Nikki bro it’s on your request 👇
Apni shaadi ke liye tha mai bohot khush
Par meri khushiyon ka gubbara ho gaya phus
Kya bataye kaisi biwi mili hai
Mere bhai pe jiski nazrein atki hai
Jaise hi ye pata chala mai khisak liya
Eiklauata Mai hi tha jo is chakkar se nikal liya
Haan maa ko apni bhul aaya tha
Ye eik galti mai bhi wahan kar aaya tha
Jaane kis pal ki vo bekarari thi
Seh na paaya bhai se mili jo bewafai thi
Phir palti kismat ne apni baazi thi
Jaane mujhse kya uski naraazi thi
Yaad karaya kisi ne jo mera kasoor tha
Par kise samjhaye ki in sab mein mai hi bekasoor tha
Laut aaya hun waha jo safar mai peeche chhod aaya tha
Phir shuru hui wo daastaan jiska ye fasana tha
Kismat mein kya likha hai meri is baat se begaana hu
Ya shayad jaan kar bhi anjaana hu