
Mohan:-"Renu bhabi ne bulaya tha...unhi se milne gaya tha...

Megha:-"KISLIYE...???"

Mohan:-"pagal ho gayi ho kya...meri shamat aayi hai jo main Renu bhabi se KISS lunga...??? pyar tumse karrta hoon...shadi bhi tumse ki hai...aur KISS bhi toh tumhise hi lunga na...!!!mujhe Fekta ke Show ka Fero samjha rakha hai kya...jo...Pyar kisi se...shadi kisi se...bachhe kisi tishre se...!!! Huh...main toh sirf tumhe hi kiss karr sakta hoon..!!! hai na...

Megha:-"ufoo...kya pagalo ki tarah badabada rahe ho...main kya puch rahi hoon aur tum kya bol rahe ho...???

Mohan:-"arey yarr...abhi jab maine kaha ke main Renu Bhabi se milne gaya tha...toh tumhi ne toh pucha na ke...'KISS LIYE'...
Megha:- "Hey bhagwan...maine kaha 'kisliye' milne gaye the Renu Bhabi se...aur tum ho ki...

Mohan:-"ke...???

Megha:-"kuch nahi...

Mohan:-"arey discussion adhura reh gay...bol kar toh jayo...

Addu's entry...
Addu:-"meri mummy se sawal puchna bandh karo...

Mohan:-"abey...toh kya tujhse puchu...'kisliye...'

Addu:-"nahi liye...school me Aanandi madam...uneh mujhe kiss karrne deti hi nahi..

