindagi girls college ke bahar hi kategi"Ananya haste hue boli... Kabir bhi nazre chura ke hass diya... "Wese tum itni raat ko yaha kya kr rahi ho?" "Apne hone wale pati ka intzaar..." Uss ek jawab mein jese kabir ki duniya hi ujad gai thi use samajh nahi aa rha tha ke bhagwaan uske sath aisa kyu kr rha hai...Jiss ldki se vo 16 saal se pyaar krta tha vo use aj mili thi pr apne hone wale pati ka intazar krti hui..."Pta hai vo bohot acche hain...Main unse pehli baar university mein mili thi...Aur tabhi se unse pyaar ho gya...Woh bhi mujhse bohot pyaar krte hain...Vo toh university ke hero the...Dancing star..." Jaise jaise Ananya apne hone wale pati ki tareef kr rahi thi kabir ka dil toote ja raha tha...Bohot himmat kr ke kabir ne kaha "arey aisa kaisa ladka hai yaar time dekho raat ka 1 bj raha hai...Aur vo hai ki tumse intazar kra rha hai...Use to tumhari chinta bhi nahi hai...Aur woh tumse pyaar nahi krta hai...Arey yeh nachne gaane wale ladke aise hi hote hain...Pta nahi kitni girlfriends hoti hain inki...Agar main tumhara hone wala pati hota na toh tumhe bilkul bhi intazar nahi krata.." Kabir bs bole hi ja raha tha bina ruke...Vo bs Ananya ko uske home wale pati ke khilaf bhadkana chah raha tha pr Ananya gussa ho kr boli "tum kaun hote ho unke baare mein kuch bhi kehne wale??" "Arey main ladka hu mujhe pta hai ladke kaise hote hain..." "Accha aur woh ladke bohot acche hote hain jo girls college ke bahar khade ho k ladkiyo ko dekhte hain" "Arey voh to bachpan ki baat thi yaar ab main bilkul bhi waisa nahi hu sacchiii..." Kabir bs chahta tha ki Ananya uski baaton pr wishwas kr le..."Ananya I love u...Tab se pyaar krta hu tumse jb se tumhe pehli baar dekha tha..Main tumse shadi krna chahta hu...Tumhare sath zindagi bitana chahta hu..." "Kabir meri shadi hone wali hai" "pr Ananya vo tumse pyaar nahi krta hai"dono chup ho gaye...Phir kuchh sochte hue Ananya boli "thik hai tum mujhse pyaar krte ho na?" "Haan" "Toh tum mere liye kuchh bhi kr skte ho?" "Haan Ananya" "toh thik hai abhi inn patriyon pe kud kr apni jaan de do" kabir soch mein pad gaya...Abhi tk jiss ladki pe vo apni jaan nichhavar krne ki soch rha tha usne to sach mein uski jaan hi maang li thi...Kuch sochta hua kabir bola "jaan toh main de deta pr mujhe toh tumhare sath apni aane wali zindagi bitani hai tumhare sath ghar basana hai...Tumhare sath rehna hai" Ananya hasi aur boli "agar mere sath rehna hai toh phir jaan toh deni padegi" "yeh kaisi baatein kr rahi ho tum dekho mazak mt kro...Yeh kya baat hui ki tumhare sath rehna hai toh jaan deni padegi?" "Shayad tumne thik se mera ticket dekha nahi kabir uspe 3 din pehle ki taarikh padi hai" kabir ne ticket dekha toh ispe sach mein din din pehle ki date pdi thi..."tumne sahi kaha kabir ye nachne gaane wale ladke aise hi hote hain...In pr kabhi wishwas krna hi nahi chahiye...University khatam hone ke 5 saal baad tk hum apne ghar waalo ko manate rahe lekin vo log humari shadi ke liye nahi maane...Phir hum dono ne bhaag ke shadi krne ka faisla kiya...Main uske liye ghr se bhaag kr aayi...Puri raat uska intzaar krti rahi pr vo nahi ayaa...kese ghar wapas jaati main...Maa papa ko kese face krti...Maine inhi patriyon pe kud kr jaan de di" kabir sann reh gya uski samajh nahi aa rha tha ke vo kahe to kya kahe..."agr tumhe mere sath rehna hai to jaan to deni padegi"Ananya boli..."Sahab sahab"Raamu bola aur kabir ki ankh khuli...Kabir ghabra kr utha aur bola"woh ladki kaha gai??" "Konsi ladki sahab??" "Wahi ladki jisne 3 din pehle yaha apni jaan di thi" "arey sahab ap bhi kis chakkar mein pd gye vo to mar chuki haina...Ap teen din pehle ka akhbaar padh rhe the isliye apko sapna aya hoga...Subah ho chuki hai sahab"
Bss itni si thi yeh kahani...
comment:
p_commentcount