SAZAA (a drabble on AraNsh)

Tara_memu12 thumbnail
Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 3 months ago
#1

"Aradhna open the door, yrr tum ro kyu rhi ho, please darwaza kholo, talk to me..aradhna..."

"Kya hai? Kyu pareshan kr rhe ho, sab kuch toh cheen chuke ho, barbaad kr chuke ho ab kam se kam chain se ro lene do!"

"Ok..ok pr please open the door, darwaza kholo yrr!"

"Chinta mat kro, marungi nhi main kyuki marne ke baad na sukoon mil jaata hai, pr meri kismat me sukoon hai hi nhi!" She again started sobbing.

"Dekho, tumhe jo bolna hai bolo, ladna hai lad lo, daantna hai daant lo pr please darwaza khol do yr. I know you don't want to talk pr tum jab tak darwaza nhi kholti main kahi nhi jaungi yhi baitha rhunga aur aise hi bak bak krta rhunga, so please open the door!"

There was silence for a while but then the door knob clicked and a teary aradhna came out her eyen swollen and full of tears.

"Kya problem hai tumhari? Kyu chain se rone bhi nhi de rhe ho mujhe? Maza aata hai mujhe aise dekh kr? Khushi hoti hai? Kya chahte ho? Sab toh barbaad kr diya hai tumne..sab cheen liya mujhse reyansh...sab kuch!"

Reyansh moves towards her but she moves backwards in resentment.

"Mera naam, meri izzat, mera pariwar, mere mammi daddy, mera poora existance tumne cheen liya reyansh. Aur ab main yaha aayi apni asli maa ko dhundne toh yaha aake kya mila? Woh aurat khush hai apni life me, apni family ke saath apni betiyon ke saath, sirf un teen betiyon ke saath...mera toh unhe ata pata hi nhi hai. Un teeno ke liye wo kisi se bhi lad jaati hain, aur mera kya...mere liye kaun ladega? Un teeno ko wo 'apna' kehti hain...aur main kaun hu? Koi nhi hu main! Koi nhi hai mera...iss poori duniya me, koi nhi hai mera, na wo jinhone Janm diya, na wo jinhone pala aur na tum! Koi nhi hai mera!"

"Aradhna.." seeing her like that his eyes teared and his heart bled.

"Nhi...mujhe samajh nhi aata sabko licence mila hua hai kya mujhe hurt krne ka? Kab diya main tum sabko wo haq? Kab diya maine tumhe ye haq? Kab diya maine Mimi ko ye haq ?"

"Shh..." Reyansh slowly went close to her, cupping her face from one side. "Kisi ko koi haq nhi hai tumhe hurt krne ka, kisi ke paas licence nhi hai tumhe dard dene ka, aur jo aisa krega usse saza milegi...dekho mujhe bhi saza mil rhi hai!"

"Saza? Kaunsi saza mili tumhe? Tumhara naam, tumhari pehchan, tunhare dost, tumhari family...sab toh hai tumhare paas, kaunsi saza mili tumhe?" More tears shed down from her eyes.

Reyansh's eyes had tears, ready to fall down any moment now.

"Ye jo aasu hain tumhare", he said wiping her tears, "ye meri sabse badi saza hai!"

He took a deep breath trying to speak without crying as at this moment it just felt impossible.

"Ye aasu aradhna, ye mujhe har pal yaad dilate hain ki kaise maine tumhara dil toda, kaise maine uss ladki ko hurt Kiya jisne pehle baar mujhe ye feel krwaya ki main pyaar ke layak hu, jisne pehli baar mujhe sympathy ki nhi pyaar ki nazro se dekha...jo mere liye meri maa tak se lad gyi, uss ladki ko hurt Kiya jo mere pyaar me fanaa hone tak ko taiyaar ho gyi thi."

"Toh kyu kiya hurt? Kyu toda dil? Kyu nhi kiya bharosa? Agar...agr tum bharosa kr lete na toh shayad humara rishta nhi toota hota (sighs) shayad main nhi tooti hoti."

"Kaash...kaash ye samajh aa jaata ki tum pr bharosa na krke main sabse badi galati kr rha hu. Aisi galati jiski koi maafi nhi hai, sirf saza hai...saza hai tumhare ye aasu, saza hai tumhari aakhon ka soonapan, saza hai tumhari taqlif, saza hai tumhari narazgi."

"Pr tumne ye galti kr di, aur ab main yaha khadi hu, iss intezar me ki kabhi na kabhi, wo din aaega jab mujhe meri pehchan milegi, jab mujhe meri maa ka pyaar milega, jab koi hoga mujhe 'apna' kehne wala. Main bas khadi hu, isi intezar me. Aur mujhe nhi pata mera ye intezar kab poora hoga, poora hoga bhi ya nhi, pr main bas khadi hu yhi kyuki aur kuch toh mere paas bacha hi nhi hai na!"

"Agar mere bas me hota toh main tumhara saara dard, saari taqlif apne upar le leta!"

"Pr tumhare bas me nhi hai, kyuki iss taqlif ki wajah hi tum ho. Tum ho in sab ka kaaran. Tumhari wajah se main yaha hu. Aur ye jo tumhari so called saza hai na, mere aasu, ye meri reality hain reyansh. In aasuon ke alawa kuch nhi hai mere paas."

"And I promise you, ek din tumhare paas sab hoga siwaye inn aasuon ke, aur shayad uss din meri galti ka pashyatap ho paaye"

"Mujhe nhi lagta wo din kabhi bhi aaega! Mujhe nhi lagta meri reality kabhi bhi change hogi. Mujhe nhi lagta ki tumhari ye 'saza' kabhi bhi khatam hogi!"

Aradhna looked straight into his eyes, hurt clearly visible in her eyes while determination clearly visible in his. 

'Wo din aaega aradhna, wo din zaroor aaega' Reyansh said in his head, trying to convince araadhna that his love for her still has flames, and his heart still beats for her, all through the eyes.



Hey guys! I wrote this a long long time ago (I guess when the dehradun track started) but did not think of publishing it, but as the show is near its end I thought why not...so here's a little something. Do vote and give comments!

Love❤️

Created

Last reply

Replies

2

Views

891

Users

2

Likes

2

Frequent Posters

jasminerahul thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 8
Posted: 3 months ago
#2

Why didn't you publish it before?

Aradhana blaming reyansh was painful.Reyansh saying that his biggest punishment is her tears was touching.loved reyansh saying that one day she will have everything with her except her tears was lovely.aradhana saying that moment will never come and his punishment will never end was painful.In the show it never ended.

Tara_memu12 thumbnail
Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 2 months ago
#3

Originally posted by: jasminerahul

Why didn't you publish it before?


 I just have this wierd habit of writing any scenes that I imagine in my head,and I just keep them safe in my phone, they are not meant for publishing because most of them are not related, just some cute stuff I imagine!Glad you liked it! ❤️