OS Zindagi Ek baar phir 3rd part pg 7 updated - Page 4

Created

Last reply

Replies

63

Views

8.7k

Users

20

Likes

93

Frequent Posters

tingding thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#31

Originally posted by: rabzonedge


Wats TS?? Three shots... means i ll write next two part of same story...



Yes please try to do this. I absolutely loved your writing style. Maybe some more of the developing relation b/w the two, Ananya's path to happiness and KAYA journey of love.
BedouinMe thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#32
This concept is really refreshing ! Tables turned ! Great idea ! Please try and continue if possible.. :)
elrein_2046 thumbnail
Group Promotion 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#33

Originally posted by: tingding



Yes please try to do this. I absolutely loved your writing style. Maybe some more of the developing relation b/w the two, Ananya's path to happiness and KAYA journey of love.


Yess plezz do if possible 😊
rabzonedge thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#34

Originally posted by: tingding



Yes please try to do this. I absolutely loved your writing style. Maybe some more of the developing relation b/w the two, Ananya's path to happiness and KAYA journey of love.


Thanks a lot dear... i m sure writing next part of this OS... 😃
rabzonedge thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#35

Originally posted by: BedouinMe

This concept is really refreshing ! Tables turned ! Great idea ! Please try and continue if possible.. :)


Thanks dear yes sure ll write 😳
rabzonedge thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#36

Originally posted by: elrein_2046


Yess plezz do if possible 😊


Yes dear...thanks for encouragemnt 😳
rabzonedge thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#37

Zindagi ek baar phir part 2

Kabir ne Ananya ko jakad liya tha kas ke...Ananya ne kuch der baad apne ko kabir se alag kiya...
"Better feel kar rahi ho Ananya??"
Ananya ne haan me sar hilaya... "Raat kafi ho gayi hai...chalo ghar chalo" Kabir ne Ananya ke balon ko sehlate huye kaha...
"Kabir... mere andar ek bechaini hai... mujhe kehne do" Ananya ka rona ruk gaya tha par uska man shaant nahi tha..
"Haan kaho... "
"Raste mein nahi Kabir... ye baat kahin beth kar karni hai... "
"Phir kahan karein ye baat...??"
"Mere ghar chalo..."
"Thik hai Ananya"
Car Kabir drive kar raha tha...Ananya shant bethi window se bahar dekh rahi thi...andhera uske andar bhi tha aur bahar bhi...uska man soch me doob gaya ...
'Janti hoon mai...samajhti bhi hoon..insaan ko dusri baar phir se jeene ka mauka bahut kam milta hai...salon se bereham rahi zindagi ko mujhpar reham aa raha hai...kabir mari huyi meri aatma ko jeevit karne wala amrit hai...wo mere har dard ko khud me samet lena chahta hai...uski aankhein meri sari chipayi tadap, ghutan ko pehchanti hai. .. sadiyo se banjar(barren) pari meri dharti(land) par aaj boondein barsi hai... kuch dino baad kaupalein(seed) phuteingi(germinate)...phool khilenge...jhumenge...kabir ka sath umr bhar rahega... isse jyada kya chahiye mujhe??... par meri ye soch sahi nahi hai... apni zindagi sawarne ke liye...kya mai swarth(selfish) ki uss seema tak nahi ja rahi... jahan se mai khud ki nazro mein gir jaaoongi?? Mujhe wo sari khushiyaan dikh rahi hai jo kabir mujhe dega... par unn khushiyo ka kya..jin par kabir ka haq hai?? Mere andar kuch nahi bacha hai... mai uske aakanshaon(expectations) ko kabhi pura nahi kar paungi... mai usse sirf leti rahungi...uska pyar,uski dosti,uska apnapan,uska sahcharya(companionship),uski mujhe samajhne ki kabiliyat...mujhe samhalne ka hausla...ek bel(climber) ki tarah usse lipat jaungi...dhire dhire uski zindagi ki parasite ban jaungi...kya ye rishta sahi hai?? Nahi kabhi nahi...Kabir ke liye mai zindagi bhar ka dard ho jaungi...nahi sahi hoga ye rishta' ..
Car jhatke se ruki... Ananya ne bayi taraf ghum kar Kabir ko dekha "kidhar khoyi ho...kis taraf ghar hai tumhara... "
Ananya chaunk ke uth gayi..."aage se right turn le lo"
Kabir ne Ananya ke ghar ke saamne car rok di...Ananya utar gayi...Usne darwaza khola... light aur pankhe ki switch on ki...
"Pani piyoge... coffee ya chai banaoon" Ananya ne kabir se pucha..
"Nahi coffee to pee li humne...ab sahi boloon to bhukh lagi hai tez... khana pack karate huye aana chahiye tha" kabir sofa pe beththe huye bola...
"Sabzi aur daal subah hi bana ke gayi thi...ruko main garam garam roti banati hoon... kha lo.."
"Roti rehne do... chawal bana do... jaldi ho jayega... "
"Achcha..."
Ananya ne dress change ki... loose pant aur kurti pehen li usne... chawal ban gaya tha..
Ananya ne kabir ke liye khana serve kiya aur khud ka plate nahi liya...
"Arre Ananya tumhari plate kahan hai?"
"Mujhe bilkul bhukh nahi hai kabir... mai nahi khaungi"
"Uff Ananya thoda sa hi khao par khao... khali pet raat mein nahi sote hain...aur koi baat nahi...lao tumhari plate mai serve karta hoon"
Ananya ka man bhig gaya...aankh bhar aayi...
"Kya hua?" Khana nikalte nikalte kabir ne poocha...
"Aaj 2 saal baad kisi ne mujhse khane ke liye bola...isiliye emotional ho rahin hoon" Ananya ne aansu pochte huye kaha...Ananya ne jhuti hansi bhi dikhayi...
Kabir ne Ananya ko side se bahon me liya...aur uske peeth par thapki di...
Ananya fridge me bacha khana daal rahi thi aur chilla bhi rahi thi.."kabir tum kyu dishes saaf kar rahe ho... mai karti hoon abhi..."
"Ananya ek hi baat hai...tum karo ya mai..waise maine kar diya..isiliye chikhna bandh karo"
"Kabir tum bahut ziddi ho" Ananya ne gusse se bola...
Kabir hansne laga...
"Isse pehle ki mujhe nind aa jaye...tum jo kehna chahti ho kaho"...
Ananya gambhir(serious) ho gayi... Kabir ko wo bina bole dekhti rahi...'zindagi tu mujhe mil kar bhi nahi mil paygi' Ananya ne gehri saans li...kabir uske bolne ka intzaar kar raha tha...
"Kabir maine kafi socha... tum jo rishta mere sath jodna chahte ho... uska koi bhavishya nahi hai... pehle poori baat sun lo...beech mein mat bolo..."
Kabir ka bolne ke liye khula muh bandh ho gaya...Ananya ne apni baat jari rakhi...
"Rishta do logo ke beech panapta hai...dono usse seenchte hai...mai andar se bilkhul khokhli hoon...khokhli samajhte ho... bilkul khali...haan tumhare karan kuch ehsaas zinda huye hai mujhme...par unn ehsaason mein wo taaqat nahi hai..jo tumhare liye... pyar ke liye... mari huyi Ananya se lad sake... mere andar sirf bechaini,tanhaayi,ghabrahat,darr hai kabir...aur inki jadein(roots) bahut gehri hai mujhme... ye jaan lo..ye mera wajood hain... iss wajood ke sath mai koi bhi dil ka rishta nahi nibha sakti...tumhari zindagi mein... mai ek climber...ek parasite ban ke rahungi... aur dhire dhire ye rishta..ektarfa rishta ban ke dam tod dega..." Ananya ki aankho se aansoo bina ruke beh rahe they..."mai swarthi nahi ho sakti kabir"
"Ananya... tum bahut jyada sochti ho... bhavishya mein kya hoga..uske liye hum apna aaj kyu kharab karein...mera pyar sab thik kar dega..daro mat Ananya" kabir ne aage badh kar Ananya ko baahon mein bharna chaha...
Ananya ne hath se usse rok diya..."Bhavishya ka darr hai...kyuki mai ek bura rishta jee chuki hoon kabir"
"Ananya ab tum past ko le aayi...aaj mai raho...aaj ka sach ye hai ki...humdono ek dusre ko pyar karte hain...saath mein rehna chahte hai...bas aur kuch nahi...aur kuch mat socho"
"Kabir tumhare liye ye sab kehna asaan hai... mere liye nahi... chot maine khayi hai...dard kya hai mai samajhti hoon... jo dard maine saha hai...wo dard phir se khud ya tumhe sehne nahi dungi"
Kabir Ananya ki baton se bechain ho raha tha.. Ananya samajhna hi nahi chahti thi..."Aisa kuch nahi hai Ananya... sirf dard chot hi dikh raha hai tumhe... pyar khushiyaan kyu nahi dekh rahi ho??"
"Zindagi ne jo rang sabse jyada dikhaya hai...wahi rang pehchanti hoon Kabir"
"Naya rang dikhaya zindagi ne par tum purane rang ko hi sach maan rahi ho"
"Kabir jo mera sach tha maine bol diya... hum ek dusre ke sachche dost reh sakte hain... main tumhari zindagi ki bojh nahi ban sakti"
Kabir samajh gaya...abhi Ananya ko samjhane ka sahi waqt nahi hai...Ananya ko apna banane ke liye usse Ananya ke andar ghute,simte bhawnaon ko bhi jhakjhorna hoga...Ananya ke darr,uski bechaini ko samajhna hoga... ek insan ke charo taraf phele bahri dushmano ko harana asaan hai...par Ananya ke dushman...uske andar gehri bethi uski nakartmak soch, bechaini,dar hain... jisse harana kabir ke liye mushkil kaam hai...
"Ananya tumhari dosti mere liye bahut zaruri hai..."
"Mere liye bhi kabir... mujhe akelepan se bahut ghabrahat hoti hai... ab tum ho " Ananya uss waqt ek choti si bachchi ho gayi thi... jiski aankhon mein zindagi ka darr saaf dikh raha tha... Ananya ke andar bahut kuch mar chuka tha...
Kabir ne ye mehsoos kiya ...usse laga wo khub roye ...
"Ananya ab main chalta hoon" ...
"Itni raat mein... "
" jana to hoga Ananya... hai na"
"Haan bye Kabir... waise suno KKN mein ye baat kisi ko nahi batayenge"
"Befikr raho..Ananya mai tumhara best friend hoon"
Ananya muskura di... Kabir bahar nikla...
Dusre mod par Khalid car me betha kabir ka intzaar kar raha tha...Kabir car me betha...
"Kya hua Ananya maan gayi?"
"Nahi Khalid... safar lamba hai.." kehkar Kabir khalid ko pakad kar ro pada...Khalid chupchap kabir ko rote dekh raha tha...

rabzonedge thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#38

Updated to 😕
NandiniRaizadaa thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 4
Posted: 9 years ago
#39
I am so glad you have written this alternate story
We mostly get to see males with a sad past and a girl accepting him. Very few people write about the pain of a woman

I had read the first part on FB

second part is equally awesome
rabzonedge thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#40

Originally posted by: NandiniRaizadaa

I am so glad you have written this alternate story

We mostly get to see males with a sad past and a girl accepting him. Very few people write about the pain of a woman

I had read the first part on FB

second part is equally awesome


Thanks a lott Nandini 😳
Top