Originally posted by: rikara94
Chalo aaj baat kar lete hain
Yunhi waqt nikal raha hai, akele baithe baithe, chalo aaj sath baith lete hain, kuch baat kar lete hain...
Is choti si umar ne ghera hai pareshaniyon se, chalo aaj kuch baant lete hain, kuch baat kar lete hain...
Kyun na yaad ki jaye woh purani baatein, woh purane pal, woh choti choti nadaaniyan, chalo aaj bachpan jhank lete hain...kuch baat kar lete hain
Wah wah kafi deep hai 👍🏼
Tum toh sach me Parveen Shakir nikli me to just kidding 😉