Hello Folks,
I am a silent reader of this forum.
Have written a small piece of poem to pay tribute to the great queen
Choti si umra mein bahu ban woh aai thi....
Sadhaaran si ladki ne rani ki padwi paai thi....
Chaundi gaon ki beti, malwa pradesh ki sunbai thi...
Khanderao unke pati the.... Gautama bai unki sasubai thi....
Malhar rao ki putra vadu woh rani ahilyabai thi.....
Yudh kaushal mein veer thi....
Budhi kaushal mein dheer thi......
Malhar rao ki sayak thi......
Malwa ki shashak banne layak thi.....
Pati,sasur, putra sab ko ek ke baad ek khoya.....
Khud bikhari par rajya ko sanjoya.....
Sati pratha ka bahishkar kiya....
Striyo ko pati ki sampati mein athikaar diya....
Bunkaro ko... Kisano ko maheshhwar mein basaya.....
Aaj ki maheshwari sadi ka itihaas swayam maa saheb ne banaya.....
Purab ke kaashi vishwanath se leke.... Pashchim ke somnath tak.....
Uttar ke badrinath se leke.....
Dakshin ke rameshwaram tak......
Sanatan dhram ko punah jeevan daan diya....
Raj mata se lok mata ban... Pure bharat ka kalyan kiya.....
30 varsh ka shasan tha....
Ram rajya jaisa shushasan tha.....
Rani thi woh maalwa ki par sadharan sa jeevan vyapan tha.....
Raaj heth mein karya kiye..... Par raaj kosh ko hath na lagaya.....
Apne niji sampati se bharat ke mandiro ko banwaya......
Apna prem dekar bani thi woh praja ki aaii.......
Pujteh hai unhe aaj bhi jaise...woh ho....bhavani mai......
Aadar se jugta hai logo ka sheesh.....jab naam aata hai "Punyashlok devi Ahilyabai".....
comment:
p_commentcount