Originally posted by: IamRaj96
Dangal & star ke shadi me bhi bahut drama hoga
Star plus ki behen (yaani dangaliya ki nanad) star bharat insult karegi uss gawaar dangaliya ka
Toh humri samdhan ji (juhiji) kuch iss tarah se bolegi : chal dangaliya , ab hum ekko minute naahi rahenge idhar, bhale hi hum ladki wale hai but hamra bhi apna khud ka izzat hai .....Eee shadi bilkul naahi hogi
Samdhiji (yaani mai) : aree samdhan ji kaa hua aap aise mandap chhod ke kaahe jaa rahi ho.....hamse koi galti hui gawa ka.....aree bitiya ko shaadi ke mandap se uthaiy ke le jaaogi toh poora janam bin byaahi rahegi aapki bitiya.....zara uske baare me bhi soch lijiye
Dangaliya: amma humko star ji se hi shaadi karni....unke alawa hum kabho kisi se bhi shaadi naahi karenge
Samdhan ji : thik hai bitiyaa bas itna yaad rakhna tohri amma tohra aur humra rishta aaj se khatam.....aaj se naahi hum tohri amma aur naahi tu humri bitiya .....jaa jo karna hai kar le
Aur iss tarah se star aur dangaliya ki shadi hogi but juhiya aur dangaliya ka rishta humesha ke liye tootega
0