Jisne, thadap thadap ke, apni Maa ki khud-khushi dekhi...
Woh kahi baras pehle hi mar chuka thaa...
Kissi ne uska dardh nahin dekha.
Koi uska sahaara nahin bann payaa.
Koi usse sache mann se pyaar naa kar sakaa.
Koi usko dil se nahin samajh paayaa.
Jisne rishton ko nahin, bhal ki apne aap ko bhojh samjhaa...
Woh kahi baras pehle hi mar chuka thaa...
Jisne apne Bapu ka sirh uucha kiya...
Har ek morh par kamiyaabi aur himmat dikhaayi...
Ussi bete ko "aapaahij" bhula kar, uska bharosaa uss Bapu ne thoda.
Koi nahin thaa uski aashaa banne...
Sivaa dukh, kuch naa raahaa uski zindagi mein...
Sirf dhoka, sirf swaarath, aur apni kamiyaan nazar aayi usse.
Jo swaarthi nahin, bhal ki har morh par apni hi khushiyaan bhool kar doosron ka khayaal rakhaa...
Woh kahi baras pehle hi mar chuka thaa...
Jisne apne pyaar ke saath ek choti si duniyaa bhasaane ki aashaa ki...
Par bhadh naseeb ke zariye, dono premiyon tarpay, alag hue...
Phir bhi, woh apne aap se, aur poori duniyaan se lardke apne pehle pyaar ki zindagi ko behtar banaane ki koshish ki. Har ek morh par usko sahaara diya, uska dardh apna banayaa...
Par usse kyaa pataa thaa, ki uss sajni ne uska aur uske pyaar ka bohat pehle se hi aantam sanskar kar diya thaa...

Koi nahin thaa uska darh samajhne.
Koi nahin thaa USKO samajhne.
Woh aur uska dukh, uske darh, uski yaadein, akele akele thadapte rahe.

Toh kya farak parta hai agar uska antam-sanskar phirse hua?
Kya pehli baar bhi woh aaise tadapi?
Kya pehli baar kissi ne uske dil, uske samaandh baare socha?
Kya pehli baar kissi ne uska dardh samjha??

Nahin. Kyun ki dono aatmah-sanskaaron se bohat pehle hi Saras marr chukaa thaa.
Farak sirf itnaa hai ki uske mann ke saath, Uski aatma ko bhi maaraa hai.

Jisne, thadap thadap ke, apni Maa ki khud-khushi dekhi...
Woh kahi baras pehle hi mar chuka thaa...
Disclaimer: The above post has not been written to offend any fan group, any sabzi wala, chai wala, nor the dog next door. It is a simple analysis, or point of view of a fellow forum member and nothing more. Toh agar kissi ko mirchi lagi, that was not my intention... it was your reaction. 😳
ALL GIFS (C) VEERA25.
Edited by veera25 - 12 years ago