Yar don't talk about Khushi!
Uske Kapde to pathetic the hi, dusra uska wig bahut kharab tha. Mujhe usme Sanaya Irani kahi se bhi small town girl nahi lagi.
No offence to fans.. but ye TV par kuch bhi type cheeze dikha dete hain aur log pasand bhi kar lete hain.
Maine to Kai saal Tak koi show nahi dekha hai. IPKD to meri roommate dekhti thi to maine uske snippets dekhe hain.
Baki Kai shows me galat Bihari bolte, galat hariyanvi bolte, galat rajasthani bolte dekha.. Ghum ki story/costume/character sab gadbad the.. but at least they casted some very good Marathi actors. So unki Marathi to thik thi. Kishori Sahane is really a good actress.
Anyway.. Mujhe to ye nahi samjh aata ki FL ke doormate banne me aur ML ke abuser banne me kya acting skill chahiye hota hoga? Ek ko Rona bisurana hai, dusre ko abuse karna hai.
Yes, I remember Maryada Lekin Kab Tak.. Jab wo run hua tha tab bhi dekha tha, uske kuch saal baad dubara hotstar par bhi. Of course usme kuch plotholes, continuity aur dusre issues the. But story aur acting sab powerful tha, realistic tha.
Aise to mujhe Ek Haseena Thi bhi bahut pasand aaya. Maine use release ke waqt to nahi dekha tha, abhi ek mahine pahle dekha. Aisi stories kuch had tak "suspension of belief" karna padta hai. Haan, jarur baad me kuch jagah drag kar rha tha show, kuch plot points unnecessary the aur ending rushed aur unplanned lagi. But otherwise show was amazing.
Acting was superb! Lekin sabse achhi baat, usme kabhi bhi kahin se bhi kuch offensive nahi dikhaya tha. "rape is rape" ye clear tha.
Pichle kuch salo me Pakistan ke kai shows me Rape ko dilute karke, ya isme aurat ki galti batate, use romanticise karte dikhaya hai. Ye to "Tere Bin" me etna Halla mach gya bas. Lekin mujhe to wo character shuru se hi nahi pasand hai.
Mujhe to Pakistan aur India dono hi ke TV industry ka ye nahi samjh aata ki inhe "Accidental", "forced" ya "unchaahi" shadi dikhane ka etn craze kyo hai? Ye sab social issues ya reality ke liye dikhate to samjh aata, lekin ye sab to Romance dikhane ke liye karte hain. Ab koi bata de, kisne aaj tak forced marriage me pyar dekha hai? Is abusive society me to Love Marriage ya sabki marji se badhiya arrange marriage me bhi etni pareshaniya, DV hota hai. To kaha se, kis angle se Forced marriage me pyar/passion aa jayega? Ye log small town ki ladkiyo ka brain wash karte hain aise shows.
Are un ladkiyo ka koi etna social network, outing to hota nahi. Sports, dosto se milna julna hota nahi. College bhi roj jane nahi dete, aur college khatm to Ghar baitho. Wo TV se entertainment leti hain. Wo group aisa hai ki jo abhi Netflix wagairah par foreign shows nahi dekhta, uska access nahi hai, etni English bhi nahi aati. Ye log Star Plus hi dekhte hain. To unko ye sab kachra dikhakar kya seekha rahe hain? Ki ladkiyo ko padhna, career banana, financial security hasil karna ye sab bakwas hai. Kitchen me raho, sabki galiya suno, aur dukh ho to Kanha ji/Bappa se prarthana kar lo. Ek din tumhari life set ho hi jani hai. Aur koi ladka tumse battamiji karta hai to jarur wo tumko pasand karta hai. Wo dil ka bura nahi hai. Yahi sab Kachra seekha rahe hain ki Independent na bano, apna career na banao, kisi se respect ki ummed na karo, apne rights khud chod do ki ye ehsaan hai ya galat hai, aur Pati/mayak/sasural sabka torcher saho chupchaap kyonki ek din Inka man badal jayega aur sab log tumhe pyar karne lagenge kyonki in sabme "Kanha ji ki marzi shamil hai!"
Aur mai sochti hu ki agar wakai me koi bhagwan hain (I am not an idol worshipper and I believe in one God. Bas naam jo bula lo. Kabhi kabhi I also face crisis of faith as well and that is also understandable) to wo Real life ke logo (yani ham log) par focus na karke ye fictional characters ki jabardasti shadi/accident me kyo interest lenge? Kuch to logic ho? Bhagwan ke paas koi kaam nahi hai? Aur Bhagwan kya discrimination pasand karenge? Mujhe to ye nahi samjh aata ki Jo log bahut religious hain, unhe ye sab dekhkar bura kyo nahi lagta? Even though I don't believe in any religion, I only care about spirituality, but mujhe tak aise Bhagwan ka naam misuse hote bura lagta hai? Baar baar villain Bhagwan ka naam lekar dusro ko torcher ya corruption kar Rahi hogi. Jaise in ghum.
Udhar Anupama me wo Kanha ji se Mr. Shah aur unki family ke liye jo wishes mangati hai, wo bhi bahut creepy aur stupid lagta hai. Kyonki basically tum Kanha ji se prarthana nahi rishwat mang rhi. Aur wo bhi unjust cheeze! Tumhare Mr. Shah DV karke bhi etne sajjan hain ki unke liye Madam prarthana kar rhi! Unka Toshu jo pura nikamma hai, usko Sadbuddhi Dene ki prarthana na karke, uski manokamna purti ki mang karti hai! And I am like... Ki yahi sab Kachra dekhkar small town/village ki women aur pagal ho jayengi.