Karwa Chowth Day..
Scene 1- Breakfast Table (9:00am)
Sarita is busy serving food to Abhi. Vikrant arrives and sits on his chair.
Abhi- wow Mumma.. ye parathe toh bahut tasty hain...
Vikrant- Aapki mumma har roz tasty cheezen hi banati hai...
Sarita blushes..
Sarita- aur lo beta...
Abhi- mumma aap bhi taste karo na.. aap kabhi hamare sath nahi khati...
Sarita- Nahi beta tum khao.. mumma nahi khayegi...
Vikrant(placing a paratha in his plate ) - baccha zidd kar raha hai toh kha lo na..
Sarita(in a low voice)- nahi... mujhe nahi khana...
Abhi- mumma ... juice...
Sarita- kitchen mein hai lati hoon...
Sarita goes inside to fetch the juice..
Vikrant- ye aaj tumhari mumma ko kya ho gaya...
Abhi- pata nahi daddy... aap hi puchho na kya hua.. unhone nashta bhi nahi kiya mere sath...
Sanjay(house servant) - Sir aaj madam nahi khayengi...unka upvaas hai..
Vikrant who was abt to eat his first bite stopped and asked- upwaas...?? kaisa upwaas??
Sanjay- sir wo aaj karwa chowth hai na... to madam ne aapke liye...(he was trying to control his smile)
Vikrant put his meal back into the plate...
Abhi- Sanjay uncle ye karwa chowth kya hota hai..
Sanjay-Abhi baba... aaj aapke mumma ne aapke daddy ke lambi umra ke liye upwaas rakha hai.. wo pure din kuch nahi khayengi aur na hi pani piyengi...
Sarita came back with the juice..
Abhi (happy) - wow daddy... mumma kitni achhi hai na.. ... aapke liye wo pura din bhooki pyaasi rahengi...
Suddenly Vikrant was blushing..He looked towards Sarita who tried to shy away her eyes...
Sarita- aisa kuch nahi hai beta... sabhi auratein ye upwaas rakhti hain...
Vikrant clearing his throat- Dekho.. ye pura din bhooke rehne ki koi jarurat nahi... bekaar mein tabiyat kharab ho jayegi... chalo khana kha lo...
Sarita(frowning)- aapko mere upwaas rakhne se kya problem hai??
Vikrant- mujhe koi problem nahi... bas main nahi chahta kit um beemar ho jao aur fir uska ilzaam mujhpe lagao...ki mere liye upwaas rakhne se beemar ho gayi...
Sarita - Dekhiye ... aap mujhe karwa chowth ka vrat rakhne se nahi rok sakte..
Vikrant - Thik hai rakho tum upwaas...main to bhar peat khaunga... ye parathe itne tasty lag rahe hain...hai na Abhi...??
Sarita- Dekhiye..parathe ki baat bolke mujhe chiddhaiye mat..
Vikrant- Dekha... parathe ki baat karte hi tumhe bhook lagne lagi na... chalo ab shanty se baith ke nashta kar lo...
Sarita (fuming)- maine kaha na mujhe nahi khana... aap enjoy kijiye apne parathe...
Sarita goes inside her room...Vikrant was smiling ...
Abhi - ye kya kiya daddy... mumma toh gussa ho gayi...
Vikrant (thinking) -Ye gussa nahi tumhare mumma ka pyar hai.. tum nahi samjhoge Abhi..
Vikrant didn't eat at all... He helped Abhi finish his food and went to office...
Scene 2- Visa bedroom (2:00 pm)
Sarita busy adjusting her wardrobe... Her cell phone rings.. It's Vikrant's call..
Sarita picks the call...
Vikrant- busy ho??
Sarita- nahi bas almari saaf kar rahi hoon..
Vikrant- Great.. wo main soch raha tha aaj lunch saath karte hain... mere office ke paas ek naya Chinese restaurant khula hai... tumhe Chinese bahut pasand hai na??
Sarita - aap mujhe fir se chiddha rahe hain...? aapko pata hai na main aaj nahi khaungi... mujhe aapse baat nahi karni... main phone rakh rahi hoon...
Vikrant- are are suno... main mazaak kar raha than na...(his smile could be felt in his voice).
Sarita- hmmm...
Vikrant (in a softer tone)- wo maine ye puchne ke liye phone kiya tha ki tumhe gift mein kya chahiye?
Sarita- gift?? Kaisa gift??
Vikrant- karwa chowth ka gift.. ab tumne subah se mere liye vrat rakha hai to main tumhare liye gift toh la hi sakta hoon na...
Sarita (blushing) - iski koi zarurat nahi...
Vikrant- zarurat toh hai... tum khud nahi bataogi toh main apni pasand se kuch le lunga..
Sarita- hmmm... suniye...
Vikrant- ji kahiiye..
Sarita - agar jyada busy na ho to aaj sham thoda jaldi ghar aa jaiyega..
Vikrant (smiling)- jo hokum madam...
Vikrant disconnected the call...
Both were smiling at their respective ends...
To be continued...
comment:
p_commentcount