yellow yellow dirty fellow
dadi needs to sit on a buffalo ...
grrr
but seriously ... Khushi's over excitement since its her wedding... you know my best friend was exactly as hyper during her wedding, she actually wanted to do make sure everything would happen right... so i could relate to Khushi behaving that way today ...
the garima and khushi emotional scene: nice touch! par... garima aunty uss time main apni bitiya ko ssach batiya deti ... kam se kam she would be mentally prepared... ohhh... ab samjhi ... jab nannav nahi ayega, you will confirm Khushis doubts by telling her why he didnt come ... ok ok... !!! uss time pe aur zyada drama hoga na aunty ... sorry sorry !!!
lekin ab...mujhe yeh jaanna hai ... kya Arnav ka kirdaar nibhane waala abhinetr Barun Sobti Shaadi ka Dulha kam, band waala zyada kyun lag raha hai? iss shaadi ke tension aur excitement main kisi ne usko razor dene ki himmat nahi ki hogi .. oh.. accha aunty ...😡
Par Garima aunty, kya aapko lagta hai, choodiyon ke tootne se apshagun ho sakta hai aunty? woh bhi laal choodiyan? lekin aunty... aap pareshaan bilkul mat hona aunty .. kyunki ... Nannav jaanta hai ... choodiyan toh toot ti hai, par bracelet nahi ... issi liye humara hero aapki heroine ke liye braceletwaa laa raha hai ... ab toh aap khush ho na aunty?🤔
Aaj mujhe Shashi uncle ki bahut yaad aayi aunty ... woh shaadi waaley ghar pe kyun nahi dikhe aunty? Balika Vadhu main unka role fir se renew ho gaya hai kya aunty? ya Teri Meri love stories main koi bolne waala cameo mil gaya hoga na? theek hai... shaadi tak darshan ho jaate hai toh accha hi hoga aunty ...😎🤣
Accha Garima aunty, ek aur baat jaanni thi aapse... kya aapne notice kiya episode main ke creatives ne bade smart way may yeh prove kar diya ke aapki pyaari beti kal taare zameen pe leke aayi thi... aur fir uske baad sab andhera ... ab andhera hone ke baad kya hua, maine toh nahi dekha aunty ... lekin aap toh badi ho na aunty? toh kya hua hoga aunty??😳
Aur NK ne apne idiotgiri main jhoote jaake payal ko de diye aunty ... par aunty .. kya shaadi hogi aunty?😳 Kya Arnav Sanjeevani ke Rahul ki tarah Juhi ki jagah Simran ke ghar toh nahi chala jayega na aunty????
Aunty, uss photo main aisa kya tha aunty??? Jo Dadi baar baar usko ghoor rahi thi aunty??? I mean aap dono toh itne door door the aunty... hum toh apne colleagues aur dosto se bhi issey paas khade hoke photos lete hai aunty ... lekin aapke zamane main baat kuch aur thi na aunty??? hum aur humara generation aunty ... hawww...!!! lekin aapne woh waali tasveer uss baxey main kyun rakhi aunty? mera dil jaaanta hai aunty, aapne bhi kabhi pyaar kiya hoga ... aap ke kahin armaan rahey honge ... aur iss zaalim zamane ne ...
Lekin fikar not aunty ... hum friday tak intezaar kar lenge aunty .. ro bhi lenge aunty ...!!! TRP dene waale log bhi shayad aa jayenge aunty ...
Baaki kal milte hai aunty ...!!
Arey aunty .. itni baatien ho gayi ... maine aapse poocha hi nahi ... chai-cofffee kuch lengi aunty? Ya fir Jalebi aunty?
39