tammana fir machal jaaye agar tum milne aajao
yeh mausam bhi badal jaaye agar tum milne aajao
nahin milte ho tum mujhse toh sabhi humdard hain mere
zamana mujhse jal jaaye agar tum milne aajao
yeh mausam bhi badal jaye agar tum milne aajao
tammana fir machal jaaye agar tum milne aajao
yeh mausam bhi badal jaaye agar tum milne aajao
yeh duniya bhar ke jhagde ghar ke kisse kaam ki baatein
bala har ek tal jaaye agar tum milne aajao
yeh mausam bhi badal jaye agar tum milne aajao
tammana fir machal jaaye agar tum milne aajao
yeh mausam bhi badal jaaye agar tum milne aajao
mujhe gham hai ki maine zindagi main kuch nahin paaya
ye gham dilse nikal jaaye agar tum milne aajao
ye mausam bha badal jaye agar tum milne aajao

-- khwahish😊