Originally posted by: Anu_02
I didn't like it jab sahiba angad ko galat samjha maine nd all bola ..why cvs kyun angad ko whitewash karne mein lagey h Aisa dikhaya jaa raha h jaise sabse jyada galat angad k sath hua h
Ya phir seerat k sath jo Garry ne kiya
No is story mein sabse zyada sahiba ne bhugtaa h usko lekar koi baat nahi karta
Or sahiba ko angad se ye kyun sunna h ki vo usko is ghar ki bahu banney k kaabil smajahta h ki nahi???kya karegi jaankar agar haan boldega to kya maan jaayegi happy ho jaayegi????🤔...
Angad se certificate chahiye kaabil bahu ka ??
Or kaabil bahu ki defination kya h seerat kyun pasand aayi thi angad ko vo kyun kaabil thi
Seerat poor family se ye jaankar bhi he was crying for her why bahari khubsoorat yes ek Sundar si doll chahiye thi showroom mein rakhne ko
See manbir is from rich family but vo business mein dakhal nahi deti nd i am sure is ghar mein sabhi bahu gurleen bhi rich family se hogi jo inke status ko match karey but sabhi Ghar p padi rehti h kaam koi nahi karta Jasleen ko bhi business handle nahi karne diya gaya tha why ???
Kaabil hone ka matlab h Ghar p baithe raho showpiece bankar bas bachey Paisa karo ghar sambhalo nd all
Or yehi definition angad ki bhi hogi
Jisko achey se represent Kiya Jaa sakey society mein is kaabil bahu nd wife for angad
Isliye sahiba kaabil nahi hui kyunki vo representable nahi lagti angad ko nd angad usko pasand nahi karta kyun kyunki vo angad ko jawab deti h angad ko to gulaam chahiye thi
Lekin kaabil hone ki real definition ab sahiba batayegi sabko
angad or baaki sabne nahi socha hoga sahiba kitni talented h uske talent se sab anjaan h or darji ne to bol diya ghar ki bahu ghar sambhalti h bahar jakar numaish nahi karti
First tell me kya numaish Kari h sahiba ne kaam karna is not numaish??kaise ghatiya words use kiye h writer ne
Humesha se ganja pH ne auraton ko degrade Kiya h apne har show mein
Jab sahiba apna talent dikhayegi to sab dekhte reh jaayengey angad khud bhi hairaan hoga angad ne to kabhi Ameer seerat ji k liye bhi nahi socha hoga vo aisa kar sakti h usko bas ek showpiece chahiye tha bas
Just like her mumma manbir
Remember Jasleen ne shadi se pehle bola tha aapko ek assistant mil gayi
This is their definition of kaabil bahu
But sahiba in sabse kahi aagey h she is more talented than angad
Or sahiba is definition ko hi change kar degi sabke mindset ko change karegi
But darji ka nahi pata kya vo sahiba ka talent jaankar bhi usko rokengey ???
Kyunki ye PH yehi dikhata h
Auraton ko degrade karta h