Posted:
Kahawat hai " Zakham ka illaz waqt rehte na kiya jaaye to wo nasoor ban jaata hai aur zindgi bhar rista rehta hai"
Aise nasoor ko theek krne ke liye usse gehrayi tak kuredna padta hai jahan tak usski roots hoti hai. Yehi Prithvi ne Mrinal ke saath kiya jab ussne Diwali tak Manayakhet mein rukne ki izzazat maangi. Yehi wo din tha jab Mrinal ke saath poore Manayakhet ki kismat mein andhera likh diya gya. Roshni ka din andhera le aaya.
Ab ussi din ko manana chahta hai .. Mrinal aur Manyakhet logon ke jeevan mein phir se roshni bharna chahta hai.
Ek raja ka kartavya hota hai ki wo apni praja ko saath le kr chale na ki apni nizzi bhawnaayein unnpe lagaye. Mrinal ko ye samjhna hoga ki apne pritishodh ko wo apni praja pe nhi thop sakti. Dard dard ko badata hai aur khushiya khushi ko badati hai. Jo doge wohi paoge.
Mrinal ne Prithvi ko Malwa mein awishwaas diya tha.. to wo bhi wohin aa kr khada ho gyi.. ab ye Prithvi pr tha ki wo Mrinal ko badle mein kya deta. Ussne vishwaas diya aur uss kadi ko tod diya jo aage chalti rehti. Ek nayi suruaat ki hai aur badle mein wo paaya jiska kabhi kisi ne kalpana bhi nhi ki hogi. Manayakhet mein 'Murti Kala' ki neev rakhi. Logo mein umeed jagayi. Kaam kathin hai par na-mummkin nhi.
comment:
p_commentcount