Part_9
Razia moved towards Altunia in anger.
Razia: aap..aap ko laga ke hum
Altunia walked back
Altunia; dekhiye begum sahiba hamara matlab wo nhi tha
Razia; kya nhi tha? aap ne jalan me aakar..aap..aap Yaqut se jalte the
Altunia grabbed her from her arms
Altunia; us habshi ki hamare saamne auqaat hi kya thi, hum kyun jalenge us se, jalta to wo tha humse, najane aapko usme esa kya khas dikhta tha
Razia; Aap baat ko palatiye mat, jalne se hamara muraad tha, kya aapko bhi lagta tha ke hum..hum Yaqut se
Altunia turned away. Razia understood, she got furious and started hitting him.
Razia; aap ka dimag chutti pe tha kya? kisi ne keh diya to aapne maan liya? aap ne, aap to hamen humse behtar jaante the na..aur aap
she got tears in her eyes, Altunia held her close
Altunia; nahi Razo, esa nhi he..
Razia; kesa nhi he, haan? boliye? aap jaante hen 100 log hamare aur Yaqut ke baare me baat krte the, aur hum haste the un pe, ke kitne andhe hen log jo unhe hamari dosti kuch aur lagti he jabke jis se humne toot ke mohobbat ki uske aur hamare rishte ko us nazar se kabhi kisi ne dekha hi nahi, darbaar me bhi jab hum aapko dekhte the kabhi kabhi humare dil ki dhadkanen itni tez hojati theen k humen samjh nhi aata tha k kese sb sambhalen, sab ke saamne aapko pyaar bhari nasron se humne hamesha dekha, pr dunya ko kuch nhi dikha, hairani hti thi hamen, pr hum kya jaante the k jis se hum mohobbat krte hen usi ne..us ne bhi hamare baare me ye sb socha
Altunia laughed loudly., Razia was shocked, he started clapping.
Altunia; wah! wah! delhi ki Sultan darbaar me humen dekh k aahen bharti rahi aur kisi ne ghor nhi kiya pr Yaqut se nasdheeki sbko dikhi, ya to dunya walon ki ankhen khrab hen ya to aap k kaul o fail me tasaad he begum sahiba
Razia pulled him from the arm and stared into his eyes.
Razia; acha! to aapko lagta he hum jhoot bol rhe hen, theek he subedaar sahab, aap hi bta dijiye, aap jo humse mohobbat k bade bade daawe krte hen, btaiye hamen, kya aap us insan se shadi krenge jisne hamara qatal kiya ho?
"Razia!!!" Altunia shouted
Razia; sunna bhi gawara nhi na, to aap hi btaiye agar hum Yaqut se mohobbat krte to uske qatil se nikah kr paate, uske saath mohobbat kr paate?
Altunia lowered his eyes.
Razia; haan wo hamara acha dost tha, hamari baaten sunta tha, kuch apni sunata tha , haan hum sharmate the uske saamne, par wja tab bhi aap hi the, wo humen aapka naam le k chidata tha, kehta tha aap jab baarat le k ayenge to wo aapka istaqbaal khud krega, to bataiye apni shadi ki baaten sun k hum na sharmate? aapko dulhe k libaaz me soch kr hum na sharmate? boliye?
Altunia's blood boiled, he pulled her close, his eyes were burning
Altunia; aapko lagta he wo Yaqut doodh ka dhula tha? ke wo aapko hamare saath khush dekhna chahta tha? nahi razo nahi, usne khud hamare saamne qabool kiya tha k wo aapko humse cheene ga, marne k baad bhi aap k dil me wahi rahega, hum to use qaidi bna kr rkhte pr usne hamen jo kaha wo humse bardasht na hua isiliye qatal kiya humne uska
he left her. Razia fell on the ground, she recalled all the moments she had ever spend with Yaqut, and suddenly she realized that he had always mentioned altunia slowly but made sure it was infront of people who could talk, her blush that was for Altunia was mistaken for him, she never in her wildest dreams thought that she was being fooled.
She wiped her tears and stoodup.
Razia; dunya jo bhi kahe, Yaqut ne jo bhi kiya..pr aapne bhi to humen hi galat samjha na, aapne ye socha bhi kese k hum aap se nahi kisi aur se mohobbat krenge
Altunia; (fake laughing) to phir aapne kabhi izhaar kyun nahi kiya?
Razia looked at him without words
comment:
p_commentcount